Un Ki Chokhat Ho To Kasa Bhi Para Sajta Hai Lyrics

Un Ki Chokhat Ho To Kasa Bhi Para Sajta Hai Lyrics

 

Un Ki Chaukhat Ho To Kaasa Bhi Pada Sajta Hai
Dar Bada Ho To Sawaali Bhi Khada Sajta Hai

Aisa Aaqa Ho To Laazim Hai Gulaami Pe Guroor
Aisi Nisbat Ho To Phir Bol Bada Sajta Hai

Taaj-E-Shaahi Ke Muqaddar Men Ye Zebaai Kahaan
Jis Qadar Un Ki Gulaami Ka Kada Sajta Hai

Ye Gulaami Kahin Kamtar Nahin Hone Deti
Un Ka Naukar Ho To Shaahon Men Khada Sajta Hai

Kaan Men Hurr Ke Muqaddar Ne Ye Sargoshi Ki
Tu Nageena Hai Angoothi Men Jada Sajta Hai

Sarwar-E-Deen Ke Musalle Pe Khuda Jaanta Hai
Murtaza Peechhe Ho Siddiq Khada Sajta Hai

Sarwar-E-Deen Ke Musalle Pe Khuda Jaanta Hai
Aage Ashaab Ke Siddiq Khada Sajta Hai

Jab ‘Ata Karne Pe Baithen Hon ‘Ali-O-Sayyida
Phir To Jannat Ke Liye Koi Ada Sajta Hai

Maula Shabbar Se Khuda Jaane Sakhi Mahdi Tak
Gulshan-E-Zahra Ka Har Phool Bada Sajta Hai

Mujh Se Kehte Hain Yahi Ahl-E-Mohabbat Sarwar !
Naa’t Ka Nagma Tere Lab Pe Bada Sajta Hai

Poet:
Sarwar Hussain Naqshbandi

Naat-Khwaan:
Sarwar Hussain Naqshbandi
Muhammad Azam Qadri
Qari Shahid Mahmood Qadri
Asad Raza Attari
Syed Hassan Ullah Hussaini

 

 

उन की चौखट हो तो कासा भी पड़ा सजता है
दर बड़ा हो तो सवाली भी खड़ा सजता है

ऐसा आक़ा हो तो लाज़िम है ग़ुलामी पे ग़ुरूर
ऐसी निस्बत हो तो फिर बोल बड़ा सजता है

ताज-ए-शाही के मुक़द्दर में ये ज़ेबाई कहाँ
जिस क़दर उन की ग़ुलामी का कड़ा सजता है

ये ग़ुलामी कहीं कमतर नहीं होने देती
उन का नौकर हो तो शाहों में खड़ा सजता है

कान में हुर्र के मुक़द्दर ने ये सरगोशी की
तू नगीना है, अँगूठी में जड़ा सजता है

सरवर-ए-दीं के मुसल्ले पे ख़ुदा जानता है
मुर्तज़ा पीछे हो, सिद्दीक़ खड़ा सजता है

सरवर-ए-दीं के मुसल्ले पे ख़ुदा जानता है
आगे असहाब के सिद्दीक़ खड़ा सजता है

जब ‘अता करने पे बैठें हों ‘अली-ओ-सय्यिदा
फिर तो जन्नत के लिए कोई अड़ा सजता है

मौला शब्बर से ख़ुदा जाने सख़ी महदी तक
गुलशन-ए-ज़हरा का हर फूल बड़ा सजता है

मुझ से कहते हैं यही अहल-ए-मोहब्बत, सरवर !
ना’त का नग़्मा तेरे लब पे बड़ा सजता है

शायर:
सरवर हुसैन नक़्शबंदी

ना’त-ख़्वाँ:
सरवर हुसैन नक़्शबंदी
मुहम्मद आ’ज़म क़ादरी
क़ारी शाहिद महमूद क़ादरी
असद रज़ा अत्तारी
सय्यिद हस्सानुल्लाह हुसैनी

 

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment