Tazkira Suniye Ab Unka Dil-e-Bedaar Ke Sath Lyrics || Barkate Raza


Tazkira Suniye Ab Unka Dil-e-Bedaar Ke Sath Ek Nihayat Hi Dard Bhari Aur Dilsoz Manqabat-E-Ahle-Bait Hai. Peer Syed Naseeruddin Naseer Gilani Ki Likhi Hui Is Manqabat Mein Aseeran-E-Karbala Aur Gham-E-Ahl-E-Bait Ko Bayan Kiya Gaya Hai. Aaiye Is Paakeeza Kalam Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Mein Mulahiza Farmayein.

Naat InformationDetails
Naat TitleTazkira Suniye Ab Unka Dil-e-Bedaar Ke Sath
Poet / WriterPeer Syed Naseeruddin Naseer Gilani
CategoryKarbala Manqabat
Naatkhawan / ReciterMuhammad Ali Faizi
Book NameBarkate Raza Naat Book

Tazkira Suniye Ab Unka Dil-e-Bedaar Ke Sath Lyrics In Roman

Tazkira Suniye Ab Unka Dil-E-Bedaar Ke Sath
Hai Jinhe Khaas Qarabat Shahe Abrar Ke Sath

Haye ! Kis Tarha Wo Bazar Se Ghuzre Honge
Naam Tak Jinka Na Aaya Kabhi Bazar Ke Sath

Bediyan, Sadma, Safar, Pyase, Naqahat, Sahra
Zulm Kya Kya Na Huye Abid-E-Bimar Ke Sath

Mere Sajjad Tera Dard Bhula Dun Kaise
Mere Sajjad Ye Dukh Kaise Bhula Dun Tera
Sakhtiyan Jheli Safar Ki Tan-E-Bimar Ke Sath

Bole Abbas Ke Ham Log Hain Maidan Ke Dhani
Holiyan Kheli Hain Chalti Hui Talwar Ke Sath

Tazkira Suniye Ab Unka Dil-e-Bedaar Ke Sath Lyrics In Hindi

तज़किरा सुनिए अब उनका दिल-ए-बेदार के साथ
है जिन्हें ख़ास क़राबत शहे अबरार के साथ

हाय ! किस तरह वो बाज़ार से गुज़रे होंगे
नाम तक जिनका न आया कभी बाज़ार के साथ

बेड़ियां, सदमा, सफ़र, प्यासे, नक़ाहत, सहरा
ज़ुल्म क्या-क्या न हुए आबिद-ए-बीमार के साथ

मेरे सज्जाद तेरा दर्द भुला दूँ कैसे
मेरे सज्जाद ये दुख कैसे भुला दूँ तेरा
सख़्तियाँ झेलीं सफ़र की तन-ए-बीमार के साथ

बोले अब्बास के हम लोग हैं मैदां के धनी
होलियां खेली हैं चलती हुई तलवार के साथ

Tazkira Suniye Ab Unka Dil-e-Bedaar Ke Sath Lyrics In Urdu

تذکرہ سنیے اب ان کا دلِ بیدار کے ساتھ
ہے جنہیں خاص قرابت شہِ ابرار کے ساتھ

ہائے ! کس طرح وہ بازار سے گزرے ہوں گے
نام تک جن کا نہ آیا کبھی بازار کے ساتھ

بیڑیاں، صدمہ، سفر، پیاسے، نقاہت، صحرا
ظلم کیا کیا نہ ہوئے عابدِ بیمار کے ساتھ

میرے سجاد تیرا درد بھلا دوں کیسے
میرے سجاد یہ دکھ کیسے بھلا دوں تیرا
سختیاں جھیلیں سفر کی تنِ بیمار کے ساتھ

بولے عباس کہ ہم لوگ ہیں مِیداں کے دھنی
ہولیاں کھیلی ہیں چلتی ہوئی تلوار کے ساتھ

Leave a Comment