Ishq Ke Rang Naat Lyrics

Ishq Ke Rang Naat Lyrics

 

 

ISHQ KE RANG NAAT LYRICS

Ishq ke rang me rang jayen jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sana e shahe abraar me har lehzaa Guhar baar

Warna Wo Sayyidi Aale Nasabi han Wohi Ummi Laqabi Hashmi o Muttalabi o Arabi o Farashi o Madani aur kahan hamse gunahgaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Aarzu ye he ke ho qalb muattar wo mutahhar wo munawwar wo mujalla wo musaffa dure aala jo nazar aye kahin jalwa e ruh e shahe abraar

Jin ke qadmon ki chamak chaand sitaaron me nazar aye jidhar se wo guzar jaye wohi raah chamak jaye damak jaye mahak jaye bane rawnaq e gulzaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Sung lun khushbu e gesu e Muhammad wo siya zulf nahin jis ke muqaabil ye banafsha ye suyuti ye chambeli ye gule laala o champaa ka nikhaar

Jis ki nagkhat pe hein qurbaan gulo bargo saman naafa e aahu e khutan baade chaman buwe chaman naaze chaman noor e chaman range chaman saara chaman zaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Ik shahanshah ne bakhshe jo samarkand o bukhara kissi mahoub ke rukhsaar ke til par magar eh Sayyade Aali teri namos teri azmat par

Eh Rasul e Madani ek nahin laakhon hein qurbaan gahe ishq ke har kuchao bazaar me sar apnaa hatheli pe liye phirte hein karne ko nisaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Aap ke zikr me hein dam masala sare huda kawne arab naghma nigaraane ajam shawkate alfaaz e adab azmate kirtaas o qalam baate sabaa mohje naseen

Dahne bulbule shiri lahane umriyo toti shafe mahtaab sitaare malak o hur jina jin ki nawahon me duroodon ka hisaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Warafahnaa laka zikrak ki iss aaya e tawseef ki tawseef me tafseer me tashreekh me tawzikh me tanween me har ehd ki shaamil he zabaan

Labe Hassan o Rava ha wo labe Fatima Zahra wo Ali abid e bimaar Busairi dahane urtiyo jaame labe sahti o raza sab sar shaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Ishq ke rang me rang jaye muhajir ho ke pakhtun balochi ho ke punjabi o sindhi kissi khitte ki kabile ki zaban isse nahin koyi sarokaar

Jama e ishq e Muhammad jo pehen leta he har khaar ko wo phool bana leta he duniya ko jhuka leta he karta he zamaane ko muhabbat ka shikaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Ye muhajir ki he saf aur ye punjaabi ki pakhtun ki sindhi ki balochi ki juda par ke dikhao to kissi shehr ki masjid me kabhi esi namaz

Haram e Kabah me arafat ke medaan me ya Rawza-e-Sarkaar pe kyun shaane milaate wahan karte nahin rang ka aur nasl katum apni shumaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Ya Nabi, aap ka ye adbi sana khwaan e dare rahmat ka ghada deta he dar dar ye sada deta he, aap se chaahat ka sala apni zaban me taasir

Sun ke sab ahle chaman us ka sukhan unko bhi ajaye haya sar ho nidaamat se jhuka aur nazar dekhe wo islaaf ki ulfat ka nazara ek baar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Eh Adeeb, ab yunhi alfaaz ke ambaar me ham dubte reh jayen magar haqqe sanaa koyi adaa phir bhi na kar payen ye jazbaat o zaban o kalam o fikr o khayaal
Un ki midhat to Malaaik ka wazifa he Sahaba ka tariqa ibaadat ka saleeqa he ye khaaliq ka pasandeeda he Qur’an ka he isme shyaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

Ishq ke rang me rang jayen jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sana e shahe abraar me har lehzaa Guhar baar

Warna Wo Sayyidi Aale Nasabi han Wohi Ummi Laqabi Hashmi o Muttalabi o Arabi o Farashi o Madani aur kahan hamse gunahgaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar..

 

Ishq Kay Rang Mein Rang Jao Mere Yaar Lyrics

Ishq Ke Rang Me Rang Jaein Jab Afkaar To Khulte Hein Ghulaamon Pe Wo Asraar Ke Rehte Hein Wo Tawseef Sanaae Shahe Abraar Me Har Lehzaa Guhar Baar X3
Warna Wo Sayyade Aale Nasabi Han Wohi Ummi Laquabi Hashmi O Motalabi O Arabi O Farashi O Madani Aur Kahan Hamse Gunahgaar X2

Ishq Ke Rang Me Rang Jao Mere Yaar X2

Aarzoo Ye He Ke Ho Qualb Muattar Wo Mutahhar Wo Munawwar Wo Mujalla Wo Musaffa Durehaalaa Jo Nazar Aae Kahin Jalwaae Roue Shahe Abraar X2
Jin Ke Qadmon Ki Chamak Chaand Sitaaron Me Nazar Aae Jidhar Se Wo Guzar Jaae Wohi Raah Chamak Jae Damak Jae Mahak Jae Bane Rawnaque Gulzaar X2

Ishq Ke Rang Me Rang Jao Mere Yaar X2

Soung Loun Khushbue Geisoue Muhammad Wo Siya Zulf Nahin Jis Ke Muquaabil Ye Banafsha Ye Suyunti Ye Chambeli Ye Gule Laalaa O Champaa Ka Nikhaar X2
Jis Ki Nakhat Pe Hein Qurbaan Gulo Bargo Saman Naafaae Aahoue Khutan Bade Chaman Buwe Chaman Naaze Chaman Noure Chaman Range Chaman Saaraa Chaman Zaar X2

Ishq Ke Rang Me Rang Jao Mere Yaar X2

Ik Shahanshah Ne Bakhshe Jo Samarkand O Bukhaaraa Kissi Mahboub Ke Rukhsaar Ke Til Par Magar Eh Sayyade Aali Teri Namos Teri Azmat Par X2
Eh Rassoule Madani Eik Nahin Laakhon Hein Qurbaan Gahe Ishq Ke Har Kuchao Bazaar Me Sar Apnaa Hatheli Pe Liye Phirte Hein Karne Ko Nisaar X2

Ishq Ke Rang Me Rang Jao Mere Yaar X2

Aap Ke Zikr Me Hein Dam Masaalaa Sare Huda Kawne Arab Naghma Nigaaraane Ajam Shawkate Alfaaz Adab Azmate Kirtaas O Qalam Baate Sabaa Mohje Naseen X2
Dahne Bulbule Shiri Lahane Umriyo Toti Shafe Mahtaab Sitaare Malak O Hour Jinaa Jin Ki Nawahon Me Duroodon Ka Hisaar X2

Ishq Ke Rang Me Rang Jao Mere Yaar X2

Ishq Kay Rang Mein Rang Jao Mere Yaar – Lyrics
Ishq Kay Rang Mein Rang Jao Mere Yaar – Urdu Lyrics
Warafahnaa Lakazikrak Ki Iss Aayaa E Tawseef Ki Tawseef Me Tafseer Me Tashreekh Me Tawzikh Me Tanween Me Har Ehd Ki Shaamil He Zabaan.X2
Labe Hassan O Ravaahaa Wo Labe Fatemah Zahraa Wo Ali Aabide BimaarBusairi Dahane Ourtiyo Jaame Labe Sahti O Razaa Sab Sar Shaar X2

Ishq Ke Rang Me Rang Jao Mere Yaar X2

Ishq Ke Rang Me Rang Jaae Muhajir Ho Ke Pakhtoun Balonchi Ho Ke Punjabi O Sindhi Kissi Khitte Ki Kabile Ki Zaban Isse Nahin Koyi Sarokaar X2
Jaamae Ishqe Mohammad Jo Pehenletaa He Har Haar Ko Wo Phool Banaa Letaa He Dunyaa Ko Jhukaaletaa He Kartaa He Zamaane Ko Muhabbat Ka Shikaar X2

Ishq Ke Rang Me Rang Jao Mere Yaar X2

Ye Muhaajir Ki He Saf Aur Ye Punjaabi Ki Pakhtoun Ki Sindhi Ki Balonchi Ki Juda Par Ke Dikhao To Kissi Shehr Ki Masjid Me Kabhi Eisi Namaz X2
Harame Kaabaa Me Arafaat Ke Maidaan Me Ya Rawza-E-Sarkaar Pe Kyun Shaane Milaate Wahan Karte Nahin Rang Ka Aur Nasl Katum Apni Shoumaarx2

Ishq Ke Rang Me Rang Jao Mere Yaar X2

Yaa Nabi ! Aap Ka Ye Adbi Sanaakhwane Dare Rahmat Ka Gada Detaa He Dar Dar Ye Sadaa Detaa He Aap Se Chaahat Ka Salaa Apni Zaban Me Taasir X2
Soun Ke Sab Ahle Chaman Ous Ka Sukhan Oun Ko Bhi Aajaae Hayaa Sar Ho Nidaamat Se Jhukaa Aur Nazar Dekhe Wo Islaaf Ki Oulfat Ka Nazaaraa Eik Baar X2

Ishq Ke Rang Me Rang Jao Mere Yaar X2

Eh Aadeeb! Ab Youn Hi Alfaaz Ke Ambaar Me Ham Doubte Reh Jaein Magar Haqqe Sanaa Goyi Adaa Phir Bhi Naa Kar Paein Ye Jazbaat O Zabaan O Kalam O Fikr O Khayaal X2
Oun Ki Midhat To Malaaik Ka Wazifaa He Sahaaba Ka Tariqaa Heibaadat Ka Saleeqaa He Ye Khaaliq Ka Pasandeeda He Quraan Ka He Iss Me Shyaar X2

Ishq Ke Rang Me Rang Jao Mere Yaar

Ishq Ke Rang Me Rang Jaein Jab Afkaar To Khulte Hein Ghulaamon Pe Wo Asraar Ke Rehte Hein Wo Tawseef Sanaae Shahe Abraar Me Har Lehzaa Guharbaar .Warna Wo Sayyade Aale Nasabi Han Wohi Ummi Laquabi Hashmi O Motalabi O Arabi O Farashi O Madani O Arabi O Madani Aur Kahan Hamse Gunahgaar

Ishq Ke Rang Me Rang Jao Mere Yaar X2

 

‘इश्क़ के रंग में रंग जाएँ जब अफ़्कार, तो खुलते हैं ग़ुलामों पे वो असरार कि रहते हैं वो तौसीफ़-ओ-सना-ए-शह-ए-अबरार में हर लहज़ा गौहर-बार
वर्ना वो सय्यिद-ए-‘आली-नसबी, हाँ ! वही उम्मी-लक़बी, हाशमी-ओ-मुत्तलबी-ओ-‘अरबी-ओ-क़रशी-ओ-मदनी और कहाँ हम से गुनहगार

आरज़ू ये है कि हो क़ल्ब मु’अत्तर-ओ-मुतह्हर-ओ-मुनव्वर-ओ-मुसफ़्फ़ा-ओ-मुजल्ला दुर्र-ए-आ’ला जो नज़र आए कहीं जल्वा-ए-रू-ए-शह-ए-अबरार
जिन के क़दमों की चमक चाँद सितारों में नज़र आए, जिधर से वो गुज़र जाए, वही राह चमक जाए, दमक जाए, महक जाए, बने रौनक़-ए-गुलज़ार

