Wuzu Karne Ka Tarika Aur Zaroori Maloomat
1. Wuzu Kya Hai? (Farz Masail)
Wuzu mein 4 cheezein Farz hain, inke baghair Wuzu nahi hota:
-
Chehra dhona (peshani ke baalon se thodhi tak aur ek kaan se dusre kaan tak).
-
Donon haath kohoniyon (elbows) samet dhona.
-
Sar ka chothaai (1/4) hissa masah karna.
-
Donon pair takhnon (ankles) samet dhona.
2. Wuzu Ka Mukammal Tarika
-
Niyat aur Bismillah: Wuzu ki niyat karein aur “Bismillah” padhein.
-
Haath dhona: Donon haath kalaiyon (wrists) tak 3 baar dhoyein.
-
Miswaak: Miswaak karein, na ho to ungli se daanton ko saaf karein.
-
Kulli (Rinsing mouth): 3 baar khoob achi tarah kulli karein (paani munh ke har purze tak jaye). Roza na ho to gharghara (gargle) karein.
-
Naak saaf karna: 3 baar naak mein paani chadha kar saaf karein.
-
Chehra dhona: 3 baar pura chehra dhoyein (kahi se bhi sookha na rahe). Daadhi ho to uska khilaal karein.
-
Haath dhona: Donon haathon ko kohoniyon samet 3 baar dhoyein.
-
Masah: Hathon ko paani se tar karke sar ka masah karein, fir kaanon aur gardan ka masah karein.
-
Pair dhona: Donon pairon ko takhnon samet 3 baar dhoyein. Ungliyon ka khilaal lazmi karein.
Khas Baat: Dhone ka matlab hai ki paani kam-az-kam 2 qatre beh jaye. Sirf bhiga lene ya tel ki tarah masalne se Wuzu nahi hoga. Sardiyon mein khyal rakhein ki paani chamdi tak zaroor pahunche.
3. Wuzu Todne Wali Cheezein (Nawaqiz-e-Wuzu)
-
Peshab, pakhana ya inke raste se kisi cheez (keeda, pathri, wadi, mazi, mani) ka nikalna.
-
Piche ke raste se hawa (gas) ka kharij hona.
-
Be-hosh ho jana ya gehri neend mein so jana.
-
Munh bhar kar qe (vomit) karna (itni ke rokne mein takleef ho).
-
Namaze Janaaza ke ilawa kisi aur namaz mein zor se qahqaha lagakar hasna.
-
Aankh ki bimari ke aansu (jo naapaak hain).
-
Test ya injection ke liye khoon ka is tarah nikalna ke wo beh jaye.
4. Kin Cheezon Se Wuzu Nahi Toot-ta?
-
Naak saaf karte waqt nikalne wala khoon.
-
Kisi ka satar (jism ka chhupa hissa) dekhna.
-
Aam rone se nikalne wale aansu (ye naapaak nahi hote).
5. Paan Khane Wale Bhaiyon Ke Liye Zaroori Note
Paan ke bareek zarre daanton ke gap mein phans jaate hain. Namaaz ke liye munh ka saaf hona lazmi hai. Paan khane ke baad khub zor se aur baar-baar kulli karein taake daanton mein phanse hue zarre nikal jayein. Hadis ka mafhoom: Jab banda namaz ke liye khada hota hai to farishta uske munh par apna munh rakhta hai. Agar daanton mein khaane ke zarre hon, to farishte ko isse bahut takleef hoti hai.
Is maloomat ko khud bhi save karein aur apne bhaiyon ke saath forward zaroor karein.