Shehre Nabi Teri Galiyo Ka
Shehre nabi teri galiyo ka nakhsha hi kuch aisa hai,
Khuld bhi hai mustaq ziyarat jalwa hi kuch aisa hai.
Dil ko sukun de aankh ko thandak rouza hi kuch aisa hai,
Farshe zami par arshe bari ho lagta hi kuch aisa hai.
Unke dar par aisa jhuka dil uthne ka ab hosh nahi,
Ahle shariyat hai sakte me sajda hi kuch aisa hai.
Sibte nabi hai pushte nabi par aur sajde ki haalat hai,
AAQA ne tasbih bhadhaii Beta hi kuch aisa hai.
RAB ke siwa dekha na kisine farshi ho ya arshi ho,
Unke haqiqat ke chehre par parda hi kuch aisa hai.
Taaj ko apne qaasa banaa kar haazir hai shaahan e jaha,
Unki ata hi kuch aisi hai sadqa hi kuch aisa hai.
Kham hai yaha jhamshid o sikandar is me kya hairani hai
Unke gulaamo ka ai “Akhtar” rutba hi kuch aisa hai.