Ae Ri Sakhi More Piya Ghar Aaye Lyrics || Barkate Raza

Sufi-e-Azam Hazrat Ameer Khusrau Alaihirrahmah ka ye nihayat hi mashhoor aur roohani kalam “Ae Ri Sakhi More Piya Ghar Aaye” pesh-e-khidmat hai. Is pyare sufiyaana geet me mureed aur peer ke darmiyan ke roohani taalluq aur milan ki khushi ko nihayat hi dilkash andaz me bayan kiya gaya hai. Is pakiza kalam ko padh kar apne dilon ko ishq-e-ilahi aur roohani sukoon se sarshaar karein.

Naat Information Details
Naat Title Ae Ri Sakhi More Piya Ghar Aaye
Poet / Writer Hazrat Amir Khusrau
Category Sufi Qawwali / Kalam-e-Amir Khusrau
Naatkhawan / Reciter Ustad Nusrat Fateh Ali Khan, Farid Ayaz & Abu Muhammad

Naat Lyrics in Roman

Ae ri sakhi more Piya ghar aaye
bhaag lage is aangan ko

Apne Piya ke main bal bal jaauñ
charan lagaayo nirdhan ko

Main to khadi thi aas lagaaye
mehndi, kajra, maang sajaaye

Dekh Suratiya apne piya ki
haar gayi main tan man ko

Jiska Piya sang beete saawan
us dulhan ki rain suhaagan

Jis saawan mein Piya ghar naahi
aag lage us saawan ko

Apne Piya ko main ki vidh paaun
Laaj ki maari main to doobi doobi jaauñ

Tum hi jatan karo ae ri sakhi ri
Main man bhaauñ Saajan ko

Naat Lyrics in Hindi

ऐ री सखी मोरे पिया घर आये
भाग लगे इस आँगन को

अपने पिया के मैं बल बल जाऊँ
चरन लगायो निर्धन को

मैं तो खड़ी थी आस लगाये
मेहँदी, कजरा, माँग सजाये

देख सुरतिया अपने पिया की
हार गयी मैं तन मन को

जिसका पिया संग बीते सावन
उस दुल्हन की रैन सुहागन

जिस सावन में पिया घर नाही
आग लगे उस सावन को

अपने पिया को मैं किस विध पाऊँ
लाज की मारी मैं तो डूबी डूबी जाऊँ

तुम ही जतन करो ऐ री सखी री
मैं मन भाऊँ साजन को

Naat Lyrics in Urdu

اے ری سکھی مورے پیا گھر آئے
بھاگ لگے اس آنگن کو

اپنے پیا کے میں بل بل جاؤں
چرن لگایو نردھن کو

میں تو کھڑی تھی آس لگائے
مہندی کجرا مانگ سجائے

دیکھ صورتیا اپنے پیا کی
ہار گئی میں تن من کو

جس کا پیا سنگ بیتے ساون
اس دلہن کی رین سہاگن

جس ساون میں پیا گھر ناہیں
آگ لگے اس ساون کو

اپنے پیا کو میں کس ودھ پاؤں
لاج کی ماری میں تو ڈوبی ڈوبی جاؤں

تم ہی جتن کرو اے ری سکھی ری
میں من بھاؤں ساجن کو

Leave a Comment