KYA JANE DUNIYA WALE RUTBA MERE MADANI KA NAAT LYRICS

KYA JANE DUNIYA WALE RUTBA MERE MADANI KA NAAT LYRICS

 

 

{ Manqabat E Shaikhul Islam}

 

Kya jane duniya wale rutba mere madani ka.

Khata hai sara zamana sadqa mere madani ka.

 

Aal e nabi aulad e ali hain aur farzand e batool.

Inke chehre ko dekho to yaad aate hain rasool.

Ghaus e Azam ki shabeeh hai chehra mere madani ka.

 

Wo hain mujaddid wo hain mufassir, har sunni ke imam.

Hum sab unke tukdon par palne wale hain gulam.

Milta hai taiba se humko sadqa mere madani ka.

 

Dono jahan me rakkha hai mera madani ne bharam.

Khauf ho dushman ka kaise jub sath hai unka karam.

Ghabrata nahi kisi se banda mere madani ka.

 

Aise muhaqqiq aise muhaddis hain allah ki qasam.

Waqt ke jayyad ulama ne choomen hain inke qadam.

Sare fatwon par bhari hai fatwa mere madani ka.

 

Rab ke karam se hum ko mili shaikhul islam ki nisbat.

Hashr me is nisbat se milegi ashrafiyon ko jannat.

Chalta hai dono jahan me sikka mere madani ka.

 

Log deewane ban jate hain aisi hai taseer.

Batil ko ruswa kar deti hai unki taqreer.

Duniya me sab se juda hai lehja mere madani ka.

 

Dozakh ka haqdar banega jo madani se jalega.

Laanat uspar rab ki hogi, ruswa hoke marega.

Munkir!,Dil se tu bhi hoja shaida mere madani ka.

 

Mere nabi aur maula ali, ghaus o khwaja bhi honge.

Qutb o fareed o nizam o sabir ashraf e simnan honge.

Mehshar me bhi hoga FAZIL jalsa mere madani ka.

 

By: Syed Fazil Ashraf Ashrafi Mysore. Talibe Duwa: Abdul Qhadir Jeelani Ashrafi Malebennur

Sharing Is Caring:

Leave a Comment