GARIB AAYE HAIN DAR PAR TERE NAAT LYRICS IN HINDI

Ghareeb Aae Hain Dar Par Tere Ghareeb-Nawaaz Ek Nihayat Hi Maqbool Aur Roohani Manqabat Hai Jo Sultan-Ul-Hind Khwaja Gharib Nawaz Razi Allahu Anhu Ki Bargah Me Pesh Ki Gayi Hai.
Is Kalam Me Pyare Aur Aajizana Andaz Me Makhdoom Simnani Aur Gharib Nawaz Ke Wasile Se Dar-E-Khwaja Par Hazri Aur Unki Ataon Ka Zikr-E-Khair Kiya Gaya Hai.
Huzoor Muhaddis-E-A’Zam-E-Hind Ka Ye Be-Misal Kalam Jab Pur-Soz Aawaz Me Padha Jata Hai To Aqeedat-Mando Ke Dilo Ko Ek Anokha Sukoon Aur Saroor Bakhshta Hai.

Naat Information Details
Naat Title Ghareeb Aae Hain Dar Par Tere Ghareeb-Nawaaz
Poet / Writer Huzoor Muhaddis-E-A’Zam-E-Hind
Category Manqabat Khwaja Ghareeb Nawaz
Naatkhawan / Reciter Sayyid Abdul Qadir Qadri
Book Name Tajalliyaat E Mohaddis E Azam Hind

Ghareeb Aae Hain Dar Par Tere Ghareeb-Nawaaz Lyrics In Roman

Gareeb Aae Hain Dar Par Tere, Gareeb-Nawaaz!
Karo Gareeb-Nawaazi, Mere Gareeb-Nawaaz!

Tumhaare Dar Ki Karaamat Ye Baarha Dekhi
Gareeb Aae Hain Aur Ho Gae Gareeb-Nawaaz

Lagaa Ke Aas Badi Door Se Main Aaya Hoon
Musafiron Pe Karam Kijiye, Gareeb-Nawaaz!

Tumhaari Zaat Se Mera Bada Ta’Alluq Hai
Ki Main Gareeb Bada, Tum Bade Gareeb-Nawaaz

Na Mujh Sa Koi Gada Hai, Na Tum Sa Koi Kareem
Na Dar Se Uthunga Be Kuchh Liye, Gareeb-Nawaaz!

Huzoor Ashraf-E-Simnaan Ke Naam Ka Sadqa
Hamari Jholi Ko Bhar Dijiye, Gareeb-Nawaaz!

Zamaane Bhar Se Mujhe Kar Diya Ghani, Sayyad!
Main Sadqe Jaaun Teri Jog Ke, Gareeb-Nawaaz!

Ghareeb Aae Hain Dar Par Tere Ghareeb-Nawaaz Lyrics In Hindi

ग़रीब आए हैं दर पर तेरे, ग़रीब-नवाज़ !
करो ग़रीब-नवाज़ी, मेरे ग़रीब-नवाज़ !

तुम्हारे दर की करामत ये बारहा देखी
ग़रीब आए हैं और हो गए ग़रीब-नवाज़

लगा के आस बड़ी दूर से मैं आया हूँ
मुसाफ़िरों पे करम कीजिए, ग़रीब-नवाज़ !

तुम्हारी ज़ात से मेरा बड़ा त’अल्लुक़ है
कि मैं ग़रीब बड़ा, तुम बड़े ग़रीब-नवाज़

न मुझ सा कोई गदा है, न तुम सा कोई करीम
न दर से उठूँगा बे कुछ लिए, ग़रीब-नवाज़ !

हुज़ूर अशरफ़-ए-सिमनाँ के नाम का सदक़ा
हमारी झोली को भर दीजिए, ग़रीब-नवाज़

ज़माने भर से मुझे कर दिया ग़नी, सय्यद !
मैं सदक़े जाऊँ तेरी जोग के, ग़रीब-नवाज़ !

Ghareeb Aae Hain Dar Par Tere Ghareeb-Nawaaz Lyrics In Urdu

غریب آئے ہیں در پر تیرے غریب نواز
کرو غریب نوازی میرے غریب نواز

تمہارے در کی کرامت یہ بارہا دیکھی
غریب آئے ہیں اور ہو گئے غریب نواز

لگا کے آس بڑی دور سے میں آیا ہوں
مسافروں پہ کرم کیجیئے غریب نواز

تمہاری ذات سے میرا بڑا تعلق ہے
کہ میں غریب بڑا تم بڑے غریب نواز

نہ مجھ سا کوئی گدا ہے نہ تم سا کوئی کریم
نہ در سے اٹھوں گا بے کچھ لیے غریب نواز

حضور اشرف سمناں کے نام کا صدقہ
ہماری جھولی کو بھر دیجئے غریب نواز

زمانے بھر سے مجھے کر دیا غنی سیّد
میں صدقے جاؤں تیری جوگ کے غریب نواز

Leave a Comment