Rahte Hain Mere Dil Mein Armaan Madine Ke lyrics

Rahte Hain Mere Dil Mein Armaan Madine Ke lyrics

 

 

Aaqa ! Aaqa ! Aaqa ! Aaqa !
Aaqa ! Aaqa ! Aaqa ! Aaqa !

Muddat Se Mere Dil Men Hai Armaan-E-Madina
Rauze Pe Bula Lijiye Sultaan-E-Madina !

Rahte Hain Mere Dil Men Armaan Madine Ke
Kab Mujh Ko Bulaaenge Sultaan Madine Ke

Rahte Hain Mere Dil Men Armaan Madine Ke

Rote Hain Tadapte Hain Kahte Hain Ye Deewaane
Kis Roz Banenge Ham Mehmaan Madine Ke

Rahte Hain Mere Dil Men Armaan Madine Ke

Ai Kaash ! Madine Men Sarkaar Jo Bulwa Len
Ho Jaaen Dil-O-Jaan Se Qurbaan Madine Ke

Rahte Hain Mere Dil Men Armaan Madine Ke

Ab Taab Nahin Mujh Men Doori Ki Shah-E-Batha
Ho Jaae Baham Ek Din Samaan Madine Ke

Rahte Hain Mere Dil Men Armaan Madine Ke

Rahte Hain Sada Un Ke Dil Kaif-E-Huzoori Men
Padhte Hain Qaseede Jo Har-Aan Madine Ke

Rahte Hain Mere Dil Men Armaan Madine Ke

Mere Liye Sab Aasif ! Taa’zeem Ke Laaik Hain
Wo Sang-O-Shajar Hon Ya Insaan Madine Ke

Rahte Hain Mere Dil Men Armaan Madine Ke

Aaqa ! Aaqa ! Aaqa ! Aaqa !

 

 

रहते हैं मेरे दिल में अरमान मदीने के

 

 

आक़ा ! आक़ा ! आक़ा ! आक़ा !
आक़ा ! आक़ा ! आक़ा ! आक़ा !

मुद्दत से मेरे दिल में है अरमान-ए-मदीना
रौज़े पे बुला लीजिए, सुल्तान-ए-मदीना !

रहते हैं मेरे दिल में अरमान मदीने के
कब मुझ को बुलाएँगे सुल्तान मदीने के

रहते हैं मेरे दिल में अरमान मदीने के

रोते हैं तड़पते हैं, कहते हैं ये दीवाने
किस रोज़ बनेंगे हम मेहमान मदीने के

रहते हैं मेरे दिल में अरमान मदीने के

ए काश ! मदीने में सरकार जो बुलवा लें
हो जाएँ दिल-ओ-जाँ से क़ुर्बान मदीने के

रहते हैं मेरे दिल में अरमान मदीने के

अब ताब नहीं मुझ में दूरी की शह-ए-बतहा
हो जाए बहम एक दिन सामान मदीने के

रहते हैं मेरे दिल में अरमान मदीने के

रहते हैं सदा उन के दिल कैफ़-ए-हुज़ूरी में
पढ़ते हैं क़सीदे जो हर-आन मदीने के

रहते हैं मेरे दिल में अरमान मदीने के

मेरे लिए सब, आसिफ़ ! ता’ज़ीम के लाइक़ हैं
वो संग-ओ-शजर हों या इंसान मदीने के

रहते हैं मेरे दिल में अरमान मदीने के

आक़ा ! आक़ा ! आक़ा ! आक़ा !

Leave a Comment