Abtar Thi Faza Teer ki Yeh Jehel Thi Chai LYRICS

 

Abtar Thee Faza

 

 

Sallay Ala Nabi e na sallay Ala muhammadin

sallay Ala Shafi ana sallay Ala Muhammadin
Amade sarkar se pehle aise the halaat e zamana
Abtar thi fiza teer giye jahle the chahi
Na wakif e Asrar e muhabbat rhi khudaayi
Har zahn me bugz o adavat ka dhuwan tha
Jari thi hama waqt qabilon me ladayi
Wo raat ke parde me dehelte huwe anjoom
Dushman nazar aata tha jaha’n bhai ka bhai
Dhabbe the kudurat ke har aina e dil par
Dushwaar nazar aati thi baaton ki safaai
Dukhtar ko daba aate the zinda hi zamin me
nadaan samaj the burayi ko bhalaayi
Insaan bika karta tha Insaan ke haatho
Thi gardane muflis pe rawa taeghe palai
Zaiba’ish e mehfil the khanakte huwe saghar
Raqsa tha sareerah parak husne khafaai
Mahfooz na thi iffat o azmat kisi surat
Tha jaam bakaf bazme har dast e hinaae
Insaan ka Insaan lahoo Choos raha tha
Khete hai jisse Sood wo thi unki kamaayi
Yun dil me basse rehte the af’aal e kabiha
Jaise kisi talaab me ke paani me ho kaayi
Wo apna madadgaar samajte the bud’on ko
Insaan ke kahno me thi pathar ki khudayi
Uzza tha khuda wand kahi laat o habl tha
The unke nigaahon me yahi unke rawaayi
Na wakif e adaab e tammadun tha har ek dil
Jaiz thi unhe loot juwa Sood gadayi
Laya jo koi kafilaa asbaab e tijaarat
Sab toot pare uspe looteron ki banayi
Wo jabr ke naghmo’n se faza goonj rahi thi
Mazlum ki awaj ne deti thi sunaayi
Is tarha jakad rakha tha zanjeer e sitam ne
Mushkil thi dar e adl pe rasaayi
Dete the ajab ghulaamo ko aziyat
Haq baat koi kehde toh marta tha binati
Tha faqr ru’unat pe naaz badi par
Bighdi jo kahi baat toh talwar utaayi
Khud apni hi tareef me padhte the qaside
Karte the bade faqr se khud apni badaayi ghuftaar me talqi thi toh lahje me taqabur
Akhir ye ravish unkimashiyat ko na bhaayi
X3
Wama arsalna ka illa rahmatallil a’lameen
Sarkaar marhaba X4

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: