FARAZ E ARSH NE CHUMA HUSSAIN KA SAJDA NAAT LYRICS

FARAZ E ARSH NE CHUMA HUSSAIN KA SAJDA NAAT LYRICS

 

Faraz -E- Arsh Ne Chuma Hussain Ka Sajda
Bana He Kaabe Ka Tugra Hussain Ka Sajda

Har Ek Sajda Baraati Lage Hai Mehshar Main
Bana Hai Hashr Main Dulhaa “Hussain” Ka Sajdah

Janaab-E-Fatma Zahraa Ne Apni Aanchal Main
Bahut Sambhaal Ke Rakhkha Hussain Ka Sajdah

Bashar Bashar Hai Malaaik Bhi Jispe Nazaa Hain
Ada Huwa Hai Kuch Aisa Hussain Ka Sajdah

Namaz-E-Arsh Ka Tohfa Baraa-E-Ummat Hain
Aur Baraa-E-Arsh Hai Tohfa Hussain” Ka Sajdah

Sharing Is Caring:

Leave a Comment