Quran Bakshne Ka Tarika

Quran Bakshne Ka Tarika

 

 

 

“Assalamu Alaikum mere pyare aziz bhaiyo behno aaj hum aapke liye lekar aaye hai Quran bakshne ka tareeka aise bahut se momin bhai behan bakshne ka tareeka seekhna chahte hai aise mein aaj ki jaankari unke liye bahut madadgaar hogi kyunki aaj hum Quran bakshne ka tareeka batane ja rahe hai.

Quran-bakshne

Quran Bakshne Ka Tareeka
Bakshne ka tareeka to aise kai hai lekin hum aapko sabse aasaan tareeka batane wale hai jisse aap bahut hi aasani se baksh sakte hai.

Sabse pehle wazu kare
Ab aapko kibla ki taraf muh ya rukh karke baitha jana hai
Kibla ki taraf baithne ke baad, isale sawab ke liye aage janege
Lekin agar kisi cheez par Fatiha deni ho to us cheez ko samne rakhe
Agar kisi cheez par Fatiha deni ho vah cheez agar dhaka hai
To uske khol kar samne rakhe aur aakhir mein kuch agarbatti jala kar sulga le
Ab Fatiha ya phir bakshne ka tareeka kya hai chaliye jaante hai

Quran Bakshne Ka Tareeka
Ab bakshne ya Fatiha dene ke liye sabse pehle aapko Durood Sharif padhna hai 3 baar
Uske baad nimnavat surah ko padhe
1 baar Surah Kafirun
3 baar Surah Ikhlas
1 baar Surah Falaq
Ek baar Surah Nas
1 baar Surah Fatiha
Ek baar Surah Bakarah
Agar aapko Durood Sharif ya koi bhi surah yaad nahi hai
Aise mein aap click se sabhi durood ya surah Hindi mein yahan padh sakte hai
Sath hi kuch durood sharif evam surah Falaq yaha padh sakte hai
Durood Sharif Hindi Mein
Allahumma salli ala muhammadin wa ala aali muhammadin kama sallaita ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majeed, Allahumma barik ala muhammadin wa ala aali muhammadin kama barakta ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majeed.

Surah Falaq
Qul auzu birabbil falak min sharri ma khalaq wamin sharri ghasiqin izaa waqab wamin sharrin naffaasaati fil uqad wamin sharri haasidin izaa hasad.

Quran-bakshne-ki-dua

Fatiha Bakshne Ka Tareeka
Agar aap upar bataye hue steps ko poora kar chuke hai aise mein ab Fatiha bakshne ka tareeka padhe jo nimnavat hai

“Hey Allah, maine tere Surahen padhin, inhen qubool farma, aur agar mere padhne mein koi galti hui hai, to mujhe apna bachcha samajh use maaf kar dena.”

“E Allah maine tere baragah mein Quran Sharif ki tilawat ki aur Durood Sharif padha E Allah ise padhne mein jo bhi galtiya hui hai ise apne fazlo karam se maaf farma

Aur is sirni sharif aur pani ka sabse pehle iska sawab sarkare dua’alam sallahu alaihi wasallam ke muqaddas baragah mein tohfahtan hidaayatan paish karte hai qubool farma

Hazrat Adam alaihi wasallam se lekar Hazrate Isa alaihi wasallam tak kamo bes ek laakh chobees hazaar ambiya-e mursaleen ke baragah mein ye sirni sharif paish karte hai

Maula qubool farma huzoor ke sahaba sahabiya ahl-e bait atahar azwaaje mutahharaat jumla shahidaane karbala jumla sahaba tabaeen tabe tabaeen aimme mujtahideen buzurgane deen muttaqeen saleheen momeeneen ke arwahe ko paish karte hai qubool farma”

Iska sawab dastgir raushan jameer hazrate Ghause Aazam razi Allaho Ta’ala Anha aur Khwaja e Khwajgan Hindal Wali Ajmeri Chishti ke baragah mein pesh karte hai qubool farma

Is duniya se jitnebhi momin aur mominat guzar chuke hai unki bakshish farma aur unko jannat mein aala se aala makaam ata farma” (Ameen Summa Ameen)

Bil Khusus . . . . . . . . . . . . . . . . . ko iska sawab ata farma !

Note – Bil Khusus ke baad jiske naam ki Fatiha ho uska naam bole !

Mujhe ummeed hai aapko Quran bakshne ka tareeka agar achha laga ho to isko apne dosto parivaar saath share kare | Khuda Hafiz”

 

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment