Prof. Syed Iqbal Azim Alaihirrahmah Ki Likhhi Hui Yeh Intehai Mashhoor-E-Zamana Aur Pur-Kaf Naat Shareef Dilon Mein Madine Ki Taraf Safar Ki Tadap Aur Khauf-E-Adab Paida Karti Hai.
Is Haseen Kalam Ke Har Ext Misre Mein Ek Sacche Gulaam-E-Mustafa Ki Ajizi, Nadamat Aur Be-Panaah Aqeedat Ka Jalwa Nazaara Deti Hai.
Aaiye Is Barkat Se Bhare Kalam-E-Naat Ko Nihayat Hi Adab Aur Shauq Ke Saath Mulaiza Farmayein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda |
| Poet / Writer | Prof. Syed Iqbal Azim |
| Category | Naat Lyrics |
| Naatkhawan / Reciter | Alhaj Owais Raza Qadri |
| Book Name | Kab-E-Qausain |
Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda Lyrics In Roman
Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeeda Laghzeeda
Chala Hoon Ek Mujrim Ki Tarah Main Janib E Taiba
Nazar Sharminda Sharminda Badan Larzeeda Larzeeda
Kisi Ke Haath Ne Mujhko Sahara De Diya Warna
Kahan Main Aur Kahan Ye Raaste Pecheeda Pecheeda
Ghulamaan E Muhammad Door Se Pehchaane Jaate Hain
Dil E Girveeda Girveeda Sar E Shoreda Shoreda
Kahan Main Aur Kahan Us Rauza E Aqdas Ka Nazzara
Nazar Us Simt Uthati Hai Magar Duzdeeda Duzdeeda
Madine Ja Ke Ham Samjhe Taqaddus Kisko Kahte Hain
Hawa Paakeeza Paakeeza Faza Sanjeeda Sanjeeda
Basaarat Kho Gayi Lekin Baseerat To Salaamat Hai
Madina Humne Dekha Hai Magar Naadeeda Naadeeda
Wahi Iqbal Jisko Naaz Tha Kal Khush Mizaaji Par
Firaq E Taiba Mein Rahta Hai Ab Ranjeeda Ranjeeda
Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda Lyrics In Hindi
मदीने का सफ़र है और मैं नमदीदा नमदीदा
जबीं अफ़सुर्दा अफ़सुर्दा, क़दम लग़ज़ीदा लग़ज़ीदा
चला हूं एक मुजरिम की तरह मैं जानिब-ए-तैबा
नज़र शर्मिंदा शर्मिंदा, बदन लरज़ीदा लरज़ीदा
किसी के हाथ ने मुझको सहारा दे दिया वर्ना
कहां मैं! और कहां यह रास्ते पेचीदा पेचीदा
ग़ुलामान-ए-मोहम्मद दूर से पहचाने जाते हैं
दिल ए गिरवीदा गिरवीदा, सर ए शोरीदा शोरीदा
कहां मैं और कहां उस रौज़ा-ए-अक़दस का नज़्ज़ारा
नज़र उस सिम्त उठती है मगर दुज़दीदा दुज़दीदा
मदीने जा के हम समझे तक़द्दुस किसको कहते हैं
हवा पाकीज़ा पाकीज़ा, फ़ज़ा संजीदा संजीदा
बस़ारत खो गई लेकिन बस़ीरत तो सलामत है
मदीना हमने देखा है मगर नादीदा नादीदा
वही इक़बाल जिस को नाज़ था कल ख़ुश मिज़ाजी पर
फ़िराक़ ए तैबा में रहता है अब रंजीदा रंजीदा
Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeeda Namdeeda Lyrics In Urdu
مدینے کا سفر ہے اور میں نم دیدہ نم دیدہ
جبیں افسردہ افسردہ، قدم لغزیدہ لغزیدہ
چلا ہوں ایک مجرم کی طرح میں جانبِ طیبہ
نظر شرمندہ شرمندہ، بدن لرزیدہ لرزیدہ
کسی کے ہاتھ نے مجھ کو سہارا دے دیا ورنہ
کہاں میں اور کہاں یہ راستے پیچیدہ پیچیدہ
غلامانِ محمد دور سے پہچانے جاتے ہیں
دلِ گرویدہ گرویدہ، سرِ شوریدہ شوریدہ
کہاں میں اور کہاں اس روضہِ اقدس کا نظّارہ
نظر اس سمت اٹھتی ہے مگر دزدیدہ دزدیدہ
مدینے جا کے ہم سمجھے تقدس کس کو کہتے ہیں
ہوا پاکیزہ پاکیزہ، فضا سنجیدہ سنجیدہ
بصارت کھو گئی لیکن بصیرت تو سلامت ہے
مدینہ ہم نے دیکھا ہے مگر نادیدہ نادیدہ
وہی اقبال جس کو ناز تھا کل خوش مزاجی پر
فراقِ طیبہ میں رہتا ہے اب رنجیدہ رنجیدہ