Jashn-e-Eid Milad-un-Nabi ﷺ ke mubarak mauqe par padha jaane wala yeh nihayat hi dilkash aur aqeedat se labrez kalam hai. Isme shayar ne Aaqa-e-Namdar ﷺ ki aamad ki khushi aur zamane ki raunaq ko nihayat khoobsurat andaz mein bayan kiya hai. Aayye is noorani kalam ko mukammal padhein aur apne dilon ko ishq-e-Rasool ﷺ se roshan karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Eid-e-Nabvi Ka Zamana Aa Gaya |
| Poet / Writer | Shad |
| Category | Milad Naat / Jashn-e-Wiladat |
| Naatkhawan / Reciter | Samra Zafar / Traditional |
Naat Lyrics in Roman
Eid-e-Nabvi Ka Zamana Aa Gaya,
Lab Pe Khushiyon Ka Tarana Aa Gaya.
Har Sitare Ko Mili Hai Roshni,
Har Kali Ko Muskurana Aa Gaya.
Har Taraf Salle Ala Ki Dhoom Hai,
Wajd Mein Sara Zamana Aa Gaya.
Aaj Chamka Do Dar-O-Deewar Ko,
Aashiqon Ka Din Suhana Aa Gaya.
‘Shad’ Honthon Pe Hai Naat-e-Mustafa,
Haath Bakhshish Ka Bahana Aa Gaya.
Naat Lyrics in Hindi
ईद-ए-नबवी का ज़माना आ गया,
लब पे खुशियों का तराना आ गया।
हर सितारे को मिली है रौशनी,
हर कली को मुस्कुराना आ गया।
हर तरफ़ सल्ले अला की धूम है,
वज्द में सारा ज़माना आ गया।
आज चमका दो दर-ओ-दीवार को,
आशिक़ों का दिन सुहाना आ गया।
‘शाद’ होंठों पे है नात-ए-मुस्तफ़ा,
हाथ बख़्शिश का बहाना आ गया।
Naat Lyrics in Urdu
عیدِ نبوی کا زمانہ آ گیا
لب پہ خوشیوں کا ترانہ آ گیا
ہر ستارے کو ملی ہے روشنی
ہر کلی کو مسکرانا آ گیا
ہر طرف سلِّ علیٰ کی دھوم ہے
وجد میں سارا زمانہ آ گیا
آج چمکا دو در و دیوار کو
عاشقوں کا دن سہانا آ گیا
’شاد‘ ہونٹوں پہ ہے نعتِ مصطفیٰ
ہاتھ بخشش کا بہانہ آ گیا