teri umeed tera intezaar jab se hai Lyrics

teri umeed tera intezaar jab se hai Lyrics

 

teri umeed tera intezaar jab se hai
na shab ko din se shikaayat na din ko shab se hai

kisi ka dard ho karte hain tere naam rakam
gila hai jo bhi kisi se tere sabab se hai

agar sharar hai to bhar ke jo phool hain to khilein
tarah tarah ki talab tere rang e lab se hai

hua hai jab se dil e nasaboor bekaabu
kalaam tujhse nazar ko bade adab se hai

Sharing Is Caring:

Leave a Comment