ya rab soo-e-madina mastaana ban ke jaaun lyrics

ya rab soo-e-madina mastaana ban ke jaaun
us sham-‘e-do-jahaa.n ka parwaana ban ke jaau.n

ya rab soo-e-madina

un ke siwa kisi ki dil me.n na aarzoo ho
duniya ki har talab se begaana ban ke jaau.n

us sham-‘e-do-jahaa.n ka parwaana ban ke jaau.n

ya rab soo-e-madina mastaana ban ke jaau.n
us sham-‘e-do-jahaa.n ka parwaana ban ke jaau.n

ya rab soo-e-madina

har gaam ek sajda, har gaam ya habeebi
is shaan, is adaa ka mastaana ban ke jaau.n

us sham-‘e-do-jahaa.n ka parwaana ban ke jaau.n

ya rab soo-e-madina mastaana ban ke jaau.n
us sham-‘e-do-jahaa.n ka parwaana ban ke jaau.n

ya rab soo-e-madina

pahunchu.n madine kaash ! mai.n is beKHudi ke saath
rota phiru.n gali gali deewaangi ke saath

joo.n hi niGaah gumbad-e-KHazra ko choom le
qurbaan meri jaan ho waaraftgi ke saath

mujh ko baqee’-e-paak me.n do gaz zamee.n mile
ya rab ! du’aa hai tujh se meri ‘aajizi ke saath

us sham-‘e-do-jahaa.n ka parwaana ban ke jaau.n

ya rab soo-e-madina mastaana ban ke jaau.n
us sham-‘e-do-jahaa.n ka parwaana ban ke jaau.n

ya rab soo-e-madina

Behzaad ! apna ‘aalam samjhega kya zamaana
hai fahm ka takaaza deewaana ban ke jaau.n

us sham-‘e-do-jahaa.n ka parwaana ban ke jaau.n

ya rab soo-e-madina mastaana ban ke jaau.n
us sham-‘e-do-jahaa.n ka parwaana ban ke jaau.n

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: