RewriteEngine On RewriteCond %{HTTP_HOST} ^barkateraza\.com$ [NC] RewriteRule ^( .* )$ https://www.barkateraza.in/$1[L,R=301,NC]

Mahe Muharram Roze Ki Fazilat

Mahe Muharram Roze Ki Fazilat

 

 

 

بسم الله الرحمن الرحيم

Yun To Tamam Mahine aur unme kiye jaane waale nek amaal Allah ki bargaah me kabool aur makbool hote hai par khas mahine aur din aise bhi hote hai jinke ahmiyat aam din wa mahine kay mukable bahot zyada hoti hai jinme se 04 Mahine Allah ki bargaah me bade makbool jiska zikr Allah Paak Quran E Karim me karta hai

إِنَّ عِدَّةَ الشُّهورِ عِندَ اللَّهِ اثنا عَشَرَ شَهرًا في كِتابِ اللَّهِ يَومَ خَلَقَ السَّماواتِ وَالأَرضَ مِنها أَربَعَةٌ حُرُمٌ
“Beshak Mahino Ki Ginti Allah Kay Nazdeeq Barah 12 Mahine Hain Allahg Ki Kitab Jab Se Usne Aasmaan Aur Jameen Banaye Unme Se Chaar (04) Hurmat Waale Hai”
(Surah Tawbah Ayat 36)
Ye Char Mahine hai Zul Qi’dah, Zil Hijja, Muharram Aur Ramzan yaani Islami saal kay 11,12,01 aur 09 mahina.
Is maah Mahe Muharram Ul Haram bhi Allah Ki bargaah me bada makbool hai Islam kay naye saal ka pahla maah bhi hai aur issi maah tamam Sunni Sahih Aqeeda Is saal ki shuruwat hi Zikr E Sardar E Jannat Syed Us Shohda Shaheed E Azam Imam Hussain Ibn Ali Radiallahu Anhu ki shahadat aur Ahle Bayt Kay Fazail Manakib bayan karte hai chunki is maah ko ek khas nisbat hai Imam Hussain Radiallahu Anhu Se.

AASHURA YAANI 10 MUHARRAM KO ROZE RAKHNE KI FAZILAT
RAMZAN UL KARIM KAY BAAD SABSE AFZAL ROZA MUHARRAM KA HAI
Hadees 01:
“Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسل Ne Farmaya
Sab Rozo Me Afzal Ramzan Ka Roza Aur Uske Baad Muharram Ka Roza Hai, Jo Allah Ka Mahina Hai Aur Baad Namaz E Tahazud ki Namaz Hai”
Reference :
(Sahi Muslim Vol :03, Pg :246, Kitab As Saum, Baab : Muharram Me Roze Ki Fazilat, Hadees : 2755 “Online No : 2611”)
Yaum E Aashura 10 Muharram Ko Roza Rakhna Sunnat E Nabi صلى الله عليه و آله وسل Hai
Hadees 02 :
“Hazrat Abdullah ibn Abbas Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai
Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل Jab Madina Tashreef Laaye to Yahudiyo Ko Dekha k Aashure K Din Roza Rakhte Hai. Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل Ne Unse Pucha K Roza Kyu Rakhte Ho ?
Unhone Kaha Ye Wo Mubarak Din Hai Jab Allah Ne Bani Israel Ko Unke Dushman Se Nizaat Di.
To Hazrat Moosa Alaihsalam ne Is Din Roza rakha.
To Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل ne Irshad farmaya Hum Tumse Zyada Dost Hai Aur Kareeb hai Moosa Alaihsalam k Phir Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل Ne Musalmano Ko Aashure K Din Roza Rakhne ka Hukm Diya”
Reference :
(Sahi Bukhari Vol :03, Pg : 133, Kitabus Saum, Baab : Saum E Yaumal Aashura, Hadees : 2004)

Aashure Ka Roza Pichle Saal k Gunaho Ka Kaffara Hai
Hadees 03 :
Abu Qatada Ansari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Nabi صلى الله عليه و آله وسل se Asura (10 Muharram) ke din ke Rozey ke bare mein pucha to Aap صلى الله عليه و آله وسل ne faramaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai.
Reference :
(Sahih Muslim Vol :03, Pg :243, Kitab As Saum, Hadees : 2747)
Kitne Roze Rakhe ?
Aksar Log Isme Bhi Confuse Hote Hai k Kitne Roze Rakhne Hai
Awwal to Jitna Aap rakh sake rakhe jitne rakhe utna faida hai dusri baat log 9 10 ye tarikh me confuse hai to uska jawab bhi hadees me hai , 9 Aur 10 Muharram ko rakhe
Hadees 04 :
“Hazrath Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسل Ne Aashurey ke din (10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, tou logo ne Arz ki : “Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam ye din to aisa hai ki iskiTaazim karte hain Yahud aur Nasara”?
To Aap صلى الله عليه و آله وسل Ne farmaya Ki : “Jab Agla Saal aayega to Inshallah Hum 9 ka Roza Rakhege” Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap صلى الله عليه و آله وسل Ne Duniya se parda farma liya”
Reference :
(Sahi Muslim Vol :03, Pg :205, Kitab As Saum, Hadees : 2666)
Note : Jo kisi wajah se 9 ko naa rakh sake to 10 aur 11 ko rakh sakte hain
09 & 10 ko Roza Rakhna Sunnat hai agar koi Muslim Roza kisi aisi wajah se naa rakh saka kay uski tabyaat yaa koi sharai mazburi hoto usko maah me 02 to jarur rakhna chahye jab mauka mile phir bhi agar naa rakh saka to koi gunaah nahi hai lekin agar koi shaks ho accha khasa tandrust par ROZA sirf KHICHDA SARBAT kay chakkar me chod de aur yaa phir Murwazza TAZIYADARI ki khurrafat kay liye chod de aur phir khud ko bahot bada Hussaini hone ka dawa bhi kare to yakin jaan le ye dawa jhuta hai aur shaitan ka waswasa hai.
Imam Hussain ibn Ali Radiallahu Anhu ne Yazeed kay haath pe bayt kyun naa ki thi kyuki Yazeed Sunnato ko mithane waala aur shariat kay ahkaamat kay khilaf tha aur aaj kuch jaahil khud ko Hussaini kah kay Sunniat ko nuqsaan pahuchate hai aur kaam Yazeed kay karte hai.
Unhe Sochna chahye kay Imam Hussain Radiallahu Anhu ko tab khushi hogi jab Ummat E Muslima kay har nawjawan deen pe sahih se amal karenge jis kaam liye unhone itni badi shahadat di hai.

