Jinnat Ya Jin Kaun Hai
Iss se pata chala ki jinnat ki bhi ek duniya hai aur unmein insano ki tarah ache bhi hote hain aur bure bhi hote hain, aur buron se nuksan pahunchane ka khadsha insaan ko hamesha rehta hai, lekin darne ki koi baat nahi, ye har waqt aur har kisi ke upar apna asar nahi chhod sakte aur na hi kisi ko pareshan kar sakte hain.
Lekin kuch baatein hoti hain jinki wajah se ek jinn kisi insaan ke jism mein ghus kar usko pareshan kar sakta hai, is baare mein Sheikh-ul-Islam Ibn Taymiyyah (R.A.) ne ishara diya hai ki jinn aapke andar teen tarike se daakhil ho sakta hai:
- Jinn ko aapse pyaar hai.
Jinnato mein se koi aapko kisi wajah pasand karne laga to aisa ho sakta hai dekha jata hai ki aam taur par hamare gharo mein auraten jab kapde waghera badal rahi hoti hain to Bismillah nahi padhti, jabki ho sakta koi jinnat unko dekh raha ho aur jab wo kisi jism ko bagair kapdon ke dekhta hai to aisa ho sakta hai ki usko ye jism bha jaye aur wo uske jism mein daakhil hokar galat harkat karne lage.
Yahi wajah hai ki Islam ne jis tarah har kaam ke shuru karne se pehle Bismillah padhne ko kaha hai aur Allah ka naam lena bataya hai theek usi tarah apne kapde utarne se pehle Bismillah padhne ka hukm diya hai kyun ki jis kaam se pehle Bismillah padh liya jaye usmein barkat hoti hai, Allah ki madad shamil hoti hai aur insaan nuksan se bach jata hai aur dushman ki hasad, jalan, aur zulm jyadati aur aane wali bala aur musibat se uski hifazat ki jati hai.
- Naat Lyrics in Roman
- Naat Lyrics in Urdu | Best Naat Lyrics Lybrary in Urdu
- Naat Lyrics Kalaam E Huzoor Mufti E Azam E Hind
- Naat lyrics Owais Raza Qadri
- Naat Lyrics Privacy Policy
- Naat Lyrics | Naat Lyrics Urdu | Naat Lyrics Hindi | Naat with Lyrics in 2023
- Jinn aapko pasand nahi karta.
Jinn bahut had tak insano jaise hi hote hain agar kisi wajah se aapko pasand kar sakta hain to mumkin hai ki aapko na pasand karne lage aur agar koi kisi wajah se unko na pasand ho gaya to badle ki firak mein wo nuksan pahunchane aur pareshan karne mein had kar dete hain aur unse kisi bhi kism ki jyadati ki ummeed ki ja sakti hai.
- Anjaane mein aapne jin ko nuksan pahunchaya.
Chunke hum log jinnon ko apni aankhon se nahi dekh pate hain, natija kya hota hai ki anjaane mein hamare kisi amal se kisi jinnat ko chot lag gayi ya koi nuksan pahunch gaya to iski wajah se jinn peeche pad jata hai aur nuksan pahunchata rehta hai isliye phir main wahi baat kahunga ki kisi bhi kaam ko karne se pehle Bismillah ko zaroor padh lein taaki is tarah ke nuksan se bach sake.
Jinnat se kaise bachen?
Quran Sunnat ki pabandi karna
Namaz ke paband rahna
Huzure Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) se munkul duaon ko padhte rahna
Allah se hamesha shaitan ki panah mangna khaas kar
Baitul Khala jaate waqt, اَللّٰہُمَّ اِنِّیْ اَعُوْذُبِکَ مِنَ الْخُبُثِ وَالْخَبَآئِثِ۔
Gusse ke waqt, أَعُوْذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
Jima (biwi se humbistari ke waqt) ke waqt, بِسْمِ اللَّهِّ اللَّهُمَّ جَنِّبْنَا الشَّيْطَانَ وَجَنِّبِ الشَّيْطَانَ مَا رَزَقْتَنَا
Allah ke zikr mein mashgool rahna
Gunahon se bachte rahna
Allah hamein har tarah ki balaon se mahfuz rakhe.