shero shayari

shero shayari

 


Kisi ki yad dil main hai,koi ehsas baqi hai
Badalte mosamon k darmian ek raz baqi hai

Abhi main safar main hon,Milegi manzil mujhe,
magar in raston k darmian ek sath baqi hai

kahin pe sham dhalti hai,kahin rat hoti hai
Abhi to chandni hai, Chand ki rat baqi hai

Chale ao kisi din tum humara haal b dekho
Humara dil bejan hai magar ek sans baqi hai

Umed hai phr b milega wo humain ek din
khuda par hai bharosa, Khuda ki zat baqi hai


Yun to kitne aye guzar gaye es jindagi me

par na jane kyun en kaano ko sirf unka hi alfaaz chahiye.

Nihaarte to humme besumar nigahein hai,

Par humme to unki ankho ki wo shararti andaaz chahiye.

Humme sirf unki ek choti si mulakat chaihye


Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin

Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin

Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin

Un ka Wada to hai magar Dil ko
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin

Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin

Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin

Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin

Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin

Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin

Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin


Koi phol do, koi khawab do, main bohat dinon say udaas hun
Meri zeest ko tab_o_taab do, main bohat dinon say udaas hun

K ye intezar k saaray pal hain azab_e_jaan banay huay
Meray khat ka kuch to jawab do, main bohat dinon say udaas hun


Aaj kuch waqt k liye paas mere, kash tum aa jaty
boht tanha hun me aaj, kash tum aa jaty

Kabi khud ko itna kamzor na hony dia me ne
Par aaj bikhar geya hun me, kash tum aa jaty

Barson se jee raha hun bin tere
Aaj nahi guzar raha 1 pal, kash tum aa jaty

Waqt ki raftar b jese tham c gai hy
Tham na jaye meri saans, kash tum aa jaty.


Apni yadien apni batien le kr jana bhool gya tha.

Jane wala jaldi main tha mil kr jana bhool gya tha.

Mur mur kr yun dekh raha tha jate jate,

Jese us ne kehna tha kuch jo wo kehna bhool gya tha.

Wqt-e-rukhst meri ankhin ponch raha tha hathon se,

Usko gham tha itna zyada khud wo rona bhool gya tha.


Kal Phir Milenge Hum,
Baatenge Apne Sukh Or Gum,
Kuch Mein Apni Kahunga ,
Kuch Apne Dil Ki Kahogi Tum…
Is Mulakat Mein
Pehle Se Alag Baat Hogi,
Meri Jaan Mere
Saath Ek Mahine Baad Hogi…

Aaj Bhi Yaad Aata Hai,
Woh Tera Muskurana,
Woh Mera Teri Aankhon Mein Dekhna,
Woh Tera Sharmana…


Ajeeb shaks tha, najane kya talash karta tha,,,,

Shaad raha tha vo uski yadoon mein sadaa is kadar….
Subah ke ujjalo mein andhere talash karta tha….

Kuch ajeeb, zindagi se juda juda si thi saksheeyat uski….
Bhari bazm mein tanhaai talash karta tha

Ajeeb shaks tha, najane kya talash karta tha,,,,


Sadion say jaagi aankhon ko ek baar sulanay aa jao
Mana k tum ko pyar nahi nafrat hee jatanay aa jao

Jis mor pay hum ko chor gaye hum baithay ab tak soch rahay
Kya bhool hui kyou juda huway bus yeh samjhanay aa jao

Har lamha teri furqat mein hum tarsay rahay
Meri manoo tum is dil ko kuch pal behlanay aa jao


‘Khud ko chup karak main aj boht roya
purani yadoon ko gunguna k main aj boht roya

tanhai k gumse nidhal ho ker
teri tasveer galy laga k aj boht roya

apnon ne jo kia wo sb bhula dia
ghayron ko aazma k main aj khoob roya

main kahan is qabil k wo mulaqaat karen
khwahishon ko dabo dabo ke main khoob roya


Suno
Tum Aa Jao Na

Suraj Dhal Gaya Hai

Ek Haseen Sham Utri Hai

Wo Dekho Naya Chand Nikla Hai

Mari Muntazir Aankhein

Dua Mangti Aankhein

Tumhein Sochti Aankhein

Tumhein Dondti Aankhein

Tumhein Wapis Bolati Hein

Ye Dil Jab Bhi Dharkta Hai

Tumhara Naam Leta Hai

Ye Aanso Jab Bhi Behte Hein

Tumhare Dukh Mein Behte Hein

Khushi Koi Bhi Aaye Tumhare Bin Adhori Hai

Suno

SUNO TUM AA JAO NA
“TUM AA JAO NA


Guzar gaee raat aankhon aankhon main
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main

