urdu poetry
**********************************************************
Hum naazuk hein bilkul kisi ahsaas ki trah
tum na socho gy to mar jayengay
pas raho ya door bas itna khiyal rakhna
tum na dekho gy to mar jayengay
titliyum mein or hum me yah bat he mushtrik
pakar k jab choro gy hmen to mar jayengay
apne dil ki tehni pe hi khila rehne do
jab bhi tehni se toro gy to mar jayengay
kbi na milna hm se moj-e-dariya ban k
mil k jab bichro gy hum se to mar jayengay…
**********************************************************
Tumhein ik baat kehni hai
magar naraaz mat hona,
k tum jo har ghari mujko
yun itna yaad aati ho,
humein itna satati ho
k hum tum door hein dono
boht majboor hein dono
na itna yaad aao tum
na yun itna satao tum
k itna yaad aa kar yun
hamein pagal bana k tum
faqat itna bata do k
humari jaan lo gi kia…?
magar ye bi haqeekat hai
tumhari yaad hi to hai
har khushi mein bhi
har gham mein bhi
udasi k palon mein bhi
tumhari yaad hi to hai
jo har pal ye batati hai
mujhe ahsaas dilati hai
hum tum bin adhore hain
hum tum bin adhore hein…
**********************************************************
Ek Mohabbat Hy Or
Us Ki Ek Nishaani Hy
Ek Dil Hy Jaisy
Haweli Koi Puraani Hy
Safar Raat Ka Hy Or
Raat Bhi Toofaani Hy
Samander Hi Samander Hy
Kashti Bhi Doob Jani Hy
Ibtada-e-Ishq Sey
Intaha-e-Ishq Tk
Mai Hi Tha BeWafa Or
Mujhe Hi Wafa Nibhani Hy
Mai Laut Aya Hun
Manzill Ko Dekh Kr
Udhar To Yaaro
Virani Hi Virani Hy
Ye Intazaar-e-Sehar
Khatam Kiu Nhi Hota
Kisi Sey Pucho Akhir
Maut Kb Aani Hy……
**********************************************************
Koi ghazal suna kar kya kerna,
Yoon baat barrha kar kya kerna.? Tum mere thay tum mere ho,
Duniya ko bata kar kya kerna.
Tum ehad nibhao chaahat se,
…Koi rasam nibha kar kya kerna.
Tum khafa bhi achhe lagty ho,
Phir tum ko mana kar kya kerna.
Tere dar pe aa k bethay hen
Ab ghar bhi ja kar kya kerna
Din yad se acha guzray ga
Phir tum ko bhula kar kya kerna…
**********************************************************
Aao kisy shab mujhe tot k bikhrta dekho
meri ragon main zehar judai utarta dekho,
kis kis ada se tujhe manga hai rab se
aao kabhi mujhe sajdon mein sisakta dekho,
teri talash mein humne khud ko kho diya
mat aao samne magr kahen chup k humen tarpta dekho.
**********************************************************
Sunoo…!
Hum toot jaen gey
k duri seh na paen gey,
Judai maar daaley gi.
Suno…!
Ye ankhen bojhal hain,
Inhen kis tarha behlaein
Suno..!
Hum soo na paen gey
Kbi khush ho na paen gey
Judai maar daaley gi..
suno.,!
Ye dil tumhara hai,
Na tum bin ab guzara hai,
Suno…..
Kuch waqt do hum ko
Bana lein dost iss ghum ko
Hamein maalum hai aakhir
Judai maar daley gi
**********************************************************
Hamara ye tum ko salaam aakhri hai
Suno aj tum se kalaam aakhri hai
Agar ho sake to bhula dena hum ko
Yehi ek chhota sa kaam aakhri hai
Abhi aarzuon k sehra pyase hain
Magar aansuon ka ye jaam aakhri hai
Teri bewafaye ka shikwa aakhri hai
Yehi to wafaon ka inaam aakhri hai
Mariz-e-mohabbat ki aye chaara sazo
Tumhare shehar me ye shaam aakhri hai
Zara dair thehro qazaa k farishto
Labon pe hamara payaam aakhri hai
Koi mil sake ga na Hasrat k jesa
Teri adaon ka ye ghulam aakhri hai
**********************************************************
Tere IsHQ ne Bakhshi Hai Ye Soghat Musalsal,
Tera zikar Hamesha Teri Baat Musalsal,
Ek Muddat Hoi Tere Baam O dar se Nikle,
Rehti Hai phir B Tujh se Mulaqat Musalsal,
DiL Lagi, DiL ki Lagi Ban jati Hai,
jab Tasawwur Main Guzarti Hai Raat Musalsal,
jab saY dekha zulf e preshan ka Aalam,
UljhaY Howe Rehte Hain Mere Din Raat Musalsal,
Main Muhabbat Main Us Mqaam pe pohncha Hon jahan,
Meri zaat Main Rehti Hai teri zaat Musalsal… ;->
**********************************************************
“S I R F
T U M”
Ye t0 Dil tha Dewana k Tum par Aa Gya
Warna Hm Qeemti Pathron ko bhi uthaya nahi karte
Ye mana K Tum Haseen Ho magar ye Bhi sun lo
Hm Haseen logon se Dil laGya nahi karte
Jis se karte hain Pyar bus ek hi baar karte hain
Baar baar Hum bhi kisi ko sataya nahi karte
Tum tu Apne ho Tum se kya parda
Warna Hum Raaz-e-Dil kisi ko bataya nahi karte
Tum keh do tu Tumhare liye jaan bhi hazir
Warna Hum Zindagi dao per lagaya nahi kartey…!
**********************************************************
Agar main dur ho jaon
To palkon ko jhapak daina
Agar ansu koi giraay
Samajh jana keh wo hoon main
Hathaili saamnay rakhna
Keh sab aansuu giraay us main
Jo ruk jaye ga hounto per
Samajh jana keh wo hoon main
Kabhi jo chand ko daikho
To tum yun muskura dena
Keh phirr baadal bhi aajayee
Samajh jana keh woh hoon main
Jo chal jayee hawa thandi
To ankhain band ker laina
Jo jhonka taiz ho ssab say
Samajh jana keh wo hoon main
**********************************************************
**********************************************************
()” “() ()” “()
( ‘ ;’) (‘; ‘ )
,/) )\,,/) )\,
¿, ,¿, ,¿, ,¿
ZamAnY k0 jaLnY d0 cHaLo 1 stH chLtY hEIn
NaI duNya bsAnY k0 cHaLo 1 stH chLtY hEIn
HmEn jEvAn kA hR LmHa tmHrY nAAm kRnA hE
yHi wAdA nißhAny k0 cHalo 1 stH chLtY hEin
sUna hE miL k chLnY sY muQaDar gAAg jtY hEIn
yE bAAt aZmAnY k0 chAlo 1 stH chLtY hEIn
**********************************************************
Farz karo k tum sa Sunder na koi hum ne dekha ho
Farz karo k Aankh tumhari bin Kaajal bhi pyari ho
Farz karo k pyar tumhara meri jeevan dhara ho
Farz karo k dekh k tum ko hum ne bhi dil hara ho
Farz karo k pyar me tere hum ko Neend na aati ho
Farz karo k Surat teri din me bhi tarrpati ho
Farz karo k bin tere na ek pal mujh ko Rehna ho
Farz karo k ye sab mujh ko sach much tujh se kehna ho
**********************************************************
Kahin pechy na reh jana.
Kahin tanha na ker jana.
Bary sapne sajain hain.
Bary ansou chupaye hain.
Tmhary 7 kabi aisa he hota hai.
Jo mre 7 hota hai.
Riwayat zamana kyun.
Mjhe bechain krta hai.
Ghamun se choor krta hai.
Mere saalo bane sapne.
Bohut be-noor krta hai.
Magar ye ho nahe sakta.
Juda mai ho nahe skta.
Kahin jeevan ki rahon mai.
Bohut pechy na reh jana.
Mukamy ishq hoya phr.
Koi perward waadi ho.
Tmhain bus mera hona hai.
Mjhe bus tera hona hai.
**********************************************************
Ay Mohabat Tere Anjam Pe Rona
Aya
Jane Q Aj Tere Naam Pe Rona Aya
Yun To Hr Sham
Umedon Mn
Guzr Jati Thi
Aj Kuch Bat Hy
Jo Sham Pe Rona
Aya
Kabhi Taqdir Ka
Matam Kbhi Duniya Ka
Gila
Manzil-e-ishq Me
Har Kaam Pe Rona
Aya
Jab Hua Zikr Zamaane Me Mohabat
Ka.
Mujhko Apne Dil-e-Nakam Pe Rona Aya.
**********************************************************
Wo jo dil main tera maqam hai,
Kisi or ko wo dia nahi,
Wo jo rishta tujh se hai ban gaya,
Kisi or se wo bana nahi,
Wo jo pyar tujh se ho gaya,
Kisi or se wo hua nhi,
Wo jo raaz tujh se hai kehdia,
Kisi or se wo kaha nhi,
Wo jo sukh mila teri zaat se,
Kisi or se wo mila nhi,
Tu basa hai ankhon mey jis trha,
Koi or aise basa nhi,
Tu hua hai jitna qareebtar,
Koi or itna hua nhi,
Tera nam dil mey hai jistrha,
Koi naam aise likha nahi.
**********************************************************
Chalo Ham Maan Lete Hain.
Tumhen Hum Kho Chuke Lekin.
Tumhari Yaad Ab Tak Bhi.
Hamen Betaab Rakhti Hai.
Hamaari Saans Ab Tak Bhi.
Tmhaari Aas Rkhti Hai.
Mgr Ab Ye Bhi Sunte Hain.
Tumhaari Raah Roshan Hai.
Tumhen Hai Mil Gaya Koi.
Magar Afsos..!
Ham Jesa.. Agar Paao Kahin Tum To.
Mujhe Do Lufz Likh Dena.. K….
MANZIL MIL GAI MUJH KO.
**********************************************************
Wo MOHABBAT Ki Kuch
Aisi Misaal Rakhta Hy
k Mujh Se Zyada Hi Mera
KHYAAL Rkhta Hy
Bina Kahey Hi Mera Har
DARD Jaan Leta Hy
Mujh Sy Le Kr Meri
YAADEI”N Sambhal
Rakhta Hy
Hans k Taal Jata Hy
Mer Sab TALKH Baato”n
Ko
Wo Dil Ko JEET Lene
Main Kamal Rkhta Hy
**********************************************************
Aitbar-E-waqt Pe be-Ikhtiyar H0 k R0 Parey,
kh0 kar kabhi Usey T0 kabhi Pa k R0 Parey..
khushyan Hamarey Pass kahan Mustaqil Rehein,
bahir kabhi Hansey T0 Ghar Aa k R0 Parey..
Gila Nahi kisi
Se sab ilzaam Apney Sir k Hen,
Uss k Dard Main Qeyd They Magr Azaad H0 k R0 Parey..
Hamara bhi
Ajeeb Haal Hai kisi Haal Main khush Nahi …
” Ay_dst”
Dukh Hi Itny Mily k Sukh
Pa k R0
Pary…!Sabhi Jazbaat Khayaalat Badal Jaate’ HaiN
YuuN Mohabat MaiN Ye Din Raat Badal Jaate’ HaiN
Pyaar To unko Bhi Ham Se hai Magar Jaane’ KyuN
Ham KaraiN Baat To Wo Baat Badal Jaate’ HaiN
Aarzuu To Hai Ke Izhaar-e-Mohabbat Kar DooN
Laf’z Chunta HooN To Lamhaat Badal Jaate’ HaiN
Kitni Nafrat Thi Kabhi Pehle’ Mohabbat Se HamaiN
Ho Mohabbat To Khayaalat Badal Jaate’ HaiN
Aik Sa Waq’t Mohabbat maiN KahaaN Rehta Hai
Gardish-e-Waq’t Se Haalaat Badal Jaate’ HaiN
**********************************************************
Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna,
Acha Lagta Hai Isi Dhun Mein Bikhartay Rehna,
hijar walon Se Bari Dair Se Sikha Humne,
Zinda Rehnay K Liye Jan Se Guzartay Rehna,
Kya Kahun Q Mere Neendon Me Khalal Dalta Hai,
Chand K Aks Ka Pani Mein Utartay Rehna,
Main Agar Toot Bhi Jaon Toh Phir Aaina hoon,
Tum Mere Baad Bhi har Roz Sanwartay Rehna,
Shaam Ko Doobtay Suraj Ki Hai Aadat,
Subha Hotay Hi Mere Sath Ubhartay Rehna…….!!!
**********************************************************
Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari,
Kahan Hum Kahan Yeh Inayat Tumhari,
Humay Chahiya Bus Taaluq Tumhara,
Mohabbat Milay Yah Adawat Tumhari,
isi Say Bhe Milna Usay Jeet Laina,
Bari Dil Nashen Hay Yeh Adat Tumhari,
Na Dekha Jahan Main Koi Aur Tum Sa,
Bari Munfarid Hay Tabiyat Tumhari,
Humhay Zindagi Kay Kaen Rastoon Par,
Hamesha Rahay Ge Zaroorat Tumhari.
**********************************************************
Tumhari Woh Mohabatein Tumhari Woh Chatein Yaad Aati Hein
Tumhari Woh Wadey Tumhari Woh Qasmein Yaad Aati Hein
Mein Jab Bhi Dekhta Hoon Tanhai Mein Tumhari Tasveerein
Tasweroon Mein Tumhari Adaein Yaad Aati Hein
Tum Jo Kerti Thi Akser Wafa Aur Pyaar Ki Batein
Tumhara Woh Ahad-E-Wafa Aur Woh Batein Yaad Aati Hein
Tumhara Woh Parde Mein Rah Ker Humein Baar Baar Dekhna
Tumhara Woh Dekhna Aur Woh Ankhein Yaad Aati Hein
Tumhara Woh Unn Rahoon Per Humarey Sath Sath Chalna
Tanha Safer Per Nikalta Hoon To Woh Rahein Yaad Aati Hein
Faqat Roshan Se Pocho Iss Naye Mohabat Ke Andaaz
Jisey Iss Mohabat Ki Her Woh Anayatein Yaad Aati Hein
**********************************************************
Kabhi daman kabhi palkain bhigona KIS ko kehtay hain,
Kisi mazlom se pocho k “RONA” kis ko kahtay hain,
Kabhi meri jaga khud ko rakho phir “JAAN” jao gay,
K dunya bher k dukh dil main “SIMONA” kis ko kahtay hain,
Meri aankhon meray chehray ko ik din “GHOR” say daikho,
Mager mat puchna “WEERAN” hona kis ko kahtay hain,
Tumhara dil kabhi piglay agar “GHUM” ki hararet se “FARAZ”,
Tumhain malum ho jae ga k “KHONA” kis ko kehtay hain…!
**********************************************************
Bachpan Ka Zamana Hota Tha,
KhushioN Ka Khazana Hota Tha.
Chahat Chaand Ko Paane Ki,
Dil Titli Ka Deewana Hota Tha.
Rone Ki Wajha Na Hoti Thi,
Hasne Ka Bahana Hota Tha.
Khaber Na Thai Kuch Subho Ki,
Na Shamo Ka Thikana Hota Tha.
Daadi Ki Kahani Hoti Thi,
Pariuon Ka Fasana Hota Tha.
Pedho Ki Shakhe Chutey They,
Mitti Ka Khilona Hota Tha.
Gam Ki Zuban Na Hoti Thi,
Na Zakhmo Ka Paymana Hota Tha.
Barish Mein Kagaz Ki Kashti,
Har Mousam Suhana Hota Tha.
Wo Khel Wo Sathi Hotey They,
Na Rishta koi Nibhana Hota Tha.
**********************************************************
Mujh ko Tera Pyar Teri Dosti Achi Lagi.
Teri Nisbat se sada Ye Zindagi Achi Lagi.
Main ne Apne RAB se phir manga Tujhi ko umar bhar.
Teri Aankhon ki Mujhe Dariya Dili Achi Lagi.
Bhaa gayi Muskan Tere Honton ki Teri KAsAM.
Teri Baton ki Mujhe Sanjeedgi Achi Lagi.
Yoon tu GhazLein Bhi Likhi hAin, GeeT Bhi Main ne magar
Jis Main ho BuS TuM hi TuM,
Wo Shaayiri Achi LaAgi.
**********************************************************
“Mere pagal piya mri chahat na kr
,Mjhe daikha na kr mjhe socha na kr
Mri be khawab ankhon ma na janka kr
Ma to kho jao gi mjhe na dhonda kr
Ma hun bad-e-saba jo rukti ni
Ma hun esi ghata jo barasti ni
Ma esi leher hun jis ma halchal na ho
Na tm ko dabo de ye lehrain kahen
Mere pagal piya aisi khawaesh na kr
Ma wo sapna hun jo k sach na ho
Ma wo umeed hun jo ke adhori rhey
Ma wo rasta hun jiski na manzil miley
Ma wo sehraa hun jis ma bhatak jao ge
Mere pagal piya aisay raste na chal
Mere pagal piya mri chahat na kr.
*****************************************************************
“Sir jhukaany ki aadat nahi hay,
Aansoo bahaany ki aadat nhi h,
Hm kho gaye to pachtao gay bohat,
Hamaari Lout k Aany ki aadat nahi hay,
Terey dar pay Muhabbat k sawali ban jaaty,
Lekin Haath phelaany ki aadat nahi hay,
Teri yaaden aziz hen bohat,
Magar Waqt ganwaany ki aadat nahi hay,
Tum sakht Dil nikle kya gila kren hum,
Shikwa -e-dil lab py laany ki aadat nahi hay,
Bad’dua b kya kren HAQ men tumhaary?
Hamain to Dil b dukhaany ki aadat nahi hay…”
**********************************************************
Wo Mujh Se Yehi Pochti Ha
Kiya Hum Kabi Mil B Pain Ge.?
Usey Main Sirf Itna Kehta Hon
Qismat Pe Yaqeen Main Nahi Karta
Magar..!
Hamesha Pur Umeed Rehta Hon
Tum Wesa Hi Karna Jaisa Mein Kehta Hon
Khawab Jo Dekhain Hain Wo Tabeer Pain Gey
Agar Lagan Sachi Ha
To Hum Mil Hi Jain Gey”
**********************************************************
Mujhe gale se laga lo, bahot udas hun mein,
Gham e Jahan se chuda lo, bahot udas hun mein,
Yeh intezar ka dukh ab saha nahin jaata,
Mujhe paas bula lo, bahot udas hun mein,
Meri har sans mein, milne ki pyas palti hai,
Sulagh raha hai badan aur ruhh jalti hai,
Bacha sako to bacha lo, bahot udas hun mein,
Bhatak chuka hun bahot zindagi ki rahon mein,
Mujhe aake chupa lo tum apni baahon mein,
Bin tere mar na jaun kahin,
Mera sawal na taalo, bahot udas hun mein.
**********************************************************
Tanha sa ho gaya hu mein sab kuch hote hue……..
saari umar guzari hai meine to rote hue…….
Din to kattein rahe mere gamon ke samaaon mein……
raatein kaati hai meine ashko ki baharo mein…..
Ae mere khuda kya taqdeer banayi hai tune meri…….
tamaam umar kategi kya gamon ke andhero mein meri……
kisi ne loota chain mera kisi ne neend ko loota…….
har din guzarta hai mera kuch na kuch khote hue…..
Tanha sa ho gaya hu mein sab kuch hote hue……..
saari umar guzari hai meine to rote hue…….
**********************************************************
Majboori ke mausam may bhi jina parta hai
Thora sa samjhauta janam karna parta hai
Kabhi kabhi kuch is had tak barh jati hai lachari
Lagta hai ye jiwan jaise bojh ho koi bhari
Dil kahta hai royain lekin hansna parta hai
Kabhi kabhi itni dhundhli ho jati hain tasweerain
Pata nahi chalta qadmon may kitni hain zanjeerain
Paon bandhe hote hain lekin chalna parta hai
Rooth ke jane wale badal tootne wala tara
Kis ko khabar kin lamhon may ban jaye kaun sahara
Dunya jaisi bhi ho rishta rakhna parta hai
****************************