EID KI NAMAZ KA TAREEQA

EID KI NAMAZ KA TAREEQA

 

namaz e eaid ka tareeqa ye hai keh 2 rakat wajib eidu fitr ya eidulazha ki niyyat kar ke kaano tak haath uthaaye aur allahu akbar kahta hua haath baandh le phir sana padhe phir kaano tak haath uthaye aur allahu akbar kahta hua haath chhod de phir haath uthaye aur allahu akbar kah kar haath chhod de aur phir haat uthaye aur allahu akbar kah kar haath baandh le yani pahli takbeer men haath baandhe iske  ba’d 2 takbeero mem haath latkaaye aur 4thi takbeer men baandh le phir imam اعوذ aur بسم الله aahista padh kar jahar ke saath alhamd o soorat padhe phir ruku kare aur dosri rakat mem pahle alhamd o soorat padhe phir 3 baar kaano tak haath le jaa kar allahu akbar kahe aur haath na baandhe aur 4thi baar bagair haath uthaye allahu akbar kahta hua ruku men jaaye

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  eidain men zaaid takbeeren 6 hui 3 pahli qirat se pahle aur takbeer tahreema ke ba’d aur 3 dosri men qirat ke ba’d aur takbeer e ruku se pahle aur in men se har takbeer men haath uthaaye jaayenge aur har 2 takbeero ke darmiyan 3 tasbeeh ki qadr sakta karen

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  ye 6von takbeeren wajib hain yunhi dosri rakat ki takbeer e ruku bhi wajib hai

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  imam 6 takbeero se ziyadah kahe to muqtadi bhi imam ki pairwi kare magar 13 se ziyadah men imam ki pairwi nahin

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  pahli rakat men imam ke takbeer kahne ke ba’d muqtadi shamil hua to usi waqt 3 takbeeren kah le agarche imam ne qirat shuru kar di ho aur 3 hi kahe agarche imam ne 3 se ziyadah kahi ho

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  agar us ne (muqtadi ne) takbeeren na kahi keh imam ruku men chala gaya to khade khade na kahe balkeh imam ke saath ruku men jaaye aur ruku men takbeer kah le

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  imam ko ruku men paaya aur gaalib gumaan hai keh takbeeren kah kar imam ko ruku men paa lega to khade khade takbeeren kahe phir ruku men jaaye warna allahu akbar kah kar ruku men jaaye aur ruku men takbeeren kahe phir agar usne ruku men takbeeren poori na ki thi keh imam ne sar utha liya to baaqi saaqit ho gayi

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  imam ke ruku se uthne ke ba’d shamil hua to ab takbeeren na kahe balkeh jab apni padhe us waqt kahe

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  ruku men jahan takbeer kahna bataya gaya us mem haath na uthaye

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  agar dosri rakat mem shamil hua to pahli rakat ki takbeeren ab na kahe balkeh jab apni faut shudah padhne khada ho us waqt kahe aur dosri rakat ki takbeeren agar imam ke saath paa jaaye to fabiha warna is men bhi wahi tafseel hai jo pahli rakat ke baare men mazkoor hui

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  imam takbeer kahna bhool gaya aur ruku men chala gaya to qiyam ki taraf na laute na ruku mem takbeer kahe

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  Pahli rakat mem imam takbeeren bhool gaya aur qirat shuru kar di to qirat ke ba’d kah le ya ruku men, aur qirat ka i’aadah na kare

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  imam takbeeraat e zawaaid mem haath na uthaye to muqtadi uski pairwi na kare balkeh haath utbaye

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  namaz ke ba’d imam 2 khutbe padhe aur khutba e juma men jo chizen sunnat hain is men bhi sunnat hain aur jo wahan makrooh hai yaha bhi makrooh hai

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  imam ne namaz padh li aur koi shakjs baaqi rah gaya khwah oh shamil hi na hua tha ya shamil to hua magar uski namaz faasid ho gayi to agar dosri jagaj mil jaaye padh le warna nahin padh sakta haan bihtar ye hai keh ye shakhs 4 rakat chaasth ki namaz padhe

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  eidulazha tamam ahkaam mem eidulfitr ki tarah hai sirf ba’z baaton mem faraq hai is mem mustahab ye hai keh namaz se pahle kuchh na khaye agarcheh Qurbaani na kare aur kha liya to karahat nahin aur raasta men baland aawaaz se takbeer kahta jaaye

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  jo chizen namaz mem haraam hain maslan khana peena salam o jawab e salam wagairah ye sab khutba ki haalat mem bhi haraam hain

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  jab khutba padhe to tamam haazireen par sunna aur chup rahna farz

hai

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  jo log imam se door hon keh khutba ki aawaaz un tak nahin pahunchti unhen bhi chup rahna wajib hai agar kisi ko buri baat karte dekhen to haath ya sar ke ishare se mana kar sakte hain zaban se naa jaayez hai

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ka name paak khateeb ne liya to haazireen dil men durood shareef padhen zaban se padhne ki us waqt ijazat nahin

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  yunhi sahba e kiram ke zikr par us waqt رضى الله تعالى عنهم  zaban se kahne ki ijazat nahin

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  ba’d namaz eid musafaha o mu’aanqah karna jaise umooman musalmano men raaij hai bihtar hai, keh is men izhaar e musarrat hai

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  ba’z log mu’aanqa e eid se mana karte hain iski koi asl nahin balkeh ahadees kareema se mu’aanqah saabit hai tafseel ke liye Aala hazrat azeemul barakat saiyyiduna imam ahmad raza fazil e barailvi رضى الله تعالى عنه ka risala mubaraka

” وشاح الجيد فى تحليل معانقة العيد ”

Ka mutala karen

 

 

Important Eid Masail

 

 TAKBEER TASHREEQ KE MASAAIL

 

 

MASLAH:::  9wen zilhijjah ki fajar se 13wen ki asar tak har namaz e panjgaana ke ba’d jo jamat e mustahabbah ke saath ada ki gayi 1 baar takbeer baland aawaaz se kahna wajib hai aur 3 baar afzal

ise takbeer e tashreeq kahte hain oh ye hain

اَللّٰهُ اَكْبَرُ اَللّٰهُ اَكْبَرُ لَا اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ وَاللّٰهُ اَكْبَرُ اَللّٰهُ اَكْبَرُ وَلِلّٰهِ الْحَمْدُ

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  takbeer e tashreeq salam pherne ke ba’d fauran wajib hai yani jab tak koi aisa fe’l na kiya ho keh us namaz par bina na kar sake agar masjid se baahar ho gaya ya qasdan (jaan boojh kar)  wazu tod diya ya kalam kiya agarcheh sahwan to takbeer saaqit ho gayi aur bila qasd wazu toot gaya to kah le

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  takbeer tashreeq us par wajib hai jo shahar men muqeem ho ye jis ne uski iqteda ki

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  Nafl o sunnat o witr ke ba’d takbeer wajib nahin juma ke ba’d wajib hai aur namaz e eid ke ba’d bhi kah le

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  masbooq (jiski rakat chhoot gayi ho ) par takbeer wajib hai magar jab khud salam phere us waqt kahe aur imam ke saath kah li to namaz faasid na hui aur namaz khatm karne ke ba’d takbeer ka i’aadah bhi nahin

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  aur dino men namaz qaza ho gayi thi ayyam e tashreeq men uski qaza padhi to takbeer wajib nahin yunhi in dino ki namazen aur dino men padhi jab bhi wajib nahin

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  munfarid (tanha bagair jamat se  namaz padhne wala) par takbeer wajib nahin magar munfarid bhi kah le keh saahibain ke nazdeek us par bhi wajib hai

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  imam ne takbeer na kaha jab bhi muqtadiyo par wajib hai

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  aurato par takbeer tashreeq wajib nahin

(Bahar e shari’at)

Isi tarah musafir par bhi wajib nahin

 

 DUAA E AQEEQAH 

 

Ladke ki dua

“اَللّٰهُمَّ هٰذِهِ عَقِيْقَةُ ابْنِىْ فُلَاں”

( fulaan ki jagah bete ka name le agar dosre ka ladka ho to ibni fulaan ki jagah ladke aur us ke baap ka name le)

دَمُهَا بِدَمِهِ وَ لَحْمُهَا بِلَحْمِهِ وَ شَحْمُهَا بِشَحْمِهِ وَ عَظْمُهَا بِعَظْمِهِ وَ جِلْدُهَا بِجِلْدِهِ وَ شَعْرُهَا بِشَعْرِهِ  اَللّٰهُمَّ اجْعَلْهَا فِدَاءً لِّابْنِى فلاں ‌

(Is jagah bhi fulaan ki bajaaye bete ka name le aur agar dosre ka aqeeqah kare to “لِ” ke ba’d uska aur uske baap ka name le)

 

مِنَ النَّارِ وَ تَقَبَّلْهَا مِنْهُ كَمَا تَقَبَّلْتَهَا مِنْ نَبِيِّكَ الْمُصْطَفٰى وَ حَبِيْبِكَ الْمُجْتَبٰى عَلَيْهِ التَّحِيَّةُ وَالثَّنَاء  إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ  لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر

Kah kar zabah kar de

 

 

LADKI KI DUA

“اَللّٰهُمَّ هٰذِهِ عَقِيْقَةُ بْنِتِىْ فُلَانه”

( fulaanah ki jagah apni beti ka name le agar dosre ki ladki ka aqeeqah kare to binti fulaanah ki jagah ladki aur us ke baap ka name le)

دَمُهَا بِدَمِهَا وَ لَحْمُهَا بِلَحْمِهَا وَ شَحْمُهَا بِشَحْمِهَا وَ عَظْمُهَا بِعَظْمِها وَ جِلْدُهَا بِجِلْدِهَا وَ شَعْرُهَا بِشَعْرِهَا  اَللّٰهُمَّ اجْعَلْهَا فِدَاءً لِّبِنِْتى فلانه ‌

( is jagah bhi fulanah ki bajaaye beti ka name le aur agar dosre ki ladki ka aqeeqah kare to “لِ” ke ba’d ladki aur us ke baap ka name le)

 

مِنَ النَّارِ وَ تَقَبَّلْهَا مِنْهَا كَمَا تَقَبَّلْتَهَا مِنْ نَبِيِّكَ الْمُصْطَفٰى وَ حَبِيْبِكَ الْمُجْتَبٰى عَلَيْهِ التَّحِيَّةُ وَالثَّنَاء  إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ  لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر

Kah kar zabah kar de

 

 

QURBAANI KA TAREEQA

 

HADEES ::::: hazrat e jaabir رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh nabi kareen صلى الله تعالى عليه وسلم ne zabah ke din 2 mendhe singh wale chitkabre khassi kiye huye zabah kiye jab unka munh qibla ko kiya ye padhen

 

إِنِّی وَجَّہْتُ وَجْہِیَ لِلَّذِی فَطَرَ السَّمٰوٰتِ

وَالْأَرْضَ حَنِیفًاوَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِین

إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ  لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر

 

 

Is ko padh kar zabah farmaya ek riwayat men hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne ye farmaya keh ilahi ye meri taraf se hai aur meri ummat men uski taraf se hai jis ne Qurbaani nahin ki

(Abu daaud / ibn e maajah)

 

HADEES ::::: hazrat anas رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh nabi kareem

صلى الله تعالى عليه وسلم

Ne 2 mendhe chitkabre sing walo ki Qurbaani ki unhen apne dast e mubarak se zabah kiya aur

بِسْمِ اللّٰهِ وَاللّٰهُ اَكْبَر

Kaha,  kahte hain main ne huzur ko dekha keh apna paaun un ke pahluon par rakha aur

بِسْمِ اللّٰهِ وَاللّٰهُ اَكْبَر

Kaha

(Bukhari / muslim)

 

MASLAH:::  ye shubah keh ek mendha un sab ki taraf se kiyon kar ho sakta hai ya jo log abhi paida hi na huye unki Qurbaani kiyon kar hui iska jawab ye hai keh ye huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ke khasaais se hai jis tarah huzur ne 6 mahine ki bakri ke bachchah ki Qurbaani abu burdah رضى الله تعالى عنه ke liye jaayez farma di auron ke liye uski mumana’at kar di isi tarah is men khud huzur ki khususiyyat hai

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  Qurbaani ka tareeqa ye hai keh Jaanwar un sharaait ke muwafiq hon jo mazkoor hui yani jo us ki umr baatai gayai us se kam na ho aur un uyoob se paak ho jinki wajah se Qurbaani naajaayez hoti hai aur bihtar ye keh umdah o farbah ho Qurbaani se pahle use chaarah paani de den yani bhooka piyasa zabah na karen aur ek ke saamne dosre ko zabah na karen aur pahle se chhuri tez kar len aisa na ho keh Jaanwar girane ke ba’d uske saamne chhuri tez ki jaaye Jaanwar ko baayen pahlu par is tarah litaayen keh qiblah ko uska munh ho aur apna daahina paaun uske pahlu par rakh kar tez chhuri se jald zabah kar diya jaaye aur zabah se pahle ye dua padhi jaaye

 

إِنِّی وَجَّہْتُ وَجْہِیَ لِلَّذِی فَطَرَ السَّمٰوٰتِ

وَالْأَرْضَ حَنِیفًاوَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِین

إِنَّ صَلَاتِی وَنُسُكِی وَمَحْیَایَ وَمَمَاتِی لِلَّہِ رَبِّ الْعٰلَمِینَ  لَا شَرِيْكَ لَه وَبِذَالِكَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِيْن اَللّٰهُمَّ لَكَ وَ مِنْكَ بِسْمِ اللّٰهِ اللّٰهُ اَكْبَر

 

Ise padh kar zabah kar de Qurbaani apni taraf se ho to zabah ke ba’d ye dua padhe

 

اَللّٰهُمَّ تَقَبَّلْ مِنِّىْ كَمَا تَقَبَّلْتَ مِنْ خَلِيْلِكَ اِبْرَاهِيْمَ عَلَيْهِ السَّلَام وَ حَبِيْبِكَ مُحَمَّدٍ صَلَّى اللّٰه تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَسَلَّمْ

 

 

Is tarah zabah kare keh chaaro ragen kat jaayen ya kam se kam 3 ragen kat jaayen is se ziyadah na kaaten keh chhuri gardan ke muhra tak pahunch jaaye keh ye be wajah ki takleef hai phir jab tak Jaanwar  thanda na ho jaaye yani jab tak uski rooh bilkul na nkkal jaaye uske paaun wagairah na kaate na khaal utaare aur agar dosre ki taraf se zabah karna hai to  مِنِّىْ ki jagah مِن Ke ba’d uska name le aur agar  oh mushtarak Jaanwar hai jaise gaaye,  oont to wazan se gosht taqseem kiya jaaye mahaz takhmeena (andazah) se taqseem na karen

(Bahar e shari’at)

 

MASLAH:::  Qurbaani karne wala baqra’eed ke din  sab se pahle Qurbaani ka gosht khaye is pahle koi dosri chiz na khaye ye mustahab hai

(Bahar e shari’at)

 

FAAIDAH:::::ahadees se saabit hai keh saiyyid e aalam صلى الله تعالى عليه وسلم ne is ummat e marhooma ki taraf se Qurbaani ki ye huzur ke be shumaar altaaf men se ek khaas karam hai keh is moqa par bhi ummat ka khiyaal farmaya aur jo log Qurbaani na kar sake unki taraf se khud hi Qurbaani ada farmaai jab huzur ne ummat ki taraf se khud Qurbaani ki to jo musalman saahib e isteta’at ho agar huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ke name ki ek Qurbaani kare to zahe naseeb aur bihtar sing wala mendha hai jis ki siyaahi men safaidi ki bhi aamezish ho jaise mendhe k

e khud huzur akram صلى الله تعالى عليه وسلم ne Qurbaani farmaai

(Bahar e shari’at)

 

 

 BOOK NAME – FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI

 

 TASHEEH 

 

Nawasa e Huzoor Sadrushshari’ah khalifa e Huzur Tajushshari’ah qazi e shara shahr e mumbai Mahmoodul ulama Hazrat Allama o Maulana Hafiz o Qari MUFTI MAHMOOD AKHTAR QADRI RAZVI Khateeb o imam kinarah masjid haji ali dargah o sadar mufti razvi amjadi darulifta 50 qazi street mumbai 400003

 

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment