KHWAJA PIYA KHWAJA PIYA NAAT LYRICS

KHWAJA PIYA KHWAJA PIYA NAAT LYRICS

 

khwaja piya khawaja piya

khwaja piya khawaja piya

madad ke waste khawaja ko jab pukara hai

karam ye dekha ke barh kar diya sahara hai

khwaja piya……………………………………………..

fida hain sab hi tumhare karam pe khwaja piya

tumhare bhik se daman bhra hamara hai

khwaja piya……………………………………………..

har ek garib ka dhar bhar gaya ujale se

khuda ne chand wo ajmer mai utara hai

khwaja piya……………………………………………..

hamare ishk ka ajmer mai hai dariya rawa

wahi hai kashti hamari wahi kinara hai

khawaja piya……………………………………………..

muje nigaah mai rakhkha hai mere khwaja ne

koy girae muje kab unhe gawara hai

khawaja piya……………………………………………..

wo warsi ho nizami faridi ya chishti

jo darpe aa gaya khwaja ko mere pyara hai

khawaja piya……………………………………………..

‘khalil warsi’ mangata kamal khwaja ka

nasib khwaja piya ne mera sawara hai

khwaja piya……………………………………………..

Sharing Is Caring:

Leave a Comment