Andhere Ghar Me Sakina Ko Maut Aayi Hai Lyrics
Janaza Uthne Ka Saman Nahi, Duhayi Hai
Andhere Ghar Me Sakina Ko Maut Aayi Hai
Pukareñ Banoo-e-Nashaad Aake Mayyat Par
Sakina Beti Uttho Maa Tumhari Aayi Hai
Karuñ Maiñ Dafn Ka Saman Kis Tarha Beta
Gharib Maa Hai To Mazboor Tera Bhai Hai
Tumhe To Maine Badi Mannatoñ Se Pala Tha
Mai Zinda Rah Gayi Kyuñ Maut Tumko Aayi hai
Abhi Zabaan Bhi Poori Na Khulne Payi THi
Yateem Bachhi Ko Be-waqt Maut Aayi Hai
Baghair Roushni Ke Kis Qadar Tadapti Thi
Andheri Qabr Tumheñ Ab Pasand Aayi Hai
Hai Aaj Kyuñ Dar-e-Zindañ Khula hua Bibi
Tumhare Lene Ko Shayad Sawari Aayi Hai
Kisi Ne Haal Ye Haqim Se Kah Diya Jakar
Ke Qadiyoñ Par Musibat Ik Aur Aayi Hai
Wo Ladki Mar Gayi Jo Shab Ko Roz Roti Thi
Wahi Hussain Ki Dukhtar Falak Satayi
Na Dafn Ka Koi Samañ Hai Na Kafan Ke Liye
Na Koi Lash Par Chadar Abhi Udaayi Hai
Zara Sa Bhej De Kapda Jo Daleñ Mayyat Par
Ye Tere Daur Me Kaisi Qayamat Aayi Hai
Taras Yazeed Ko Aaya Ye Waqya Sun Kar
Kaha Ye Kahna Jo Aabid Se Uska Bhai Hai
Mujhe Bhi Ranj Hua Sunke Ye Khabar Lekin
Khuda Ke Hukm Se Mazboor Sab Khudayi Hai
Uthayeñ Aap Janaza Maiñ Bhejta Huñ Abhi
Kafan Mangaya Hai Ghassal Bhi Bulayi Hai
Payaam Sun Ke Laeen Ka Kaha Ye Aabid Ne
Tere Hi Zulm Se Be-Kas Ne Jaañ Gawaayi Hai
Zaroorat Aur Nahiñ Sirf Chadar-e-Zahra
Wo Mujhko Bhej De Ghairat Me Jo Ke Payi Hai
Ye Kah Ke Ghusl Lage Dene Aabid-e-Ghamgeen
Kaneez Ik Wo Chadar Bhi Leke Aayi Hai
Kafan Bahen Ko Pinhaya To Ro Diye Sajjad
Har Ek Bibi Ko Phir Baat Ye Sunayi Hai
Wida Kar Lo Inhe Dekh Lo, Karo Rukhsat
Salam Aakhiri Karne Sakina Aayi Hai
Balayeñ Chhoti Si Mayyat Ki Le Ke Maa Boliñ
Arey Ye chaar Baras Ki Meri Kamaayi Hai
Ali Ki Laadli Beti Tera Khuda Hafiz
Ki Hamse-Tumse Qayamat Talak Judaayi Hai
Tumhare Bina Na Mujhe Neeñd Aayegi Beta
Mujhe Bhi Le Chalo Basti Jahañ Basaayi Hai