Tum Ho Jaane Ali Manqabat Lyrics

Manqabat e Garib Nawaz
Tum ho jaane Ali
Data hindal wali
Mere khwaja piya

Maula ali ke Noor e nazar ho
Pyaare nabi ke Lakhte jigar ho
Hum par inayat Shaam o shahr ho
Saiyad e mohtaram Kardo kardo karam
Mere Khwaja piya

Usman ke pyaare Dukhiyo ke waali
Koi bhikari koi sawali

Dar se tumhare Lauta na khali
Tum ne sab ko diya Sadqa e chistiya
Mere khwaja piya

Jisne bhi tumko Dukh me pukara
Usko diya hai Tum ne sahara
Mera bhi daman Bhar do khudara
Waliye bekhasa Khwaja e Khwajga
Mere khwaja piya

Yaad jab aay Tumri nagariya
Chanda ki jaisi Dholi atariya
Tadpu mai jaise Jal bin machaliya
Ab to kirpa karo Haat sar pe dharo
Mere khwaja piya

Nusrat hai tum par Qurban khwaja
Hum sab kahe yeh Arman khwaja
Kardo is ummat pe Ehsaan khwaja
Ek nazar daal do Mushkile taal do
Mere khwaja piya

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: