kya hai kisi kaam tumhein dekhne ke baad Lyrics

 

kya hai kisi kaam tumhein dekhne ke baad Lyrics

 

kya hai kisi kaam tumhein dekhne ke baad
ve main dar di surma na paawan
ke ankhiyan ch tun wasda e

maine gair ko na dekha na gairon ki nazar dekhi hai
meri nazaron ne faqat teri nazar dekhi hai

main neechan tum unch dawaro
main paapan tum taaran haaro
to se kahun na to ka he kahun main
apni kahani apne dukhan ki

tum sang jab se nain jo jode
sab se prem ke bandhan tode
tum hi preetam tum hi peet
tum aasha ho mere mann ki

tann kafani mann khaakurmayi
haafiz bann ke duganiya aayi
mehar ali bhagwan daya ke
bhayi laaj rakho mere joban pan ki

e ankhiyan jehdiyan sab ton sohniyan ne
e ankhiayn thag te ankhiyan daku
nit ankhiyan maaran dhaade
ankhiyan chor te ankhiyan vairi
paaye ankhiyan bahut pawaade
ankhiyan de sang ankhiyan ladiyan
te ankhi wasde des ujaade
shaan o ankhiyan vich paa ke ankhiyan
sanu lutteya naseer uddin laade

teri soorat ko dekhne waale
yeh sab aaye hain

teri soorat ko dekhne waale
apni aankhon se pyar karte hain

kya hai kisi kaam tumhein dekhne ke baad
sab ko mera salaam tumhein dekhne ke baad

jalwa kisi ka ho ya tajalli kisi ki ho
hai dekhna haraam tumhein dekhne ke baad

jisko bhi tune jaam e muhabbat pila diya
wo kya karega jaam tumhein dekhne ke baad

meri raah e hayaat ke dushwaar marhale
hal ho gaye tamaam tumhein dekhne ke baad

sajda karun toh kufr hai na sajda karun toh kufr
aaya hai woh makaam tumhein dekhne ke baad

sajda jarun ke nakshe kadam choomta rahun
ghar kaaba bann gaya hai tumhein dekhne ke baad

ham aa ke tere shehar se waapis na jaayenge
yeh faisla kiya hai tumhein dekhne ke baad

lakhon haseen saamne aaye nigah na ki
ankhon ko see liya hai tumhein dekhne ke baad

sajda tha sang e dar pe tere sar tha arsh par
aisi padi namaaz tumhein dekhne ke baad

sajda karunga toh mujhe kaafir kahenge log
yeh kaun sochta hai tumhein dekhne ke baad

mehmood ka ayaz toh bas ek hi raha
lakhon banein ayaz tumhein dekhne ke baad

khoyi hui si rehti hai har waqt ab hi na
yeh haal ho gaya hai tumhein dekhne ke baad

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: