zainab zainab noha lyrics

zainab zainab noha lyrics

 

Abbas haye abbas..(2)

Khaimo mein alam aaya alamdar na aaya..(2)
Shabbir ne zainab ko yehi nauha sunaya

Darya pe maara gaya tera alamdar zainab..(2)
Zainab, Zainab, Zainab

Darya pe maara gaya tera alamdar zainab
Zainab, Zainab, Zainab

Tooti hai meri kamar lut gayi sarkar zainab
Zainab, Zainab, Zainab

Darya pe maara gaya tera alamdar zainab
Zainab, Zainab, Zainab..(2)

  1. Haatho mein kuza liye baithe hai pyaase
    hai sabko aas zainab us bawafa se
    us bawafa se
    muh hum se mod gaya
    ghurbat mein chhod gaya
    dil mera kehta hai ab jeena hai bekar zainab
    Zainab, Zainab, Zainab..(2)

Darya pe maara gaya tera alamdar zainab
Zainab, Zainab, Zainab..(2)

  1. Kehti thi meri bachhi aayega pani
    Usko suna do zainab ghum ki kahani
    ghum ki kahani
    maara gaya saqqa
    kunba raha pyaasa
    pyaso pe ho gaya qurban woh salaar zainab
    Zainab, Zainab, Zainab..(2)

Darya pe maara gaya tera alamdar zainab
Zainab, Zainab, Zainab..(2)

  1. Mashk e sakina chhidi kat gaye shaane
    kaise zamee’n par aaya allah hi jaane
    allah hi jaane
    gurz tha sar pe laga
    aankh mein teer bhi tha
    uthna chaha to na uth paya wo jarrar zainab
    Zainab, Zainab, Zainab..(2)

Darya pe maara gaya tera alamdar zainab
Zainab, Zainab, Zainab..(2)

  1. Darya pe jab mai pocha laasha uthane
    ki thi mujhse wasiyat us bawafa ne
    us bawafa ne
    laasha khaimo me mera
    aaqa lekar na jaana
    yeh keh ke chhod gaya mujhko wafadar zainab
    Zainab, Zainab, Zainab..(2)

Darya pe maara gaya tera alamdar zainab
Zainab, Zainab, Zainab..(2)

  1. Mujhpe chalega khanjar khaime jalenge
    chadar chinegi teri baazu bandhenge
    baazu bandhenge
    sabka ghumkwar hoga
    mera beemar hoga
    ab tak abbas tha ab tu hi hai salaar zainab
    Zainab, Zainab, Zainab..(2)

Darya pe maara gaya tera alamdar zainab
Zainab, Zainab, Zainab..(2)

  1. Maula ka nauha tha yeh Farhan o Mazhar
    farshe azaa bichao aye meri khwahar
    aye meri khwahar
    aao ab zere alam
    barpa karein matam
    hum hai us bawafa ke pehle azadar zainab

Zainab, Zainab, Zainab..(2)

Darya pe maara gaya tera alamdar zainab
Zainab, Zainab, Zainab..(2)

Sharing Is Caring:

Leave a Comment