fatiha-ka-tariqa
1 ) Sab Se Pehle 3 Baar Darood Sharif Padhen
2 ) Fir Ye Padhen ( Tauz Aur Tasmiya )
3 ) Fir Is ke Baad 1 Baar Surah Qafiroon Ye Wali Surah Padhen
4 ) Fir Is ke Baad 3 Baar Surah Ikhlas Padhen
5 ) Fir Is ke Baad 1 Baar Surah Falaq Padhen
6 ) Fir Is ke Baad 1 Baar Surah Naas Padhen
7 ) Fir Is ke Baad 1 Baar Surah Fatiha
8 ) Fir Is ke Baad 1 Baar Surah Bakrah
9 ) Fir Is ke Baad 1 Baar Surah Ayatul Kursi
10 ) Fir Is ke Baad Ye Ayaten Padhen
Point : Agar Aap Ko Koi Surah Yaad Na Ho To Dekh Kar Padh Sakte Hain
Tamam Surah Padhen Ke Baad Apne Dono Haathon ko Uthain Aur Allah Ki Bargah Me Dua Karen
Dua :-
Ya Allah Abhi Hame Jo Quran e Paak Ki Tilawat Ki Is Me Jo Khat Galati Hui Use Maaf Aata Farma.
Ya Allah Is Fatiha Khani Ko Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Bargah Me Pesh Karte Hain Is Tu Qabool Farma.
Ya Allah Is Fatiha Khani Ko Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Wasile Se Tamam Ambiya, Sahaba, Ahle Bait, Auliya Aur Jitne Bhi Nek Bande Hain Un Sab Ki Bargah Me Tohfatan Pesh Karte Hain Qabool Farma.
Ya Allah Is Fatiha Khani Ko Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sadke Is Duniya Se Jitne Bhi Musalman Intaikal kar Gaye Bil Khusus ( Fulan Bin Fulan Yahan Apne Rishtedar Ka Naam Len ) Ki Rooh Ko Isalai Sawab Pohncha.
Ya Allah Hamre Gharon Me Khairo Barkat Aata Farma.
Ya Allah Hamre Walidain Ki Magfirat Farma.
Ya Allah Tamam Musalmano Ki Magfirat Farma.
Ya Allah Jo Bimar Hai Use Mukammal Shifa Aata Farma.
Ya Allah Jo Parehsan Haal Hai Uski Pareshani Door Farma.
Ya Allah Jo Be Aulad Hain Unhe Nek Aulad Aata Farma……………Ameen Summa Ameen
Fir Iske Baad Ye Dua Padhen……
Fatiha Complete Karne Ki Dua
Fir Iske Baad 1 Baar Ye Darood Shrif Padhen
Fir Akhir Me Ye Padhen……
Ab Fatiha Mukammal Hui…. Umeed Hai Ke Aap Ko Fatiha Ka Asan Tarika Acche Se Samjh Aa Gaya Hoga.