Sarkar E Do Alam Ki Shaan E Mubarak Aur Shafa’at E Qayamat Par Mabni Yeh Behad Khubsoorat Kalam Dilon Ko Khuda Ki Rahmat Aur Ishq E Rasool Se Labrez Karta Hai. Is Kalam Mein Hashr Ki Noorani Mehfil Aur Sarkar Ki Aala Azmat Ka Behad Dilkash Bayan Pesh Kiya Gaya Hai. Teeno Zabanon Mein Yeh Kalam Niche Mulahiza Farmaen.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Hoga Ek Jalsa Hashr Mein Aisa |
| Poet / Writer | Faizi |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Owais Raza Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Hoga Ek Jalsa Hashr Mein Aisa Lyrics In Roman
Hoga Ek Jalsa Hashr Mein Aisa Jis Mein Sarkar Ki Azmat Pe Khitabat Hogi
Sadre Mahshar Hamara Rab Hoga Hazrate Bulbule Sidra Ki Naqabat Hogi
Hoga Sar Mustafa Ka Sajde Mein Jab Pareshani Ke Aalam Mein Ye Ummat Hogi
Rab Kahega Ye Mera Waada Hai Usko Bakhshunga Teri Jis Mein Muhabbat Hogi
Main Padhunga Hadaiqe Bakhshish Hashr Ki Bheed Mein Gar Mujh Ko Ijazaat Hogi
Sun Ke Nara Lagayenge Sunni Aur Wahabi Ke Liye Dohri Qayamat Hogi
Ye Wasiyat Hai Ek Aashiq Ki Qad Ki Miqdar Mein Gehri Meri Turbat Hogi
Uth Saku Main Pa E Adab Fauran Jis Ghadi Qabr Mein Aaqa Ki Ziyarat Hogi
Aala Hazrat Wahan Pe Jayenge Jis Jagah Unke Ghulamon Ko Zarurat Hogi
Tu Hai Ek Razvi Naatkhwan Faizi Is Liye Tere Muqaddar Mein Bhi Jannat Hogi
Hoga Ek Jalsa Hashr Mein Aisa Lyrics In Hindi
होगा एक जलसा हश्र में ऐसा जिस में सरकार की अज़मत पे ख़िताबत होगी
सदरे-महशर हमारा रब होगा हज़रते-बुलबुले-सिदरा की नक़ाबत होगी
होगा सर मुस्तफ़ा का सजदे में जब परेशानी के आलम में ये उम्मत होगी
रब कहेगा ये मेरा वादा है उसको बख़्शूंगा तेरी जिस में मुहब्बत होगी
मैं पढूंगा हदाइक़े-बख़्शिश हश्र की भीड़ में गर मुझ को इजाज़त होगी
सुन के नारा लगाएंगे सुन्नी और वहाबी के लिये दोहरी क़यामत होगी
ये वसीयत है एक आशिक़ की कद की मिक़्दार में गहरी मेरी तुर्बत होगी
उठ सकू मैं पए-अदब फ़ौरन जिस गड़ी क़बर में आक़ा की ज़ियारत होगी
आ’ला हज़रत वहाँ पे जाएंगे जिस जगह उनके ग़ुलामों को ज़रुरत होगी
तू है एक रज़वी नातख्वां फ़ैज़ी इस लिये तेरे मुक़द्दर में भी जन्नत होगी
Hoga Ek Jalsa Hashr Mein Aisa Lyrics In Urdu
ہوگا ایک جلسہ حشر میں ایسا جس میں سرکار کی عظمت پہ خطابت ہوگی
صدرِ محشر ہمارا رب ہوگا حضرتِ بلبلِ سدرہ کی نقابت ہوگی
ہوگا سر مصطفیٰ کا سجدے میں جب پریشانی کے عالم میں یہ امت ہوگی
رب کہے گا یہ میرا وعدہ ہے اس کو بخشوں گا تیری جس میں محبت ہوگی
میں پڑھوں گا حدائقِ بخشش حشر کی بھیڑ میں گر مجھ کو اجازت ہوگی
سن کے نعرہ لگائیں گے سنی اور وہابی کے لئے دوہری قیامت ہوگی
یہ وصیت ہے ایک عاشق کی قد کی مقدار میں گہری میری تربت ہوگی
اٹھ سکوں میں پےِ ادب فوراً جس گھڑی قبر میں آقا کی زیارت ہوگی
اعلیٰ حضرت وہاں پہ جائیں گے جس جگہ ان کے غلاموں کو ضرورت ہوگی
تو ہے ایک رضوی نعت خواں فیضی اس لئے تيرے مقدر میں بھی جنت ہوگی