Main kahin bhi jaun ae jaan mera intezaar karna Lyrics
Main kahin bhi jaun ae jaan mera intezaar karna
Mere baad phir kisi se kabhi tum na pyar karna
Mera naam jin labon pe kabhi khelta tha barson
Meri jaan main wohi hoon mera aitbar karna
Tu nigaar e zindagi tha tu bahaar e zindagi tha
Mujhe yaad hai abhi tak tera beqarar karna
Tu bazaat e khud nasha hai tu misaal e maikda hai
Tera mujh se muh chhupana mujhe sharmsar karna
Tu agar bhatak bhi jaaye tere pass hai wo rasta
Jise bhool ne dikhaya wo hi ikhteyar karna