Allah Allah Zaat E Mustafa Kis Kadar Lyrics
Allah Allah Zaat E Mustafa Kis Kadar Buland Shan Hai
Jis Pe Unke Paon Pad Gaye Wo Zameen Aasman Hai
अल्लाह अल्लाह ज़ात-ए-मुस्तफ़ा किस कदर बुलन्द शान है
जिस पे उनके पांव पड़ गए वो ज़मीन आसमान है
Apni Aakhirat Ke Waste Kyon Kisi Ke Haath Par Bikein
Do Jahan Me Sabse Mot’bar Mustafa Ka Khandan Hai
अपनी आखिरत के वास्ते क्यूँ किसी के हाथ पर बिकें
दो जहां में सबसे मोतबर मुस्तफ़ा का खानदान है
Ilm Par Guroor Mat Karo Wo Khadib E Ilm E Ghaib Hain
Mere Mustafa Ke Samne Qaynaat Be-Zaban Hai
इ़ल्म पर गुरुर मत करो वो खदीब-ए-इ़ल्म-ए-ग़ैब हैं
मेरे मुस्तफ़ा के सामने कायनात बे-ज़ुबान है
Jinko Fakr E Paarsayi Hai Wo Kahan Rahenge Hashr Me
Daman E Habib E Kibriya Aasiyon Ka Saayeban Hai
जिनको फ़क्र-ए-पारसाई है वो कहां रहेंगे हश्र में
दामन-ए-हबीब-ए-किबरिया आसिओं का साहेबान है
Jab Gunahgar Rouza E Mustafa Ke Aas-Paas Hon
Aisa Lagta Hai Ke Zindagi Rahmaton Ke Darmiyan Hai
जब गुनाहगार रौज़ा-ज-मुस्तफ़ा के आस-पास हों
ऐसा लगता है के ज़िन्दगी रहमतों के दरमियान है
Unke Zikr E Paak Ke Liye Souday Baaziyan Na Kijiye
Aye Shakeel Unka Zikr To Qabr O Hashr Ki Amaan Hai
उनके ज़िक्र-ए-पाक के लिए सौदे बाज़ियां न कीजिए
ऐ शकील उनका ज़िक्र तो क़ब्र ओ ह़श्र की अमान है
Shayar & Naat Khwan: Shakeel Arfi
Allah Allah Zaat E Mustafa Kis Kadar Buland Shan Hai