Syed Ne Karbala Mein Waade Nibha Diye He Lyrics || Barkate Raza

Karbala ki dastan aur Khandan-e-Rasool ki azeem qurbaniyo ko bayaan karta ye nihayat hi dard-bhara aur khubsurat kalam hai. Is manqabat mein Hazrat Imam Hussain Alaihissalam aur unke jaan-nisaron ki deen-e-Islam ke liye di gayi qurbaniyo ka zikr kiya gaya hai. Aaiye is paak kalam ko dil ki gehrayiyon se padhein aur unki mubarak baargah mein nazrana-e-aqeedat pesh karein.

Naat Information Details
Naat Title Syed Ne Karbala Main Waday Nibha Diye Hain
Poet / Writer Hafiz
Category Manqabat Imam Hussain (R.A)
Naatkhawan / Reciter Various Reciters

Naat Lyrics in Roman

Syed Ne Karbala Main Waday Nibha Diye Hain
Deene Muhammadi Ke Gulshan Khila Diye Hai

Bole Hussain Maula, Teri Raza Ki Khaatir
Ek Ek Kar Ke Maine Heere Loota Diye Hai

Syed Ne Karbala Main Waday Nibha Diye Hain
Deene Muhammadi Ke Gulshan Khila Diye Hai

Deene Nabi Pe Waari, Akbar Ne Bhi Jawaani
Abbas Ne Bhi Apne Baazu Kataa Diye Hai

Syed Ne Karbala Main Waday Nibha Diye Hain
Deene Muhammadi Ke Gulshan Khila Diye Hai

Zainab Ke Baagh Mein Bhi Do Phool Te Mehekte
Zainab Ne Wo Bhi Dono Raahe Khuda Diye Hai

Syed Ne Karbala Main Waday Nibha Diye Hain
Deene Muhammadi Ke Gulshan Khila Diye Hai

Bakhshish Hai Unki Laazim, Sayyed Ke Gham Mein Hafiz
Do Chaar Aansoo Ro Kar Jis Ne Baha Diye Hai

Syed Ne Karbala Main Waday Nibha Diye Hain
Deene Muhammadi Ke Gulshan Khila Diye Hai

Naat Lyrics in Hindi

सय्यद ने कर्बला में वादे निभा दिए हैं
दीने मोहम्मदी के गुलशन खिला दिए हैं

बोले हुसैन मौला, तेरी रज़ा की खातिर
एक एक कर के मैंने हीरे लुटा दिए हैं

सय्यद ने कर्बला में वादे निभा दिए हैं
दीने मोहम्मदी के गुलशन खिला दिए हैं

दीने नबी पे वारी, अकबर ने भी जवानी
अब्बास ने भी अपने बाजू कटा दिए हैं

सय्यद ने कर्बला में वादे निभा दिए हैं
दीने मोहम्मदी के गुलशन खिला दिए हैं

ज़ैनब के बाग़ में भी दो फूल थे महकते
ज़ैनब ने वो भी दोनों राहे ख़ुदा दिए हैं

सय्यद ने कर्बला में वादे निभा दिए हैं
दीने मोहम्मदी के गुलशन खिला दिए हैं

बख़्शिश है उनकी लाज़िम, सय्यद के ग़म में हाफ़िज़
दो चार आंसू रो कर जिस ने बहा दिए हैं

सय्यद ने कर्बला में वादे निभा दिए हैं
दीने मोहम्मदी के गुलशन खिला दिए हैं

Naat Lyrics in Urdu

سید نے کربلا میں وعدے نبھا دیئے ہیں
دینِ محمدی کے گلشن کھلا دیئے ہیں

بولے حسین مولا، تیری رضا کی خاطر
ایک ایک کر کے میں نے ہیرے لٹا دیئے ہیں

سید نے کربلا میں وعدے نبھا دیئے ہیں
دینِ محمدی کے گلشن کھلا دیئے ہیں

دینِ نبی پہ واری، اکبر نے بھی جوانی
عباس نے بھی اپنے بازو کٹا دیئے ہیں

سید نے کربلا میں وعدے نبھا دیئے ہیں
دینِ محمدی کے گلشن کھلا دیئے ہیں

زینب کے باغ میں بھی دو پھول تھے مہکتے
زینب نے وہ بھی دونوں راہِ خدا دیئے ہیں

سید نے کربلا میں وعدے نبھا دیئے ہیں
دینِ محمدی کے گلشن کھلا دیئے ہیں

بخشش ہے ان کی لازم، سید کے غم میں حافظ
دو چار آنسو رو کر جس نے بہا دیئے ہیں

سید نے کربلا میں وعدے نبھا دیئے ہیں
دینِ محمدی کے گلشن کھلا دیئے ہیں

Leave a Comment