Hakeem-Ul-Ummat Hazrat Allama Muhammad Iqbal Ka Likha Gaya Yeh Azeem-O-Shan Sufiana Kalaam Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Aasmaan Ke Liye Khud-Shanaasi Aur Azmat-E-Insaan Ka Ek Behtareen Paigham Hai.
Is Paak Kalaam Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Script Mein Paish-E-Khidmat Hain.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Aasmaan Ke Liye |
| Poet / Writer | Allama Iqbal |
| Category | Sufiana Kalam |
| Naatkhawan / Reciter | Hina Nasrullah |
| Book Name | Bal-E-Jibril |
Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Aasmaan Ke Liye Lyrics In Roman
Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Aasmaan Ke Liye
Jahaan Hai Tere Liye Tu Nahi Jahaan Ke Liye
Ye Aql O Dil Hai Sharar Shola E Muhabbat Ke
Wo Khaar O Khas Ke Liye Hai Ye Neestan Ke Liye
Malaam E Parwarish E Aah O Nala Hai Ye Chaman
Na Sair E Gul Ke Liye Hai Na Aashiyan Ke Liye
Nigah Buland Sakhun Dil Nawaaz Jaan Pursouz
Yehi Hai Rakht E Safar Meer E Kaarwaan Ke Liye
Mere Gulu Mein Hai Ik Nagma Jibraeel Aashob
Sambhaal Kar Jise Rakha Hai Lamakaan Ke Liye
Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Aasmaan Ke Liye Lyrics In Hindi
न तू ज़मीं के लिए है न आसमाँ के लिए
जहाँ है तेरे लिए तू नहीं जहाँ के लिए
ये अक़्ल ओ दिल हैं शरर शोला-ए-मोहब्बत के
वो ख़ार ओ ख़स के लिए है ये नीस्ताँ के लिए
मलाम-ए-परवरिश-ए-आह ओ नाला है ये चमन
न सैर-ए-गुल के लिए है न आशियाँ के लिए
निगह बुलंद सुख़न दिल-नवाज़ जाँ पुर-सोज़
यही है रख़्त-ए-सफ़र मीर-ए-कारवाँ के लिए
मिरे गुलू में है इक नग़्मा जिब्राईल-आशोब
संभाल कर जिसे रक्खा है ला-मकाँ के लिए
Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Aasmaan Ke Liye Lyrics In Urdu
نہ تُو زمیں کے لیے ہے نہ آسماں کے لیے
جہاں ہے تیرے لیے تُو نہیں جہاں کے لیے
یہ عقل و دل ہیں شرر شعلہۂ محبت کے
وہ خار و خس کے لیے ہے یہ نیستاں کے لیے
ملامِ پرورشِ آہ و نالہ ہے یہ چمن
نہ سیرِ گل کے لیے ہے نہ آشیاں کے لیے
نگہ بلند سخن دل نواز جاں پر سوز
یہی ہے رختِ سفر میرِ کارواں کے لیے
مرے گلو میں ہے اک نغمہ جبرئیل آشوب
سنبھال کر جسے رکھا ہے لامکاں کے لیے