Bhar do Jholi

Bhar do Jholi

bhar do jholi

Shah E Madina Suno, Iltija Khuda Ke Liye

Karam Ho Mujh Pe Habibe Khuda Khuda Ke Liye

Huzur Uncha E Ummed Ub To Khil Jee

Tumhare Dar Ka Gada Hu To Bhi Tum He Jee

 

Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad

Lot Kar Me Na Jaunga Khali

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad

Lot Kar Me Na Jaunga Khali

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad

Lot Kar Me Na Jaoon Ga Khali

 

Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi Hum Sub Ki

Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi Mohammad

Bhar Do Jholi Ata Ki Bhar Do Jholi

Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi, Bhar Do Jholi

 

Tumhare Astane Se Zamana Kiya Nahi Pata

Koi Bhi Dar Se Khali Mangne Wala Nahi Jata

 

Tum Zamane K Mukhtar Ho Ya Nabi

Bekasoon K Madadgar Ho Ya Nabi

Sub Ki Sunte Ho Apne Ho Ya Ghair Ho

Tum Ghareebon K Ghamkhar Ho Ya Nabi

 

Hum He Ranj-O-Musibat K Mare Hoe

Sakht Muskhil Se He Gham Se Hare HoeYa Nabi Kuch Khudara HaMe Bheek Do

Dar Pe Ain He Jholi Pasare Hoe

 

He Mukhalif Zamana Kidhar Ja’e Hum

Halate -Bekasi Kiss Ko Dikhla’e Hum

Hum Tumhare Bhikari He Ya Mustafa

Kiss K Age Bhala Hath Phailaein Hum

 

Bhar Do Joli Meri Ya Muhammad

Lot Kar Me Na Jaoon Ga Khali

 

Bhar Do Joli Meri Ya Muhammad

Lot Kar Me Na Jaoon Ga Khali

Kuch Nawasoon Ka Sadqa Ata Hoo

Dar Pe Aaya Hu Bun Kar Sawali

 

Haq Se Paei Wo Shane -Karimi

Marhaba! Dono Alam K Wali

Us Ki Qismat Ka Chamka Sitara

Jiss Pe Nazre -Karam Tum Ne Dali

 

Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko

Abro Deene -Haq Ki Bacha Li

Wo Muhammad Ka Pyara Nawasa

Jiss Ne Sajde Me Gardan Kata Li

 

Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko

Abro Deen E Haq Ki Bacha Li

Jo Ibne -Murtaza Ne Kia Kam Khoob Hai

Qurbanie -Hussain Ka Anjan Khoob Hai

 

Qurban Ho Ke Fatima Zehra K Chain Ne

Deene -Khuda Ki Shan Barhai Hussain Ne

Bakhshi Hai Jiss Ne Mazhabe -Islam Ko Heat

Kitni Azeen Hazrate -Shabbir Ki Hai Zat

 

Maidane -Karbala Me Shahe -Khush Khisal Nai

Sajde Me Sir Kata K Muhammad K Lal Nai

To Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko

Abro Deene -Haq Ki Bacha Li

 

Woh Muhammad Ka Pyara Nawasa

Jiss Ne Sajde Me Gardan Kata Li

Woh Muhammad Ka Pyara Nawasa

Jiss Ne Sajde Me Gardan Kata Li

 

Hashr Me Un Ko DaikHe Ge Jiss Dam

Ummati Yeh KaHe Ge Khushi Se

A Rahe He Wo Dekho Muhammad

Jin K Kandhe Pe Kamli Hai Kali

 

Mehshar K Rooz Paishe -Khuda Hu Ge Jiss Ghari

Hogi Gunah Garon Me Kiss Darja Bekali

Ate Hoe Nabi Ko Jo DaikHe Ge Ummati

Ik Dosre Se Sub Yeh KaHe Ge Khushi Khushi

 

A Rahe He Wo Dekho Muhammad

A Rahe He Wo Dekho Muhammad

A Rahe He Wo Dekho Muhammad

A Rahe He Wo Dekho Muhammad

 

Sire -Mehshar Gunah Garon Se Pursish Jiss Khari Hogi

Yaqeenan Her Bashar Ko Apni Bakshish Ki Pari Hogi

Sub He Ko As Us Dam Kamli Wale Se Lagi Hogi

K Aise Me Muhammad Ki Sawari A Rahi Hogi

 

Pukare Ga Zamana Us Ghari Dukh Dard K Maro

Na Ghabrao Gunahgaro! Na Ghabrao Gunahgaro!

A Rahe He Wo Dekho Muhammad

Jin K Kandhe Pe Kamli Hai Kali

 

Ashiqe -Mustafa Ki Azan Mei

Allah Allah Kitna Asar Tha

 

Sacha Yeh Waqia Hai Azane -Bilal Ka

Ik Din Rasoole -Pak Se Logo Ne Yoon Kaha

Ya Mustafa Azan Ghalat Daite He Bilal

Kahiyeh Huzoor Ap Ka Is Mei Hai Kiya Kheal

 

Farmea Mustafa Nai Yeh Such Hai To Daikhe

Tapte Sehr Ki Aj Azan Koi Aur De

Hazrat Bilal Nai Jo Azane -Sehr Na Di

Qudrat Khuda Ki Dekho Na Mutlak Sehr Howi

 

Hazrat Bilal Nai Jo Azane -Sehr Na Di

Qudrat Khuda Ki Dekho Na Mutlak Sehr Howi

Aee Nabi K Pas Phir Ashabe -Ba-Safa

Ki Arz Mustafa Se K Ya Shahe -Ambiya

 

Hai Kiya Sabab Sehr Na Howi Aj Mustafa

Gibreal Laee Aise Me Paighame -Kibriya

Pehle To Mustafa Ko Adab Se Kia Salam

Bad-As-Salam Un Ko Khuda Ka Dia Peam

 

Yoon Gibreal Ne Kaha Khair-Ul-Anam Se

K Allah Ko Hai Pyar Tumhare Ghulam Se

Yoon Gibreal Ne Kaha Khair-Ul-Anam Se

Allah Ko Hai Pyar Tumhare Ghulam Se

 

Yoon Gibreal Ne Kaha Khair-Ul-Anam Se

Allah Ko Hai Pyar Tumhare Ghulam Se

Farma Raha Hai Aj Se Yeh Rub-Be-Zuljallal

K Hogi Na Subah Dein Ge Na Jab Tak Azan Bilal

 

Ashiqe -Mustafa Ki Azan Me

Allah Allah Kitna Asar Tha

Arsh Wale Bhi Sunn’te The Jiss Ko

Kiya Azan Thi Azaane -Bilali

 

Kash Purnam Deyare -Nabi Me

Jeete Ji Ho Bulawa Kisi Din

Hale -Gham Mustafa Ko Sunaon

Tham Kar Un K Roze Ki Jali

 

Hale -Gham Mustafa Ko Sunaon

Tham Kar Un K Roze Ki Jali

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad

Lot Kar Me Na Jaoon Ga Khali

Zamino Zamaan Tumhare liye Naat Lyrics

 

Welcome to the official main channel of Barkate Raza Show some love people by subscribing to our channel!

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d