Sab Puchte Hai Kya Hai Bareilly Shareef Mein Lyrics || Barkate Raza

Sab Puchte Hai Kya Hai Bareilly Shareef Mein Ek Nihayat Hi Pyaari Aur Aqeedat Se Bhari Manqabat Hai. Is Paak Kalaam Mein Imam-E-Ahl-E-Sunnat Aala Hazrat Aur Bareilly Shareef Ki Barkaton Ka Behad Khoobsoorat Zikr Kiya Gaya Hai. Aaiye Is Barkat Bhare Kalaam Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Mein Padhte Hain.

Naat InformationDetails
Naat TitleSab Puchte Hai Kya Hai Bareilly Shareef Mein
Poet / WriterUnknown
CategoryManqabat Sharif
Naatkhawan / ReciterAsad Iqbal Kalkatwi
Book NameBarkate Raza Naat Book

Sab Puchte Hai Kya Hai Bareilly Shareef Mein Lyrics In Roman

Sab Bolte Hai Kya Hai Bareilly Shareef Mein
Aaqa (SallAllahu ‘Alaihi Wa Sallam) Ka Mojza Hai Bareilly Shareef Mein

Sab Puchte Hai Kya Hai Bareilly Shareef Mein
Jannat Ka Raasta Hai Bareilly Shareef Mein

Jhoota Jo Usme Dekhe To Jhoota Dikhai De
Sacha Jo Usme Dekhe To Sacha Dikhai De

Ek Aisa Aaina Hai Bareilly Shareef Me
Aaqa (SallAllahu ‘Alaihi Wa Sallam) Ka Mojza Hai Bareilly Shareef Mein

Jisne Raza Ke Faiz Ka Dariya Baha Diya
Ungli Pakad Ke Ghaus Se Hamko Mila Diya

Wo Mustafa Raza Hai Bareilly Shareef Mein
Aaqa (SallAllahu ‘Alaihi Wa Sallam) Ka Mojza Hai Bareilly Shareef Mein

Kha Kar Raza Ke Naam Ki Roti Khamosh
Wo Sun Le Kan Khol Ke Jo Bhi Khamosh Hai

Pathhar Bhi Bolta Hai Bareilly Shareeef Mein
Aaqa (SallAllahu ‘Alaihi Wa Sallam) Ka Mojza Hai Bareilly Shareef Mein

Ham Sab Ka Peshwa Hai Bareily Shareef Mein
Sarkar (Sallal Laahu ‘Alaihi Wa Sallam) Ki Raza Hai Bareilly Shareef Mein

Sab Puchte Hai Kya Hai Bareilly Shareef Mein Lyrics In Hindi

सब बोलते हैं क्या है बरेली शरीफ़ में
आक़ा ﷺ का मोज़ज़ा है बरेली शरीफ़ में

सब पूछते हैं क्या है बरेली शरीफ़ में
जन्नत का रास्ता है बरेली शरीफ़ में

झूठा जो उसमें देखे तो झूठा दिखाई दे
सच्चा जो उसमें देखे तो सच्चा दिखाई दे

एक ऐसा आईना है बरेली शरीफ़ में
आक़ा ﷺ का मोज़ज़ा है बरेली शरीफ़ में

जिसने रज़ा के फ़ैज़ का दरिया बहा दिया
उँगली पकड़ के ग़ौस से हमको मिला दिया

वो मुस्तफ़ा रज़ा है बरेली शरीफ़ में
आक़ा ﷺ का मोज़ज़ा है बरेली शरीफ़ में

खा कर रज़ा के नाम की रोटी ख़ामोश
वो सुन ले कान खोल के जो भी ख़ामोश है

पत्थर भी बोलता है बरेली शरीफ़ में
आक़ा ﷺ का मोज़ज़ा है बरेली शरीफ़ में

हम सब का पेशवा है बरेली शरीफ़ में
सरकार ﷺ की रज़ा है बरेली शरीफ़ में

Sab Puchte Hai Kya Hai Bareilly Shareef Mein Lyrics In Urdu

سب بولتے ہیں کیا ہے بریلی شریف میں
آقا ﷺ کا معجزہ ہے بریلی شریف میں

سب پوچھتے ہیں کیا ہے بریلی شریف میں
جنت کا راستہ ہے بریلی شریف میں

جھوٹا جو اس میں دیکھے تو جھوٹا دکھائی دے
سچا جو اس میں دیکھے تو سچا دکھائی دے

ایک ایسا آئینہ ہے بریلی شریف میں
آقا ﷺ کا معجزہ ہے بریلی شریف میں

جس نے رضا کے فیض کا دریا بہا دیا
انگلی پکڑ کے غوث سے ہم کو ملا دیا

وہ مصطفیٰ رضا ہے بریلی شریف میں
آقا ﷺ کا معجزہ ہے بریلی شریف میں

کھا کر رضا کے نام کی روٹی خاموش
وہ سن لے کان کھول کے جو بھی خاموش ہے

پتھر بھی بولتا ہے بریلی شریف میں
آقا ﷺ کا معجزہ ہے بریلی شریف میں

ہم سب کا پیشوا ہے بریلی شریف میں
سرکار ﷺ کی رضا ہے بریلی شریف میں

Leave a Comment