Dilo Me Ishq Ka Khilta Chaman Hussain Ke lyrics

Dilo Me Ishq Ka Khilta Chaman Hussain Ke Naam ek nihayat hi maqbool, dil-kash aur roohani manqabat-e-paak hai jise mashhoor shayar Habibullah Faizi ne tasneef kiya hai. Is pakiza kalam me Karbala ke dulaare Hazrat Imam Hussain Alaihissalam ki bargah me be-had haseen aqeedat o muhabbat ka nazrana pesh kiya gaya hai. Aaiye is ruhanat se bhari manqabat ke sabhi abyaat ko padhein aur Maula Hussain ki mohabbat se apne dilon ko munawwar karein.

Naat Information Details
Naat Title Dilo Me Ishq Ka Khilta Chaman Hussain Ke Naam
Poet / Writer Habibullah Faizi
Category Manqabat-e-Imam Hussain (A.S)
Naatkhawan / Reciter Habibullah Faizi & Others

Naat Lyrics in Roman

Dilo Me Ishq Ka Khilta Chaman Hussain Ke Naam
Ye jagmagati Hui Anjuman Hussain Ke Naam

Ye Aake Khema-e-Hazrat Me Hur Ne Farmaya
Main Apne Sar Pe Baandh Ke Aaya Kafan Hussain Ke Naam

Jo Maine Poochha Sitaron Se Jhoom Kar Bole
Mere Wazood Ki Ik Ik Kiran Hussain Ke Naam

Rasool Kush The, Ali Khush The, Fatima Khush Thi(n)
Khuda Ne Jab Likhi Jannat Hasan-Hussain Ke Naam

Mujhe Yakin Hai Koi Haadsa Nahin Hoga
Main Ghar Pe Chhod Ke Aaya Hun Gun Hussain Ke Naam

Chale Ye Kahte Huye Sooye Karbala Kasim
Mere Shabaw Ka Har Baankpan Hussain Ke Naam

Naat Lyrics in Hindi

दिलों में इ़श्क़ का खिलता चमन हुसैन के नाम
ये जगमगाती हुई अन्जुमन हुसैन के नाम

ये आके ख़ेमा-ए-हज़रत में हुर ने फ़रमाया
मैं सर पे बांध के आया कफ़न हुसैन के नाम

जो मैंने पूछा सितारों से झूम कर बोले
मेरे वुज़ूद की इक इक किरन हुसैन के नाम

रसूल ख़ुश थे,अली ख़ुश थे, फ़ातिमा ख़ुश थीं
ख़ुदा ने जब लिखी जन्नत हसन हुसैन के नाम

मुझे यकीं है कोई हादसा नहीं होगा
मैं घर पे छोड़ के आया हूँ गन हुसैन के नाम

चले ये कहते हुए सूए कर्बला कासिम
मेरे शबाव का हर बांकपन हुसैन के नाम

Naat Lyrics in Urdu

دلوں میں عشق کا کھلتا چمن حسین کے نام
یہ جگمگاتی ہوئی انجمن حسین کے نام

یہ آ کے خیمۂِ حضرت میں حُر نے فرمایا
میں اپنے سر پہ باندھ کے آیا کفن حسین کے نام

جو میں نے پوچھا ستاروں سے جھوم کر بولے
میرے وجود کی اک اک کرن حسین کے نام

رسول خوش تھے، علی خوش تھے، فاطمہ خوش تھیں
خدا نے جب لکھی جنت حسن حسین کے نام

مجھے یقیں ہے کوئی حادثہ نہیں ہوگا
میں گھر پہ چھوڑ کے آیا ہوں گن حسین کے نام

چلے یہ کہتے ہوئے سوئے کربلا قاسم
میرے شباب کا ہر بانکپن حسین کے نام

Leave a Comment