Darbar e Rasool ﷺ Me Alahazrat Ka Intezar
25 Safar 1340 Hijri Ko Baitul Muqaddas Me Ek Shaami Buzurgh Ne Khuwab Me Apne Aapko Darbar e Risalat ﷺ Me Paya Sahaba e Karaam Darbar Me Hazir Thay Lekin Majlis Me Sukoot (Khamoshi) Taari Thi Aisa Lag Raha Tha Ki Kisi Aane Wala Ka Intezar Hai Shaami Buzurgh Ne Bargah e Risalat ﷺ Me Arz Ki Ya Rasool Allah ﷺ Mere Maa Baap Aap Par Qurban Ho Kiska Intezar Hai? To Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Hame Ahmad Raza رضي الله عنه Ka Intezar Hai Shaami Buzurgh Ne Arz Kiya Huzoor ﷺ Ye Ahmad Raza رضي الله عنه Kaun Hai? Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Hindustan Me Bareilly Ke Rehne Wale Hai Bedari Ke Baad Wo Shaami Buzurgh Alahazrat رضي الله عنه Ki Talash Me India Ki Taraf Chal Pade Aur Jab Wo Bareilly Shareef Aaye To Unhay Maloom Hua Is Aashiq e Rasool ﷺ Usi Din Wisaal (Parda) Ho Chuka Hai Jis Din Unhone Rasool Allah ﷺ Ko Khuwab Me Ye Kehte Hue Suna Tha Ki Hame Ahmad Raza رضي الله عنه Ka Intezar Hai
Subhan’Allah
Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Jisne Mujhe Khuwab Me Dekha Usne Mujhe Hi Dekha Kyunke Shaitan Meri Surat Me Nahi Aa Sakta
Ref: Bukhari-&-Muslim
Reference Book
Sawane Alahazrat
Jild 1 Safa 391