Sadiyoun say piyaasi thee mohabbat
Ho gaee bersaat aankhon aankhon main

Mil na saka tha dil kabhi dil say
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main

Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi
Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main

Day diya dil aik doojay ko
Ho gaee soghaat aankhon aankhon main

Sab rasmoon riwajoon ko Saqi
Ho gaee maut aankhon aankhon main


Ye MAST MAST Be-Misal Ankhen
Nashay Se Har Dam Nidhal Ankhen
Uthen To Hosh-o-Hwaas Cheenen
Giren To kar Den kamal Ankhen
Koi Hai ¡nn k Karam ka Talib
Kisi ka Shok-e-Wisal Ankhen
Na Yun Jalain Na Yun Satain
Karen To kuch Ye kheyal Ankhen
Hyn Jeene ka ik Bahana Yaro
Ye Rooh Parwar Jamal Ankhen
Daraz Palken Ghazal Ankhen
Musawri ka Kamal Ankhen
Shrab RAB Ne Haram kardi
Magr Rakhi Hen Halal Ankhen
Hazaro inse Qatal Hue
Hen
Khuda k Banday Sambhal Ankhen,


Nazron Se Nazrain Milen To Bura Maan Gaye
Hum Ne Aankhon Say Ishara Kia To Bura Maan Gaye

Mohabbat Ka Izhar To Unhon Ne Bhi Kia
Haal-E-Dil Hum Ne Sunaya To Bura Maan Gaye

Har Baat Pe Muskurana Aadat Thi Un Ki
Zara Hum Ne Hunsaya To Bura Maan Gaye

Humain Aazmanay Ki Baat Kartay Thay Wo Aksar
Jab Hum Ne Aazmaya To Bura Maan Gaye

Pyar Main Bewafai Na Karna Aksar Wo Kehtay Thay.
Is Baat Ko Main Ne Doharaya To Bura Maan Gaye,


Zindagi Par Kitab Likhungi.
Us me sare hisab likhungi.
pyar ko waqt guzari likh kar chaton ko azab likhungi.
huee barbad mohabbat kese.
kese bikhrain hain khawab likhungi.
apni khawish ka tazkira kar ke us ka chera gulab likhungi.
Or main us se judaie ka sabab apni kismat kharab likhungi.


Kafan se kafan ko dafan karne waalon,
Khusi se kasam ko wehem karne waalon,

Sitam se sanam ka karam karne waalon,
Kantoon se jakham ka marhum karne waalon,

Tamanna thi mujhe bas teri saath ki phir,
Kyon dhokha diya aye rehem karne waalo!!


Likhe Taza Tareen Sher Abhi Tere Ishq Mein,
Na Dekhe Gham Nahi Andher Kabhi Tere Ishq Mein,

Ghazal Bani Hai Abhi Bas Abhi Abhi Hi To,
Piroye Sher Se Jab Sher Sabhi Tere Ishq Mein,

Mizaaz Ishquia Rakhta Nahi Mai Muddat Se,
Magar Mai Kyon Na Rakkhun Aaj Abhi Tere Ishq Mein,

Zaraa Ik Baar To Nazren Uthakar Dekh Le Mujhko,
Main Padhna Chahta Hun Kya Likha Hai Tere Ishq Mein,

Mujhe Maloom Hai Per Kya Tujhe Maloom Hai Ye Sab,
Ki Usane Kya , Kahan , Kab , Kyon Likha Hai Tere Ishq Mein,


Jab tere shehar mein raha karte thy
Hum bhi chup chap jiya karte thy

Ankhon mein pyas hua karti thi
Dil mein toofan utha karte thy

Log aatey thy ghazal sunaney
Hum teri baat kiya karte thy

Ghar ki deewar sajaney ki khatir
Hum tera naam likha karte thy

Aaj teri tasveer dekhi to yaad aaya
Kabhi hum bhi mohabbat kiya karte thy


Janun ko zabt sikha loon to phir chaley jana
mein apna aap sanbhaa loon to phir chaley jana

usi tarah hai abhi tishnagi in aankhon mein
mein in ki piyas bujha loon to phir chaley jana

dil ko ye waham k tum laut ker na aao ge
ye waham dil se nikaaloon to phir chaley jana

bayaz-e-dil peh jo utri hai surat-e-ilham
wo ghazal tum ko suna loon to phir chaley jana

nisaar hotey hain shama peh kesey perwaney
yeh jashan tum ko dikha loon to phir chaley jana.


Meri aankhon me nami ka hi smaan rehta ha,

DiL me ik dard jo muddat sy jawaan rehta ha,

Wo jo kehta tha k bichrein gy to mar jaein gy,

Ab ye maloom nhi ha, wo kahan rehta ha,

Aik us ko meri chahat ki zroorat na rhi,

Warna mera to talbgar jahan rehta ha,

Wo samjhta ha k main bhool gaya hon us ko,

Khud sy bhi ziyada mujhy jis ka dehaan rehta ha,

Youn udasi mery sir pr ha musalsal,

Jesy dil py koi zakhmon ka nishan rehta ha..


Ab Jo Rothy to
Kbhi Manana nhi Ja ker,

Seh lein gy Dukh
Usy Sunana nhi Ja ker

Lout Aaye ga Zror
agr Wo Mera huwa

Aaj sy Teh huwa
Khud Bulana nhi Ja kr

Usy Chaha hy
Usy Chahty rhein gy

Us k Dil mein hy Kya
Aazmana nhi Ja ker

Milay to Brsa dein gy
Hum Pyar Us py,

Nhi to Haal-e-Dil b Btana nhi Ja kar.


“Dil Bethe tujh pe Haar piya,
Kr tu b Hum se pyar piya
Ab dard ka darman kon bnay
Hum Barson se Bemaar piya
In Galyon Me kuch Bhol Gaey
Dil roye
zar-o-zaar piya
kyun chup chup Gum sum rehte ho
Ye pochen Hum se yar piya
Kuch dil b Bojhal Bojhal hai
Kuch yadon ka Ambaar piya
Hum tujh se hai Nraz Boht
Ye Bhol Gaye Hr Bar piya
Kis Haal Me ha Ab Deewana
Aa dekh
sar-e-bazar piya
Ik khwb Ajb sa dekha tha
Hum us din se Bezar piya
Ab Nend b Hum se rooth Gai
Phr kese ho dedar piya
Ab keh daalo to Behtar ha
Jo karna ha iqraar piya
Dil Ghum se hi phat jaye Ga
Kr dena Na inkaar piya.


Hai isi mein pyar ki aabroo
Woh jafa kare main wafa karoon
Jo wafa bhi kaam na aa sake
To wohi kahen ke main kya karoon

Mujhe gham bhi unka azeez hai
Ke unhi ki di hui cheez
Yehi gham hai ab meri zindagi
Ise kaise dil se juda karoon

Jo na ban sake main woh baat hoon
Jo na khatm ho main woh raat hoon.
Yeh likha hai mere naseeb mein
Yoon hi shamma banke jala karoon.

Na kisiki dil ki hoon aarzoo
Na kisi nazar ki hoon justujoo.
Main woh phool hoon jo udaas ho
Na bahaar aaye to kya karoon.


Koi tumse puche kon hoon main
Tum keh dena koi khaas nahi
Ek dost hai kacha paka sa
Ek jhoot hai aadha sacha sa
Ek khuwab adhoora poora sa
Ek phooL hai rookha sookha sa
Ek sapna hai bin socha sa
Ek apna hai an dekha sa
Ek rishta hai an jana sa
Haqiqat men afsana sa
Kuch pagaL sa deewana sa
Bas ek bahana achha sa
Jeevan ka aisa sathi hai
Jo door ho k bhi paas nhi
Koi Tumse puche kon hoon main?
Tum keh dena koi khaas Nahi.


Main kisi aur ki hun,itna bta kar roi

Wo mujhe Mehndi lagay hath dikha kr roi

Main Be-Qasoor hoon Qudrat ka faisla hai ye

Lipat k mujh se wo bus itna bta k roi

Mujh pe aik karb ka toofan ho gya hayel

Jab mere samny khat mere jala kar roi

Meri nafrat aur adawat pighal gayi pal mein

Wo Bewafa hai to Q mujh ko rula kr royi

Sab shikway mere 1 pal mein beh gaye “wassi”

Jheel si Aankhon mein jb Aansu saja kar roi.


Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi
Khuwabon Ki Duniya Apni Us Se Hi Saja Di Thi

Chaha Tha Us Ko Hum Ne Khud Se Bhi Bohat Barh Kar
Us Chahat Mein Hum Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi

Maloom Nahi Tha Hum Ko Woh Bewafa Bhi Hoga
Us Per Bharosa Karke Khud Ko Hi Saza Di Thi

Socha Tha Sath Mil Ke Kaatenge Zindagi Ko
Us Ne To Ek Pal Main Har Baat Bhula Di Thi

Kaisa Sitam Hai Dekho Woh Kab Se Judda Hai Mujh Se
Apni Zindagi Jis Ka Saya Sa Bana Di Thi

Kiya Tha Us Per Bharosa Kyun Hadh Se Barh Kar
Us Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi


Us Ne Pyaar Ka Khail Bhi Nafrat Se Khela . . .

Har Baar Wo Zalim Meri Hasrat Sey
Khela . . .

Meri Jaan-o-Dil Pe Saara Haq Tha Usey . . .

Dukh Itna Hy K Wo Meri Ghurbat Sey Khela . . .

Dil Tora To Bikharne B Na Dia Us Ne . . .

Merey Dil k Saath Kitni Ulfat Sey Khela . . .

Kaise Us k Hathon Me Brbad Na Hota FARAZ . . .

Pehli Bar Zindgi Me Koi Itni Mohbat Se Khaila.


{…GAZAL..}
“Wo jo sukh mila teri zaat se Kisi or se wo mila nhi,,

“Tu basa hai ankhon main jis trha Koi or aise basa nhi,,

“Tu hua hai jitna qareebtar,  Koi or itna howa nhi,,

“Wo jo dil main tera muqam hai Kisi or ko wo dia nahi,,

“Wo jo rishta tujh se hai ban gaya Kisi or se wo bana nahi….


“GHAZAL”

Masoom Mohabat ka bus itna fasana hai,

Kagaz ki haveli hai or barish ka zamana hai,

Kya shart-e-mohabat hai,

Kya shart-e-zamana hai,

Aawaz B zakhmi hai or geet B gana hai,

Us paar utarne ki umeed
bohat kam hai,

Kashti b purani hai
Toofan ko bhi aana hai,

Samjay ya na samjay
wo andaaz mohabat ka,

Ek Shakhs ko Aankhon se
1 shair sunana hai,

Bholi si Ada koi phir Ishq ki zid par hai,

Phir aag ka darya hai,
“OR doob k jana hai”


Shayd koi Bahana banao gy Aaj b

Jhoti Qasm safai se khaogy Aaj b

Tareef kr rahy ho Meri tum jo es Qadar

Lgta hy Jaldi choor k jao gy Aaj b

Q muskra rahy ho koi Baat hy zaror

Shayad nae Aada se satao ge Aaj b

Karty to hy Yaqeen magar jante hen hum
Dil-Nashi
Aany ka kr k Wada na Aao gy Aaj b.?


Mujy Likhna Nhi Ata…

Mujey Likhna Agr Ata,

To Likhti Teri Ankhon Pr,

Teri Ankhon Ki Plkon Pr,

Teri Ankhon Ki Shokhi Pr,

Teray Honto Ki Jumbish Pr,

K Jb Tu Bat Kerta Hy,

To Goya Phool Jharte Hy,,

Main Apne Dil K Jazbon Ko

Tmhary Nam Krti Hon,

Mujhy Likna Agr Ata,

To Likhti Teri ANKHO Pr.

Magar Main Kya Krun JANAN?

Mujhe Likhna Nhi Ata.. .. ..


Be-HiSS Hen
Yahan Log
BHALAA Soch Kr Krna
.
iS Doar Men Logon Sy
WAFA Soch Kr Krna
.
GuL Shaakh Sy Bichhry To..
Kahin Ka Nai Rehta
.
Tm ZAAT Meri
Khud Sy
JUDA, Soch Kr Krna
.
iK BAAR Jo Roothy To
Manaa Tm Na Skogy
.
Hm Jaisy Wafa-Daaroon Ko
KHAFA Soch Kr Krna….!!


Mujhe ansuon ki talab nahi,
mujhe zindagi ki talash hy,

Jise dhond kr bhi na pa saka,
mujhe phir usi ki talash hy,

Muje dushmano me na dhondna,
muje doston me talashna,

me mohabaton ka aseer hon,
muje dosti ki talash hy,

Meri rah-e-azm-e-talash me,
koi zindagi ka rafeeq ho,

koi ansuon ka charagh de,
muje roshni ki talash hy,

Me bulandion ka zameer hon,
me rafaqton ka pazir hon,

muje nafraton ki zamin par,
MOHABATON KI TALASH hay..!!


Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d