Nazar ki pyaas tumhara jamal hai aaqa – Naat Lyrics || Barkate Raza


Hazrat Mohammad ﷺ Ki Shaan-E-Aqdas Mein Likha Gaya Yeh Nihayat Hi Dilkash Aur Ruhani Kalam Imaan Ko Taza Karta Hai.
Is Barkat Bhari Tehreer Mein Hazoor-E-Akram ﷺ Ke Haseen Jamal Aur Khubsoorat Khisaal Ka Nihayat Umdah Zikr Kiya Gaya Hai.
Aiye Is Muqaddas Kalam Ko Dil Ki Aqeedat Se Parhein Aur Shaan-E-Mustafa ﷺ Ki Barkatain Hasil Karein.

Naat InformationDetails
Naat TitleNazar Ki Pyaas Tumhara Jamal Hai Aaqa
Poet / WriterMohammad Fayyaz Rizvi Alahabadi
CategorySufiana Naat
Naatkhawan / ReciterAlhaj Owais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Nazar Ki Pyaas Tumhara Jamal Hai Aaqa Lyrics In Roman

Giza E Rooh Tumhara Khayal Hai Aaqa
Nazar Ki Pyaas Tumhara Jamal Hai Aaqa

Ye Aasma’N Pe Jo Badr E Muneer Dikhta Hai
Tumhaare Hushn Pe Adna Sa Daal Hai Aaqa

Azeem Khud Jise Rabbe Azeem Kahta Hai
Wo Khulq Aapka Aali Khesaal Hai Aaqa

Nazaa Ke Waqt Rukh E Noor Pesh Ho Jaye
Tere Gulam Ka Itna Sawal Hai Aaqa

Har Ek Mrz Me Yaksa’N Asar Lutaata Hai
Luaab E Paak Me Kitna Kamal Hai Aaqa

Agarche Jism Madeene Se Fasl Rakhta Hai
Dilam Ko Fir Bhi Mayassar Visal Hai Aaqa

Tumhare Naksh E Kadam Se Nigaah Feri Hai
Isiliye To Hamara Zawaal Hai Aaqa

Zbaa’N Pe Kissa E Gamnaak Laaye Kyo Fayyaz
Ayaa’N Hai Aap Pe Jo Dil Ka Haal Hai Aaqa

Mohammad Fayyaz Misbahi

Nazar Ki Pyaas Tumhara Jamal Hai Aaqa Lyrics In Hindi

ग़िज़ा ए रूह तुम्हारा ख़याल है आक़ा
नज़र की प्यास तुम्हारा जमाल है आक़ा

ये आस्मां पे जो बद्र ए मुनीर दिखता है
तुम्हारे हुश्न पे अदना सा दाल है आक़ा

अज़ीम खुद जिसे रब्बे अज़ीम कहता है
वो ख़ुल्क़ आपका आली ख़ेसाल है आक़ा

नज़आ के वक़्त रुख़ ए नूर पेश हो जाए
तेरे ग़ुलाम का इतना सवाल है आक़ा

हर एक म्रज़ में यकसां असर लुटाता है
लुआब ए पाक में कितना कमाल है आक़ा

अगरचे जिस्म मदीने से फ़स्ल रखता है
दिलम को फिर भी मयस्सर विसाल है आक़ा

तुम्हारे नक़्श ए क़दम से निगाह फेरी है
इसीलिए तो हमारा ज़वाल है आक़ा

ज़बां पे क़िस्सा ए ग़मनाक लाए क्यों फ़य्याज़
अयां है आप पे जो दिल का हाल है आक़ा

मोहम्मद फ़य्याज़ मिस्बाही

Nazar Ki Pyaas Tumhara Jamal Hai Aaqa Lyrics In Urdu

غذائے روح تمہارا خیال ہے آقا
نظر کی پیاس تمہارا جمال ہے آقا

یہ آسماں پہ جو بدر منیر دکھتا ہے
تمہارے حسن پہ ادنیٰ سا دال ہے آقا

عظیم خود جسے رب عظیم کہتا ہے
وہ خُلق آپ کا عالی خصال ہے آقا

نزع کے وقت ر خ نور پیش ہو جائے
تیرے غلام کا اتنا سوال ہے آقا

ہر ایک مرض میں یکساں اثر لٹاتا ہے
لعاب پاک میں کتنا کمال ہے آقا

اگرچہ جسم مدینے سے فصل رکھتا ہے
دلم کو پھر بھی میسر وصال ہے آقا

تمہارے نقش قدم سے نگاہ پھیری ہے
اسی لیے تو ہمارا زوال ہے آقا

زباں پہ قصہء غم ناک لا ئے کیوں فیاض
عیاں ہیں آپ پہ جو دل کا حال ہے آقا

محمّد فیاض رضوی الہ آبادی

0 thoughts on “Nazar ki pyaas tumhara jamal hai aaqa – Naat Lyrics || Barkate Raza”

  1. nazaa ke waqt rukh e noor pesh ho jaye
    tere gulam ka itna sawal hai aaqa
    Is Shair Mein Adab Ko Malhooz Rakha Jaye Shukriya Ghulam Ki Itnai Auqat Nahi Hai Rukhay Anwar Paish Ho Is K Samnay Astaghfir ULLAH

    Reply

Leave a Comment