Qasim Se Naunihal Gul E Sar Ka Fathiya || Barkate Raza


Hazrat Imam Hussain Aur Shuhada-E-Karbala Ki Yaad Me Likha Gaya Ye Intehaye Riqqat-Amez Noha Hai. Janaab Fareed Mustafa Ka Likha Hua Ye Kalam Gham-E-Ahl-E-Bait Ki Sacchi Tasweer Pesh Karta Hai Jise Sun Kar Aankhein Ashkbaar Ho Jati Hain.

Naat InformationDetails
Naat TitleQasim Se Naunihal Gul E Sar Ka Fathiya
Poet / WriterJanaab Fareed Mustafa
CategoryNoha Sharif
Naatkhawan / ReciterJanaab Fareed Mustafa
Book NameBarkate Raza Naat Book

Qasim Se Naunihal Gul E Sar Ka Fathiya Lyrics In Roman

Qasim Se Naunihal Gul E Sar Ka Fathiya
Sajjad De Rahen Hai Baradar Ka Fathiya

Ghash Aa Gaya Rabbab Ko Zindaan E Shaam Mein
Abid Ne Jab Diya Ali Asghar Ka Fathiya

Yuh Aa Ke Farsh E Khaak Par Beemar Gir Pada
Dene Utha Jo Shah Ki Dukthar Ka Fathiya

Abid Ko Yaad Aa Gaye Bazoo Kate Huey
Dene Jale Jo Shah Ke Baradar Ka Fathiya

Kaisa Yeh Imthiyaan Tha Sajjad Ke Liye
Zainab Ke Rooh Ba Rooh Shah E Safdar Ka Fathiya

Gar Rotiyan Thi Khushk To Paani Bhi Garm Tha
Jis Shaan Se Hua Tha Bahhatar Ka Fathiya

Abid Ne Kis Tarah Se Diya Kya Kahe Fareed
Laila Ke Saamne Ali Akbar Ka Fathiya

Qasim Se Naunihal Gul E Sar Ka Fathiya
Sajjad De Rahen Hai Baradar Ka Fathiya

Qasim Se Naunihal Gul E Sar Ka Fathiya Lyrics In Hindi

क़ासिम से नौनिहाल गुल ए सर का फ़ातिहा
सज्जाद दे रहे हैं बिरादर का फ़ातिहा

ग़श आ गया रबाब को ज़िन्दान ए शाम में
आबिद ने जब दिया अली असग़र का फ़ातिहा

यूँ आ के फ़र्श ए ख़ाक पर बीमार गिर पड़ा
देने उठा जो शाह की दुख्तर का फ़ातिहा

आबिद को याद आ गए बाज़ू कटे हुए
देने जले जो शाह के बिरादर का फ़ातिहा

कैसा ये इम्तिहान था सज्जाद के लिए
ज़ैनब के रूबरू शाह ए सफ़दर का फ़ातिहा

गर रोटियां थी खुश्क तो पानी भी गर्म था
जिस शान से हुआ था बहत्तर का फ़ातिहा

आबिद ने किस तरह से दिया क्या कहे फ़रीद
लैला के सामने अली अकबर का फ़ातिहा

क़ासिम से नौनिहाल गुल ए सर का फ़ातिहा
सज्जाद दे रहे हैं बिरादर का फ़ातिहा

Qasim Se Naunihal Gul E Sar Ka Fathiya Lyrics In Urdu

قاسم سے نونہال گلِ سر کا فاتحہ
سجاد دے رہے ہیں برادر کا فاتحہ

غش آ گیا رباب کو زندانِ شام میں
عابد نے جب دیا علی اصغر کا فاتحہ

یوں آ کے فرشِ خاک پر بیمار گر پڑا
دینے اٹھا جو شاہ کی دختر کا فاتحہ

عابد کو یاد آ گئے بازو کٹے ہوئے
دینے جلے جو شاہ کے برادر کا فاتحہ

کیسا یہ امتحان تھا سجاد کے لیے
زینب کے روبرو شاہِ صفدر کا فاتحہ

گر روٹیاں تھیں خشک تو پانی بھی گرم تھا
جس شان سے ہوا تھا بہتر کا فاتحہ

عابد نے کس طرح سے دیا کیا کہے فرید
لیلیٰ کے سامنے علی اکبر کا فاتحہ

قاسم سے نونہال گلِ سر کا فاتحہ
سجاد دے رہے ہیں برادر کا فاتحہ

Leave a Comment