RewriteEngine On RewriteCond %{HTTP_HOST} ^barkateraza\.com$ [NC] RewriteRule ^( .* )$ https://www.barkateraza.in/$1[L,R=301,NC]

Hazrat Abdullah ibn Mas’ood Biography

Hazrat Abdullah ibn Mas’ood Biography

 

Hazrat Abdullāh ibn Mas’ood radiy-Allāhu ta’ala anhu :
******************

Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Muallim-ul-Ummat.
******************
Aap ki wilaadat 594 A.D. me Makka me hui.
******************
Aap ke waalid ka naam Mas’ood bin Ghafil aur waalida ka naam Umm Abd bint Abdwadd hai.
Aap Banu Tameem qabeele se ta’alluq rakhte hain.
******************
Aap Uqba ibn Abu Mu’ayt ki bakariya charaate the. Ek martaba Aap ki mulaaqaat Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam aur Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu se hui. Unho ne doodh maanga magar Aap ne kaha ke “Ye mere maalik ki amaanat hain aur main apne maalik se be-wafaai nahi kar sakta.” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne ek aisi bakri ke liye kaha jise doodh na aata ho aur phir us bakri ke than par haath maara to us me se doodh aane laga. Aap ne arz kiya “Mujhe bhi ye mubarak alfaaz sikhaao.” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Qur’an majeed ki aayate tilaawat farmai.
Is ke baad Aap Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki daawat par eimaan laaye.
Aap as-Saabiqoon al-Awwaloon me shaamil hain.
******************
Ek roz musalmano ne mashwara kiya ke “Quraish ne kabhi Qur’an suna nahi hai. Hume un ko Qur’an majeed sunaana chaahiye.” Aap foran tayyaar hue. Ka’abatullāh ke paas khade hokar Aap ne Qur’an majeed ki aayten tilaawat karna shuru kiya. Jab Quraish ko pata chala ke yeh musalmano ki kitaab ki aayten hain to unho ne Aap ko maarna shuru kiya. Aap ka chehra jakhmi ho gaya magar Aap tilaawat e Qur’an karte rahe.
******************
5 Nabawi (616 A.D.) me Aap ne apne bhai Hazrate Utba radiy-Allāhu ta’ala anhu ke saath Habasha (Abyssinia) ki taraf hijrat ki. Muhaajireen ke is giroh (qaafile) me 87 mard aur 17 aurten thi.
8 Nabawi (619 A.D.) me Aap Hazrat Abdur Rahmān bin Awf ke saath Makka waapas aaye to Quraish ne phir se Aap ko takleef dena shuru kiya.
13 Nabawi (622 A.D.) me Aap Makka se hijrat karke Madeena munawwara aa gaye.
Aap ne Hazrat Muaz ibn Jabal radiy-Allāhu ta’ala anhu ke ghar me qayaam farmaaya.
Kuchh waqt baad Ahle Madeena ne Aap ko aur aap ke bhai Hazrate Utba ko rehne ke liye Masjide Nabawi ke pichhe zameen di.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ko Hazrat Zubair ibn Awwaam radiy-Allāhu ta’ala anhu ka islaami bhai banaaya.
*********************
Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke Khuddaam-e-khaas me se hain.
Aap safar me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ka saamaan (Mishwaak. Maskija, Naalain, Bistar wagairah) uthakar saath chalte the. Raat me jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam aaraam farmaate tab Aap jaagkar nigraani karte. Jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ghusl karte to Aap waha parda lekar kahde rehte.
Jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam apne Naalain mubarak utaarte to Aap unhe apni aastin me rakh lete. Is liye Aap ko ‘Saahib-e-Naalain’ bhi kaha jaata hai.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ko apne ghar me din me ya raat me kisi bhi waqt daakhil hone ki ijaazat ata farmai thi.
******************
Ek martaba Aap lakdiya kaatne ke liye ek darakht par chadh rahe the. Kuchh log Aap ke duble patle pairo ko dekhkar hansne lage to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Tum in patle pairo ko dekhkar hans rahe ho? Ye qayaamat me mizaan par Jable Uhad se bhi bhaari honge.”
******************
Aap Jung e Badr, Jung e Khandaq, Jung e Tabook aur dusri jungo me shareek hue.
Junge Badr me Hazrat Muazza wa Muaz bin Ufra radiy-Allahu ta’ala anhuma naami do nau-umr ladko ne hamla karke Abu Jahl ko shadeed jakhmi kar diya aur phir jab Hazrat Abdullāh ibn Mas’ood radiy-Allahu ta’ala anhu Abu Jahl ke qareeb se guzre aur dekha ki us ka pair kat gaya hai aur woh zinda hai to Aap ne us ka sar kaat daala.
******************
Aap ko Qur’an majeed ki tilaawat se bahot mohabbat thi aur bahot umda tilaawat e Qur’an karte the. Ek martaba khud Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ko tilaawat e Qur’an sunaane ke liye farmaaya tha.
******************
Aap Qur’an, Sunnat, Fiq’h aur Tafseer ke maahir the.
Ek martaba kisi shakhs ne kisi Qur’an ki aayat ke ma’ana par aitraaz kiya to Aap ne farmaaya “Khuda ki qasam, Maine khud Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se 70 Surah ki ta’aleem haasil ki hai.”
Aap se 848 Ahaadeeṡ marwi hai.
******************
Aap riwaayat karte hain ki
(1) Ek shakhs ne Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me haazir hokar arz kiya “Us shakhs ke baare me Aap ka kya irshaad hai jo kisi qaum se mohabbat rakhta hai lekin un se milta nahi hai?”
Is par Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “(Qayaamat ke roz) Woh aadami usi ke saath hoga jis se mohabbat rakhta hai.”
(2) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya
“Gunaah ki Tauba karne waala shakhs aisa hai ki jaise us se kabhi gunaah hua hi nahi.”
(3) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya
“ALLĀH ta’ala se us ka fazl maangte raho. Beshak ALLĀH ta’ala pasand karta hai ke banda us se maange aur behtareen ibaadat yeh hai ki banda khush-haali ke intazaar [ummeed] me rahe.”
(4) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya
“Jo shakhsh gham me apna rukhsaar pite aur girebaan phaade aur daure jahaalat ke logo ki tarah chillaaye [noha kare] woh hum me se nahi.”
(Bukhari, Jild -2, Hadeeṡ -748)
(5) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya
“Musalman ko gaali dena Fisq hai aur musalman se ladna jhagadna Kufr hai.”
(Bukhari, Hadeeṡ -68)
******************
Ek martaba kisi ne suna ke fajr ke waqt koi masjid ke kone me dua kar raha hai ke “Aye mere Rab! Maine tere hukm ki ita’at ki. Ab fajr ka waqt ho gaya hai. Is liye mujhe ijaazat de.” Qareeb jaakar dekha to woh Hazrat Abdullāh ibn Mas’ood radiy-Allāhu ta’ala anhu the.
******************
Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Aap ko Kufa ke Qaazi, Moallim aur Khazaanchi ke ohade par faa’iz kiya gaya. Hazrat Umar Faarooq ne Kufa waalo ko likha ke “Tumhare liye Hazrat Abdullāh ibn Mas’ood ko bhejkar maine tum logo ko khud par tarjeeh di hai.”
Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Kufa ke governor Waleed ibn Uqba ke saath kuchh ikhtilaaf ki wajah se Aap ne apne ohade se istifa de diya.
Kuchh waqt Kufa me thehrne ke baad Aap Madeena munawwara waapas aaye.
******************
Ek martaba Aap masaafate Kufa se guzar rahe the. Aap ka guzar Faasiqeen ke ek giroh par hua, jo sharaab pee rahe the. Zaajaan naami ek gavayya dhol bajaakar bahot khubsurat aawaaz me gaa raha tha. Aap ne sunkar kaha ke ‘Kitni khubsurat aawaaz hai. Kaash ke ye Qur’an kareem ki tilaawat me istemaal hoti.’ aur sar par chaadar daal kar waha se rawaana ho gaye.
Zaajaan ne jab Aap ko jaate hue dekha to logo se puchha ke “Yeh kaun hain?” Logo ne bataaya ke “Sahaabi e Rasool Hazrat Abdullāh ibn Mas’ood radiy-Allāhu anhu hain.” Us ne puchha ke “Woh kya keh rahe the?” Logo ne bataaya ke “Unho ne kaha ke kitni achhi aawaaz hai. Kaash ke Qir’ate Qur’an ke liye hoti.”
Yeh Baat sunte hi us ke dil par ro’ab sa chha gaya. Apne barbat (mazaamir) ko zameen par patak kar tod diya. Khada hua aur gardan me rumaal daala aur Aap ke paas aaya aur rone lag gaya. Aap ne use gale se lagaaya aur rote hue farmaaya ke “Main aise shakhs ko kyun na mehboob samjhu jise ALLĀH ne mehboob bana liya ho.”
Gunaaho se tauba karne ke baad Hazrate Zaajaan ne Hazrat Abdullāh ibn Mas’ood ki sohbat ikhtiyaar karke Qur’an e kareem aur digar uloom sikhe. Hatta ke Imaam ban gaye. Hazrat Abdullāh ibn Mas’ood radiy-Allāhu anhu ki kai riwaayat Hazrate Zaajaan se marwi hain.
******************
Zilhijjah 31 Hijri (652 A.D.) me ek roz Aap apne saathiyo ke saath Rabaza ilaaqe se guzar rahe the ke Hazrat Abu Zar Ghaffaari ki biwi se mulaaqaat hui aur unho ne bataaya ke Hazrat Abu Zar Ghaffaari intiqaal ke qareeb hain to Aap foran un ke khaime par pahunche aur inieqaal ke baad Hazrat Abu Zar Ghaffaari ki tazheez ki aur Aap ne un ki namaaze janaaza padhai.
******************
Aap ka nikaah Zaynab bint Abdullāh al-Ṡaqafi se hua.
Aap ki kai saahabzaadiya aur ek saahabzaade : Hazrat Abdur Rahmān hain.
******************
Wisaal se kuchh arse pehle Ameer-ul-mo’mineen Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu Aap ki iyaadat ke liye tashreef laaye aur khazaane se kuchh ata karne ke liye kaha to Aap ne farmaaya “Mujhe is ki zaroorat nahi hai.” Hazrat Uṡmaan Ghani ne farmaaya “Baad me Tumhari bachiyo ko kaam aayega.” Aap ne farmaaya “Maine apni betiyo se farma diya hai ke har raat Surah Waaqiyah padha kare. Maine Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ko ye farmaate hue suna hai ke jo aadami har raat Surah Waaqia padhega wo kabhi faqr o faaqa me mubtila nahi hoga.”
******************
Aap ka wisaal 7 Ramazaan 32 Hijri (April 653 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena Munawwara me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Abdullāh ibn Mas’ood radiy-Allāhu ta’ala anhu aur tamaam Auliya Allāh aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment