Sarkar-e-Do-Aalam sallallahu alayhi wasallam ki aamad ke jashn aur Eid Milad-un-Nabi ki khushi ko bayan karta ye behad pyara naat-e-pak dilon ko josh-e-iman se bhar deta hai. Is kalam me sarkaar ke gulamon ke liye Eid manane, gharon ko charaghan karne aur naat sunane ka nihayat hi khoobsurat zikr milta hai. Aaiye is behad maqbool aur rasm-e-milad ko taza karne wale kalam ko pure khuloos ke sath mulaheza farmayein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Aaqa Ke Ghulamon Ko Ab Eid Manane Do |
| Poet / Writer | Basheer |
| Category | Naat Sharif / Eid Milad un Nabi |
| Naatkhawan / Reciter | Al-Haj Owais Raza Qadri / Hafiz Tahir Qadri |
Naat Lyrics in Roman
Aaqa Ke Ghulamo Ko Ab Eid Manane Do
Sarkaar Ki Aamad Hai Raaho Ko Sajane Do
Charcha Hai Yahi Har-Su Kehte Hai Ye Har Koi
Tashreef Nabi Laye Mehfil Ko Sajane Do
Ghar Ghar Ye Charaga Hai Rehmat Ka Ujala Hai
Aaqa Ki Sana Karke Taqdeer Jagane Do
Khushiya Hai Sabhi Karte Sarkaar Ki Aamad Par
Ik Naat E Nabi Yaaro Mujhko Bhi Sunane Do
Hai Noor E Muhammad Ki Sab Roushni Duniya Me
Sab Kuch Hai Basheer Unka Sadqa To Lutane Do
Naat Lyrics in Hindi
आक़ा के ग़ुलामों को अब ईद मनाने दो
सरकार की आमद है राहों को सजाने दो
चर्चा है यही हर-सू कहते हैं ये हर कोई
तशरीफ़ नबी लाए महफ़िल को सजाने दो
घर घर ये चराग़ाँ है रहमत का उजाला है
आक़ा की सना करके तक़दीर जगाने दो
खुशियां हैं सभी करते सरकार की आमद पर
इक नात-ए-नबी यारो मुझको भी सुनाने दो
है नूर-ए-मुहम्मद की सब रौशनी दुनिया में
सब कुछ है बशीर उनका सदक़ा तो लुटाने दो
Naat Lyrics in Urdu
آقا کے غلاموں کو اب عید منانے دو
سرکار کی آمد ہے راہوں کو سجانے دو
چرچا ہے یہی ہر سو کہتے ہیں یہ ہر کوئی
تشریف نبی لائے محفل کو سجانے دو
گھر گھر یہ چراغاں ہے رحمت کا اجالا ہے
آقا کی ثناء کر کے تقدیر جگانے دو
خوشیاں ہیں سبھی کرتے سرکار کی آمد پر
اک نعتِ نبی یارو مجھ کو بھی سنانے دو
ہے نورِ محمدؐ کی سب روشنی دنیا میں
بشیرؔ سب کچھ ہے ان کا صدقہ تو لٹانے دو