ZAMANE ME AGAR DEKHI TO SHANE QADRI DEKHI NAAT LYRICS

ZAMANE ME AGAR DEKHI TO SHANE QADRI DEKHI NAAT LYRICS

 

 

Zamane me agar dekhi to shane qadri dekhi

Nabuwat ke gulistan me wilayat ki kali dekhi

Haqeeqat khul gayi jab sar zameen bagdad ki dekhi

Tajalli hi tajalli raushni hi raushni dekhi

Dayare Gaus kya dekha Madine ki gali dekhi

 

Shahe bagdad ne jis par karam ki ik nazar daali

Bana har kaam uska ho gayi sab door badhaali

Mere Gausul wara ki shaan he kya shaan hai aali

Sawaali aap ke dar se kabhi lauta nahi khaali

Shehenshaaho se bhi badh kar sakhawat aap ki dekhi

 

Mukhalif thi hawa darya me ek aisi lehar aayi

Gayi darya me kashti doob saail pe khabar aayi

Zaeefa ek roti peet ti Aaqa ke ghar aayi

Duwa maangi janabe gaus ne kashti ubhar aayi

Zamaane tu ne mere Gaus ki darya dili dekhi

 

Nida dega munadi hashr me yoon qadriyon ko

Kaha hai qadri karle nazara gause aazam ka

Kabhi qadmon se liptunga kabhi daman pe machlunga

Bata dunga ke yoon jhukta hai banda gause aazam ka

Sharing Is Caring:

Leave a Comment