mazar e fatima noha lyrics

mazar e fatima noha lyrics

 

 

Mazar e Fatima

 

Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

Haye,
Dekho mazar e fatima kitna udaas hai

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

  1. Dekho mazar e fatima kitna udaas hai
    Bus ek nishan e sang hi turbat ke paas hai
    mehroom choomne se bhi har haq shanaas hai
    bol aye zamane dega bhala kya jawaab tu
    mehshar mein Mustafa ke jab aayega ru baru

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

  1. Allah re ye Fatima Zahra ki bekasi
    ek shamma bhi jalane ko aata nahi koi
    tanha hai ek goshe mein beti rasool ki
    charo taraf madine mein phaili hai roshni
    toote hue mazaar se lipti hai bekasi

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

  1. Bol aye zamane kya tere daman mein kuch na tha
    Zahra ne har namaz mein di hai tujhe dua
    tu ek tooti qabr hi Zahra ko de saka
    jab dekhte hai ujdi hui qabr e Sayyeda
    lagta hai jaise dhoop mein baithi hai Fatima

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

  1. Zahra wohi ke jiske pisar hai Hasan Hussain
    Zahra wohi ke jiske hai shauhar shah e hunayn
    Zahra wohi ke jo dil e payghambari ka chayn
    aisa luta ye chayn ke ghar baar lut gaya
    ek dil tha Fatima ka jo sau(100) baar kat gaya

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

  1. Pehlu mein aapke hai Hasan, Zainul Abideen
    Baqir bhi, aur Jafar e Sadiq bhi hai yahi
    haye kisi ki qabr salamat bhi ab nahi
    mehshar mein apna dard sunayegi Fatima
    ummat ne jo kiya hai bataengi Fatima

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

  1. Ghurbat rasool zaadi ki padhti hai marsiya
    hasrat se takta rehta hai roza rasool ka
    aankho’n mein ashk cheekhte hai wa Mohammada
    farsh e azaa bichane ko aajaiye Imaam
    Zahra ka ghum manane ko aajaiye Imaam

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

  1. Bibi tumhare laal ke ghumkhwaar aaye hai
    jaane kaha’n kaha’n se azadaar aaye hai
    nauha sunane aapke zawwaar aaye hai
    ye aarzu thi aankho’n se matti lagaenge
    socha na tha ke fateha padhne na payenge

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

  1. Zawwar chup hai saara baqaiyya udaas hai
    karbobala khamosh madina udaas hai
    har ek nabi ka chahne wala udaas hai
    bibi ko qabr mein bhi sukoo’n hai na chayn hai
    hai pasliyo’n pe haath zabaa’n par Hussain hai

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

Leave a Comment