सूँघ लूँ ख़ुश्बू-ए-गेसू-ए-मुहम्मद, वो सियह ज़ुल्फ़, नहीं जिस के मुक़ाबिल ये बनफ़्शा, ये सुयूती, ये चम्बेली, ये गुल-ए-लाला-ओ-चंपा का निखार
जिस की नकहत पे हैं क़ुर्बान गुल-ओ-बर्ग-ओ-समन, नाफ़-ए-आहू-ए-ख़ुतन, बाद-ए-चमन, बू-ए-चमन, नाज़-ए-चमन, नूर-ए-चमन, रंग-ए-चमन, सारा चमन ज़ार

इक शहंशाह ने बख़्शे जो समरक़ंद-ओ-बुख़ारा किसी महबूब के रुख़्सार के तिल पर मगर, ए सय्यिद-ए-‘आली ! तेरी नामूस, तेरी अज़मत पर
ए रसूल-ए-मदनी ! एक नहीं लाखों हैं क़ुर्बान गह-ए-‘इश्क़ के हर कूचा-ओ-बाज़ार में सर अपना हथेली पे लिए फिरते हैं करने को निसार

आप के ज़िक्र में हैं नग़्मा-सरा सार-ए-हुदी, ख़्वान-ए-‘अरब, नग़्मा-निगारान-ए-‘अजम, शौक़त-ए-अल्फ़ाज़-ओ-अदब, ‘अज़मत-ए-क़िर्तास-ओ-क़लम, बाद-ए-सबा मौज-ए-नसीम
दहन-ए-बुलबुल-ए-शीरीं, लहन-ए-क़ुमरी-ओ-तूती, शब-ए-महताब, सितारे, मलक-ओ-हूर-ओ-जिनाँ जिन की नवाओं में दुरूदों का हिसार

व-रफ़’अना लका ज़िक्रक की इसी आया-ए-तौसीफ़ की तौसीफ़ में, तफ़्सीर में, तशरीह में, तौज़ीह में, तज़मीन में हर ‘अहद की शामिल है ज़बान
लब-ए-हस्सान-ओ-रवाह, हाँ ! वो लब-ए-फ़ातिमा-ज़हरा-ओ-‘अली, ‘आबिद-ए-बीमार-ओ-बुसीरी, दहन-ए-‘उर्फ़ी-ओ-जामी, लब-ए-सा’दी-ओ-रज़ा सब सरशार

‘इश्क़ के रंग में रंग जाएँ मुहाजिर हो कि पख़्तून-ओ-बलोची हो कि पंजाबी-ओ-सिंधी किसी ख़ित्ते की, क़बीले की ज़बाँ इस से नहीं कोई सरोकार
जामा-ए-‘इश्क़-ए-मुहम्मद जो पहन लेता है, हर ख़ार को वो फूल बना लेता है, दुनिया को झुका लेता है, करता है ज़माने को मोहब्बत का शिकार

ये मुहाजिर की है सफ़ और ये पंजाबी की, पख़्तून की, सिंधी की, बलोची की जुदा पढ़ के दिखाओ तो किसी शहर की मस्जिद में कभी ऐसी नमाज़
हरम-ए-का’बा में, ‘अरफ़ात के मैदान में या रौज़ा-ए-सरकार पे क्यूँ शाने मिलाते हो, वहाँ करते नहीं रंग का और नस्ल का तुम अपनी शुमार

ए अदीब ! अब यूँही अल्फ़ाज़ के अंबार में हम डूबते रह जाएँ मगर हक़्क़-ए-सना-गोई अदा फिर भी न कर पाएँ, ये जज़्बात-ओ-ज़बान-ओ-क़लम-ओ-फ़िक्र-ओ-ख़याल
उन की मिदहत तो मलाइक का वज़ीफ़ा है, सहाबा का तरीक़ा है, ‘इबादत का सलीक़ा है, ये ख़ालिक़ का पसंदीदा है, क़ुरआन का है इस में शि’आर

शायर:
अदीब रायपुरी

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी

 

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment