Dagh E Furqate Taiba Qalb Muzmahil Jata
Daagh-e-furqate Taiba Qalb Muzmahil Jaata
Kaash Gumbade Khazraa Dekhne Ko Mil Jaata
Mera Dam Nikal Jaata Unke Aastane Par
Unke Aastaane Ki Khaak Mai Mein Mil Jaata
Mere Dil Se Dhul Jaata Daaghe Furqate Taiba
Taiba Mai Fanaa Ho Kar Taiba Mai Hi Mil Jaata
Maut Le Ke Aa Jaati Zindagi Madine Mein
Maut Se Gale Mil Kar Zindagi Mein Mil Jaata
Khuld Zaare Taiba Ka Is Tarha Safar Hota
Peeche Peeche Sar Jaata Aage Aage Dil Jaata
Dil Pe Jab Kiran Parti Unke Sabz Gumbad Ki
Uski Sabz Rangat Se Baagh Ban Ke Khil Jaata
Furqate Madina Ne Woh Diye Mujhe Sadme
Koh Par Agar Padte Koh Bhi To Hil Jaata
Dil Pe Woh Qadam Rakhte Naqshe Paa Yeh Dil Banta
Yaa To Khaak-e-paa Ban Kar Paa Se Muttasil Jaata
Un Ke Dar Pe Akhtar Ki Hasratein Hui Poori
Saaile Dare Aqdas Kaise Munfail Jaata