madina mein jo guzra zamana yaad aata hai Lyrics
Dare akdas pe haale dil sunana yaad aata hai
Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai
Madine mein jo guzra wo zamana yaad aata hai
Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai
Adab se baith kar us gumbade khazra ke saaye mein
Nabi ki yaad mein aansu bahana yaad aata hai
Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai
Rasulallah ke darbar mein unki muhobbat mein
Ye tera rozo shab ka aana jaana yaad aata hai
Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai
Awes karn bole maa ijazat dijiye mujko
Judaee mein tadapta hun madina yaad aata hai
Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai
Mizare fatema pe karbala walon ki yaad aaee
Madine waale aaqa ka gharana yaad aata hai
Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai
Nabi ke zikr ki mehfil mein aate hi muje Mohsin
Madina yaad aata tha Madina yaad aata hai
Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai
- Hazrat Khwaja Abu Ali Fazl al-Faarmadi Biography
- Hazrat Abu Muhammad Imam Hasan al-Mujtaba Biography
- Hazrat Shaikh Allah-Bakhsh Abbaasi Naqshbandi Biography
- Hazrat Khwaja Sayyed Ala-ud-deen Ali Ahmad Saabir Kaliyari Biography
- Hazrat Makhdoom Shaikh Sa’ad-ud-deen Khairabadi | Saadud deen Khairabadi Biography
- Hazrat Allama Abdul Mustafa Azhari | Allama Abdul Mustafa Azhari Biography
- Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rahman Gunjmuradabadi | Shah Fazle Rahman Biography muradabadi