ZAMEEN FALAK MAAH O AKHTAR HUSSAIN WAALE HAIN NAAT LYRICS

ZAMEEN FALAK MAAH O AKHTAR HUSSAIN WAALE HAIN NAAT LYRICS

 

 

Zameen Falak Maah o Akhtar Hussain Waale Hain,

Ye Qainat Ke Manzar Hussain Waale Hain.

 

Yazeediyat Se Hai Inkar Bachche Bachche Ko,

Hamare Ghar Ke Sab Asgar Hussain Waale Hain.

 

Hawa Se Keh Do Wo Aajaye Andhiya Le Kar,

Mere Charag Ke Tewar Hussain Waale Hain.

 

Kata To Sakte Hai Lekin Jhuka Nahi Sakte,

Hamare Jism Pe Ye Sar Hussain Waale Hain.

 

Tum Apni Kasrat e Taadad Pe Na Itrao,

Suno Hamare 72 Hussain Waale Hain.

 

Hussainiyon Ko Pilayenge Jaam Kausar Ka,

HUZOOR ? Sahib e Kausar Hussain Waale Hain.

 

Gham e Hussain Ka Maatam To Hum Nahi Karte,

Hum Unki Raah Pe Chal Kar Hussain Waale Hain.

 

Woh Zulm Karke Ravish Pe Hain Kayim,

Hum Unke Zulm Ko Seh Kar Hussain Waale Hain.

 

Meri Nawaan Hai FARIDI Hussainiyat Ka Frog,

Jabaan o Fikr Ke Johar Hussain Waale Hain.

 

Raza Va Hamid o Noori,Mufassir e Aazam,

Hamare Hazrat e Akhtar Hussain Waale Hain.

 

Raza Va Hamid Aur Mujahid-e-Millat,

Hamare Habib-e-Millat Hussain Waale Hain.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment