Ab Ke Tajdeed E Wafa Ka Nahi Imkaan Jaana || Barkate Raza


Yeh Dilkash Aur Rooh Parwar Kalam Mohabbat Ki Shiddat Aur Hijr Ke Dard Ko Bayan Karta Hai. Is Kalam Mein Insaani Zindagi Aur Wafa Ke Mukhtalif Pehluon Ko Ahmed Faraz Ne Nihayat Khoobsurat Andaz Mein Pesh Kiya Hai. Is Aala Shayari Ko Parh Kar Jazba E Dil Ko Ek Naya Ahsaas Milta Hai.

Naat InformationDetails
Naat TitleAb Ke Tajdeed E Wafa Ka Nahi Imkaan Jaana
Poet / WriterAhmed Faraz
CategoryUrdu Ghazal
Naatkhawan / ReciterMehdi Hassan
Book NameBarkate Raza Naat Book

Ab Ke Tajdeed E Wafa Ka Nahi Imkaan Jaana Lyrics In Roman

Udaasiyan Jo Na Laate To Aur Kya Karte
Chashme Shola Manaate Toh Aur Kya Karte

Andhera Mangne Aaya Tha Roshni Ki Bheekh
Ham Apna Ghar Na Jalaate Toh Aur Kya Karte

Ab Ke Tajdeed E Wafa Ka Nahi Imkaan Jaana
Yaad Kya Tujhko Dilayein Tera Paimaan Jaana

Yun Hi Mausam Ki Ada Dekh Ke Yaad Aata Hai
Kis Kadar Jald Badal Jaate Hain Insaan Jaana

Zindagi Teri Ata Thi So Tere Naam Ki Hai
Hamne Jaise Bhi Basar Ki Tera Ehsaan Jaana

Dil Yeh Kehta Hai Ke Shayad Ho Afsurda Tu Bhi
Dil Ki Kya Baat Karein Dil Toh Hai Nadaan Jaana

Awwal Awwal Ki Muhabbat Ke Nashe Yaad Toh Kar
Be-Piye Bhi Tera Chehra Tha Gulistaan Jaana

Muddaton Se Yahi Aalam Raha Tawakko Na Hui
Dil Pukaare Hi Chala Jaata Hai Jaana Jaana

Ab Tera Zikr Hi Shayad Hi Ghazal Mein Aaye
Aur The Aur Hue Dard Ke Unwaan Jaana

Ab Ke Tajdeed E Wafa Ka Nahi Imkaan Jaana Lyrics In Hindi

उदासीयां जो न लाते तो और क्या करते
चश्मे शोला मनाते तो और क्या करते

अंधेरा मांगने आया था रोशनी की भीख
हम अपना घर न जलाते तो और क्या करते

अब के तजदीद ए वफ़ा का नहीं इमकान जानां
याद क्या तुझको दिलाएं तेरा पैमान जानां

यूं ही मौसम की अदा देख के याद आता है
किस कदर जल्द बदल जाते हैं इंसान जानां

जिंदगी तेरी अता थी सो तेरे नाम की है
हमने जैसे भी बसर की तेरा अहसान जानां

दिल यह कहता है के शायद हो अफसुर्दा तू भी
दिल की क्या बात करें दिल तो है नादान जानां

अव्वल अव्वल की मोहब्बत के नशे याद तो कर
बे-पिये भी तेरा चेहरा था गुलिस्तान जानां

मुद्दतों से यही आलम रहा तवक्को न हुई
दिल पुकारे ही चला जाता है जानां जानां

अब तेरा जिक्र ही शायद ही ग़ज़ल में आये
और थे और हुए दर्द के उनवान जानां

Ab Ke Tajdeed E Wafa Ka Nahi Imkaan Jaana Lyrics In Urdu

وداسیاں جو نہ لاتے تو اور کیا کرتے
چشم شعلہ بناتے تو اور کیا کرتے

اندھیرا مانگنے آیا تھا روشنی کی بھیکھ
ہم اپنا گھر نہ جلاتے تو اور کیا کرتے

اب کے تجدید وفا کا نہیں امکان جاناں
یاد کیا تجھ کو دلائیں تیرا پیمان جاناں

یوں ہی موسم کی ادا دیکھ کے یاد آتا ہے
کس قدر جلد بدل جاتے ہیں انسان جاناں

زندگی تیری عطا تھی سو تیرے نام کی ہے
ہم نے جیسے بھی بسر کی تیرا احسان جاناں

دل یہ کہتا ہے کہ شاید ہو افسردہ تو بھی
دل کی کیا بات کریں دل تو ہے نادان جاناں

اول اول کی محبت کے نشے یاد تو کر
بے پیے بھی تیرا چہرہ تھا گلستان جاناں

مدتوں سے یہی عالم رہا توقع نہ ہوئی
دل پکارے ہی چلا جاتا ہے جاناں جاناں

اب تیرا ذکر ہی شاید ہی غزل میں آئے
اور تھے اور ہوئے درد کے عنوان جاناں

Leave a Comment