AASHURE KAY DIN ADA KI JAANE WAALI KUCH NAFL NAMAZ
Imam Abdur Rehman ibn Abdus Salam Safuri likhte hai
“Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسل Ne Irshad Farmaya Jo Shaksh Aashure Kay Din 04 Rakat is tarah padhe kay har rakat me Surah Fatiha kay baad 11 baar Surah Ekhlas padhe To Allah Taala uske 50 Saal Kay gunaah maaf farmayga aur uske liye Noor ka Mimber banayga”
(Nuzhatul Majalis Vol : 01, Pg : 181)

“Hazrat Abdullah Ibn Masood Radiallahu Anhu Se Rivayat hai Nabi E Akram صلى الله عليه و آله وسل Ne irshad farmaya Jo Shaksh Yaum E Aashure Kay Roz Apne Ghar Waalo Pe Khane Peene Me Khushadgi Karega Saal Bhar Tak barabar Khusadgi Me Rahega”
References :
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 03, Pg : 366, Hadees : 3790)
(Maa Sabata Bis Sunnah, Pg : 10)
(Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Ashatul Lam’aat Shara E Mishkat Vol : 03, Pg : 135)
(Imam Ghazali Muqashafatool Quloob Pg :655)
(Mazahir E Haqq Vol : 02, Pg : 135)

IMAM HUSSAIN IBN ALI RADIALLAHU ANHU KI NIYAZ KARNA
Shah Abdul Aziz Muhaddis Dahelvi Rahmatullah Alaih jinko Deobandi, Ahle Hadees Wahabi dono firqe maan ne ka dawa karte hai wo Imam Hussain Ibn Ali Radiallahu Anhu kay Niyaz kay muttalik likhte hai
“Jo Khane Ki Hazrat E Hasnain Karimain Ki Niyaz kare Aur Uspar Fatiha, Kul Aur Durood Sharif padhne se tabarruk hojata hai iska Khana bahot accha hai ”
(Shah Abdul Aziz Fatawa Azizya Vol :01, Pg : 78)
Aur Ek Jagah Irshad Farmate hain
“Aur Agar Malida aur chawalon ki kheer kisi buzurg kay liye Fatiha kay liye Isaal E Sawab ki niyat se paka kar khilaye to koi harz nahi”
(Shah Abdul Aziz Fatawa Azizya Vol :01, Pg : 50)

“Ek Ahem Masla Aqsar hamare kuch Sunni Hazrat apni kam ilmi aur jahalat ki bina pe kuch aisa kaam karte hai jo shariyatan durust nahi hai
Kuch logo ko humne dekha hai kay wo Khane Ki Cheez ko Taziya banake uspe wo khane ki cheez chadate hai aur phir Niyaz kahke tabbaruk samajh kay khana khilana shuru kar dete hai.
YE AMAL DURUST NAHI HAI AUR ISKO KHANE NAHI CHAHYE”
Imam E Ahle Sunnat Fazil E Barelvi Ash Shah Ahmad Raza Khan Rahmatullah Alaih apne risala Tajiyadari me likhte hai
“HAZRAT IMAM KI NIYAZ KHANI CHAHYE AUR TAZIYA KA CHADA HUWA NA KHANA CHAHYE,
TAZIA PAR CHADANE SE HAZRAT IMAM HUSSAIN RADIALLAHU ANHU KI NIYAZ NAHI HOJATI, AUR AGAR NIYAZ DE KAR CHADAYE YAA CHADAKAR NIYAZ DILAYE To US KHANE SE AHTERAAZ CHAHYE Yaani Bachna Chahye”
(Risala Taziyadari Pg : 22 Sawal No 06 Kay Jawab me)
AASHURE KAY DIN KAY KUCH BAHTAREEN AMAL
01) Gusl karna 02) Surma lagana 3) Roza rakhna 04) Nawafil Padhna 05) Surah Ekhlaas Ki Kasrat karna 06) Nabi Aur Aale Nabi Pe Durood Sharif padhna 07) Marizo Ki Iyadat Karna 08)Shohda E Karbala ko Khoob khoob Isaal E Sawab karna 08) Yatimo Kay sar pe haath pherna 09) nakhun tarashna 10) Ghar waalo pe khaane me Farakhi karna Kanjusi naa karna.

 

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment