Hazrat Ameer Hamza ibn Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu:
Alqaab
-
Asad-ur-Rasool (Rasool-Allāh ka Sher)
-
Sayyed-ush-Shohada (Tamaam shohada ke sardaar)
Ibtidaai Ta’aruf Aur Khandaan
-
Wilaadat: Aap ki wilaadat 567 Issvi me Makka me hui.
-
Waalidain: Aap ke waalid ka naam Hazrat Abdul Muttalib ibn Haashim aur waalida ka naam Haala binte Uhayb hai.
-
Nasab: Aap Quraish ke Banu Haashim khaandaan se ta’alluq rakhte hain. Aap Huzoore akram Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke chacha hain aur Ahle bait me shaamil hain.
Qubool-e-Islaam
3 Nabawi (616 Issvi) me ek baar shikaar se waapas aaye to Abdullāh bin Jad’aan ki baandi se Aap ko pata chala ki Abu Jahl ne safa ki pahaadi ke qareeb Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ko bahot bura bhala kaha hai aur phir un par patthar se hamla kiya hai. Aap use talaash karte hue Ka’aba me pahunche. Abu Jahl apne saathiyo ke saath waha baitha tha. Aap ne kaha “Tum ne Muhammad (sallallāhu alaihi wa sallam) ko takleef di hai. Ab main us ka badla lunga.” Ye kehkar Aap ne us ke sar par waar kiya, jis se woh jakhmi ho gaya.
Phir Aap ne Daar-al-Arqaam me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke paas aakar ye sab bataaya. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke “Aye mere chacha! Agar aap Islaam apna len, to mujhe sab se zyada khushi hogi.” Aap foran kalma padhkar eimaan laaye. Aap as-Saabiqoon al-Awwaloon me shaamil hain. Phir Aap Ka’aba shareef par gaye aur Quraish ke saamne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki shaan wa fazeelat bayaan karte hue taqreer farmai. Aap bahot bahaadur the, Aap ke musalman hone se Islaam ko nai taaqat mili.
Hijrat Aur Jang-e-Badr
-
Hijrat: 1 Hijri (622 Issvi) me Aap hijrat karke Madeena aa gaye. Yaha Aap Masjid ki taameer ke kaam me madad karte rahe.
-
Sariyya Al-Is: Hijrat ke 7 mahine baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan par Aap 30-40 musalmano ke giroh ke saath Juhayna ilaaqe me al-Is ke samundar ke kinaare par Abu Jahl ki sardaari me Shaam se aa rahe 300 Kaafiro ke giroh ka muqaabala karne ke liye pahunche. Magar Majdi bin Amr al-Juhani ke samjhaane par dono giroh ne jung nahi ki. Aur Hazrate Hamza musalmano ko lekar Madeena waapas aaye.
-
Junge Badr: 17 Ramazaan 2 Hijri (13 March 624 Issvi) ko Junge Badr ki ibtida me kaafiro ne muqaabale ke liye humsar bhejne ke liye kaha to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Hamza, Hazrate Ali ibn Abu Taalib aur Hazrate Ubaida ibn Haariṡ radiy-Allahu ta’ala anhuma ko Quraish ke muqaabale me bheja. Hazarte Ali ne Waleed ibn Mugheera ko qatl kar diya aur Hazrate Hamza ne Shaiba ibn Rabi’ah ko qatl kiya aur Hazrate Ubaida ke jakhmi hone ke baad Utba ibn Rabi’ah ko bhi qatl kiya. Aur phir jab jung shuru hui to kai kaafiro ko qatl kiya.
-
Banu Qaynuqa: 10 Shawwaal 2 Hijri (624 Issvi) ko Madeena me Banu Qaynuqa ke khilaaf jung me bhi shaamil hue.
Jung-e-Uhad Aur Shahadat
Shawwaal 3 Hijri me Jung e Uhad se pehle Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Abdullāh bin Jubair bin Noamaan ki sardaari me taqreeban 50 tirandaaj ashaaba ko Jable Rumah par theharkar nigraani karne ke liye farmaaya aur farmaaya ke “Haalaat kaise bhi ho chaahe fatah mile ya nakaami, jab tak mera hukm na ho tum log yaha se hatna nahi.”
Jung ki ibtida me Uṡmaan ibn Abu Talha al-Abdari aage aaya to Hazrate Hamza ne us ka muqaabala karke use qatl kiya. Jab jung me kuffaar musalmano ka muqaabala na kar sake aur maidaan chhodkar bhaagne lage tab pahaadi par nigraani ke liye thehre hue ashaaba ne socha ke ab to musalmano ko fatah milne waali hai. Is liye hume bhi neeche aa jaana chaahiye. Hazrat Abdullāh bin Jubair ne unhe bahot roka magar wo nahi maane. Kaafiro ke sardaar Khaalid bin Waleed ne jab mauqa dekha to pichhe se hamla kiya. Hazrat Abdullāh bin Jubair ne chand jaan nisaar sahaaba ke saath Quraish ka muqaabala kiya lekin sab shaheed ho gaye. Is ke baad haalaat palat gaye aur Musalmano ko apni hifaazat ke liye bhaagna pada.
Hazrate Hamza dono haath me talwaar ke saath bahot bahaaduri se kaafiro ka muqaabala karte rahe aur unhe aage aane se roka. Aap ne 31 kaafiro ko waasile jahannam kiya. Jubair ibn Mut’im ne apne chacha Tuwayma ibn Adiy ki maut ka badla lene ke liye Wahshi ibn Harb naam ke ghulaam ko tayyaar kiya tha. Us ghulaam ne barchhi phenkar aap ko shaheed kar diya. Aur Hind bint Utbah ne apne baap ki maut ka badla lene ke liye aap ke naak, kaan, haath kaate aur aap ka kaleja nikaalkar chabaaya. Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne aap ki laash ko talaash karke pehchana aur aap ko ‘Sayyed-ush-Shohada’ aur ‘Asad-ur-Rasool’ ke alqaab ata farmaaye.
(Note: Is jung me Utbah bin Abi Waqqaas ne patthar phenkar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke dandaane mubarak shaheed kiye the.)
Shahaadat Ki Tareekh
-
Tareekh: 15 Shawwaal 3 Hijri (19 March 625 Issvi) ko Shanichar ke roz.
Shohada-e-Uhad Ki Azmat
ALLĀH ta’ala ne in shohada ki azmat wa shaan zaahir karne ke liye yeh aayat naazil farmai:
“Aur jo log ALLĀH ki raah me qatl kiye jaayen unhe hargiz murda khayaal na karo, Balke wo apne Rab ke huzoor zinda hain unhe rizq [jannat ki ne’amnaten] diya jaata hai.” (3 Soorah Aale Imraan, Aayat 169)
Ziyarat Aur Fazeelat
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam har saal Shohada e Uhad ki mazaar par tashreef le jaate aur waha farmate ‘Tum par salaam ho kyun ki tum ne sabr kiya. Tumhara akhirat ka ghar kaisa achha hai.’ Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya hai:
-
Shohada e Uhad ke mazaar par jaakar Salaam pesh kiya karo ke jo bhi aisa karega Qayaamat tak un ke Salaam ka jawaab paayega.
-
Jin ki dua qubool hone me der hoti ho unhe chaahiye ke Hazrate Hamza ke waseele se dua karen, In shaa Allāh zaroor qubool hogi.
Pariwaar
Aap ki 3 biwiya aur 3 saahabzaade aur 3 saahabzaadiya hain:
-
Salma bint Umays se: 1 beti – Umaama;
-
Binte Milla ibn Malik al-Awsi se: 1 beta – Aamir;
-
Khawla bint Qays al-Najjaari se: 2 bete – Yaala aur Umara; 2 betiya – Jin ka bachpan me hi intiqaal ho gaya.
Shohada Ki Muntaqili
Junge Uhad me 70 ashaaba shaheed hue. 46 saal ke baad ek baar sailaab ki wajah se nehar ka paani un ki qabro me jaane se nuqsaan hone ka andesha tha tab mashwara karke yeh tay kiya gaya ke Shohada ko qabro se nikaalkar dusri salaamat jagah par muntaqil kiya jaaye. Jab Shohada e Uhad ki qabro ko khola gaya to pata chala ke tamaam shohada ke jism aur kafan usi tarah mehfooz the aur un ke jakhmo se khoon jaari tha aur shohada ke haath un ke zakhm par the. Jab un ke haath ko sahi karne koshish ki gai to phir se un ke haath un ke zakhmo par waapas aa jata. Phir unhe nai qabro me dafn kiya gaya. Ek qabr me Hazrate Hamza ko, Dusri do qabro me Hazrate Mus’ab ibne Umair aur Abdullāh ibne Jahsh ko aur dusre 63 ashaaba ko ek badi qabr me dafn kiya gaya. (Jazb-ul-Quloob)
Dua: ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me aur Hazrat Ameer Hamza ibn Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Ahle bait aur Ashaaba aur tamaam Shohada ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae. Aameen.