Ye Pyari Hamde Pak Aur Dua Rab E Kainaat Ki Barfe Bargaah Mein Ilteja Par Mabni Hai. Is Kalame Pak Mein Gunahon Ki Mafi, Maula Ki Rahmat Aur Ek Sincere Sajde Ki Khubsurat Tamanna Ka Zikr Hai. Is Khubsurat Dua Ko Padhiye Aur Bazaat E Khud Apne Dil Ko Anware Ilahi Se Munawwar Kijiye.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Meri Kismat Mein Bhi Aisa Koi Sajda Kar De |
| Poet / Writer | Unknown |
| Category | Hamd Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Owais Raza Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Meri Kismat Mein Bhi Aisa Koi Sajda Kar De Lyrics In Roman
Meri Kismat Mein Bhi Aisa Koi Sajda Kar De
Jo Mere Saare Gunahon Ka Madava Kar De
Saari Duniya Se Chura Kar Mujhe Apna Kar De
Meri Mitti Ko Khudaya Sona Kar De
Main Tera Chahne Wala Hun Magar Hain Hasrat
Jin Ko Tu Chahta Hai Mujh Ko Bhi Vaisa Kar De
Ek Nazar Apne Gunahgaar Pe Kar Ke Moula
Apni Rehmat Ka Haqdaar Hamesha Kar De
Meri Kismat Mein Bhi Aisa Koi Sajda Kar De Lyrics In Hindi
मेरी क़िस्मत में भी ऐसा कोई सज्दा कर दे
जो मेरे सारे गुनाहों का मदावा कर दे
सारी दुनिया से चुरा कर मुझे अपना कर दे
मेरी मिट्टी को ख़ुदाया सोना कर दे
मैं तेरा चाहने वाला हूँ मगर हैं हसरत
जिन को तू चाहता है मुझ को भी वैसा कर दे
एक नज़र अपने गुनहगार पे कर के मौला
अपनी रहमत का हक़दार हमेशा कर दे
Meri Kismat Mein Bhi Aisa Koi Sajda Kar De Lyrics In Urdu
میری قسمت میں بھی ایسا کوئی سجدہ کر دے
جو میرے سارے گناہوں کا مداوا کر دے
ساری دنیا سے چرا کر مجھے اپنا کر دے
میری مٹی کو خدایا سونا کر دے
میں تیرا چاہنے والا ہوں مگر ہیں حسرت
جن کو تو چاہتا ہے مجھ کو بھی ویسا کر دے
ایک نظر اپنے گنہگار پہ کر کے مولا
اپنی رحمت کا حقدار ہمیشہ کر دے