Beti To Rahmat Hai Lyrics
Beti To Rahmat Hai Lyrics – Farhan Ali Waris
Khuda Kisi Pe Agar Mehrban Hota Hai
To Usko Tohfe Me Beti Ata Wo Karta Hai
Beti To Rahmat Hai, Beti To Rahmat Hai
Allah Ki Rahmat Hai, Beti To Rahmat Hai
Allah Ki Rahmat Hai, Beti To Rahmat Hai
Rabbe Akbar Ki Hai Makhsoos Inayat Beti
Beta Maa-Baap Ko Nemat Hai To Rahmat Beti
Raat Din Karti Hai Maa-Baap Ki Khidmat Beti
Dil-E-Veera.N Ko Bana Deti Hai Jannat Beti
Gulshan-E-Zeesht Ki Har Shaakh Fali Beti Se
Nasle Paighamber-E-Islam Chali Beti Se
Beti To Rahmat Hai
Allah Ki Rahmat Hai
Beti To Rahmat Hai
Beta Maa-Baap Ki Daulat Hai Amanat Beti
Beta Hai Ghar Ka Charagh Aur Azmat Beti
Beta Maa-Baap Ki Duniya Hai To Jannat Beti
Beta Maa-Baap Ki Taaqat Hai To Raahat Beti
Aabroo Kunbe Ki Beti Ki Haya Hoti Hai
Beti Maa-Baap Ke Zakhmon Ki Dawa Hoti Hai
Beti To Rahmat Hai
Allah Ki Rahmat Hai
Beti To Rehmat Hai
Ek Mazdoor Ki Ghurbat Ka Khazana Beti
Ghamzada Baap Ke Hasne Ka Bahana Beti
Baap Ki Toot’ti Saanson Ka Maseeha Beti
Baap Ke Hoton Ka Makhsoos Tarana Beti
Baap Ne Jaise Hi Ik Beti Ka Chehra Dekha
Yun Laga Jaise Kisi Pyase Ne Dariya Dekha
Beti To Rahmat Hai
Allah Ki Rahmat Hai
Beti To Rahmat Hai
Baap Ki Raah Me Hai Aankhen Bichhaye Beti
Kabhi Ghar Me, Kabhi Darwaze Pe Aaye Beti
Din Dhale Jaise Hi Ik Baap Ko Paaye Beti
Kabhi Sar Aur Kabhi Paaon Ko Dawaye Beti
Baap Se Has Ke Gale Jab Ye Mila Karti Hai
Baap Ki Saari Thakan Door Hua Karti Hai
Beti To Rehmat Hai
Allah Ki Rehmat Hai
Beti To RehmatHai
Ye Sataaii Gayi Apne Kabhi Begaano Se
Aabroo Apni Bachati Rahi Shaitano Se
Muskura Kar Ye Guzar Jaati Hai Toofano Se
Khelti Rahti Hai Ye Apne Hi Armano Se
Zulm Sah-Sah Ke Bhi Har Ik Ko Dua Deti Hai
Ashk Pee Leti Hai Har Gham Ko Chhupa Leti Hai
Beti To Rehmat Hai
Allah Ki Rehmat Hai
Beti To Rehmat Hai
Ghar Ki Izzat Ki Nigehban Hai Seerat Iski
Ek Anmol Nageena Hai Mohabbat Iski
Noor Aankhon Ka Badha Deti Hai Soorat Iski
Har Kade Waqt Me Padhti Hai Zaroorat Iski
Ghar Me Raunk Hi Nahin Hoti Bina Beti Ke
Maa Ka Badla Hi Nahi Koi Siwa Beti Ke
- surah alam nashrah in roman english
- Surah At-Tin full Arabic English text for reading
- SURAH FALAQ AND NAAS
- Surah Yaseen In Hindi & English
- surrah yaseen
- Syed Faseehuddin Soharwardi Naat Lyrics
- Tafseer Dur-e-Mansoor 1
- Tafsir Ibn Kathir | Quran Tafsir
Beti To Rehmat Hai
Allah Ki Rehmat Hai
Beti To Rehmat Hai
Baap Ko Isne Kisi Ranj Me Rone Na Diya
Ek Be-Saya Ko Eesaar Ka Saya Bakhsha
Isne Haalaat Ka Apne Kabhi Shikwa Na Kiya
Apne Ashkon Se Masa’ib Ka Har Ik Zakhm Siya
Baap Ko Has Ke Kaleje Se Lagaya Isne
Hausla Toote Huye Dil Ka Badhaya Isne
Beti To Rehmat Hai
Allah Ki Rehmat Hai
Beti To Rehmat Hai
Haye! Shabbir Juda Ho Gaye Beti Se Raza
Kya Likhun Shame Ghariban Ka Ajab Manzar Tha
Haal Pe Beti Ke Padhti Thi Udaasi Nauha
Aur Maqtal Me Tadapta Tha Padar Ka Laasha
Kisi Zakir Se Na, Shayar Na, Wali Se Poochho
Pyar Beti Ka Hussain Ibne Ali Se Poochho
Beti To Rehmat Hai
Allah Ki Rehmat Hai
Beti To Rehmat Hai