Aaghaz Ho Raha Hai Karbal Ki Kahani Ka Lyrics || आगाज़ हो रहा है कर्बल की कहानी का

Karbala ke darya-e-khoon aur shuhada ki be-misaal qurbaniyon ki dastan har momin ke dil ko taza gham aur imaan bakhshti hai.
Yeh nihayat hi dil-soz aur pur-asar noha ‘Aagaz Ho Raha Hai Karbal Ki Kahani Ka’ Karbala ke dushmanon ke zulm aur khandan-e-Mustafa ki pakiza qurbaniyon ko bayan karta hai.
Aaiye is muqaddas aur aqeedat se bharpoor nohey ke shers ko nihayat hi adab aur ehtiraam ke sath padhein.

Naat Information Details
Naat Title Aagaz Ho Raha Hai Karbal Ki Kahani Ka
Poet / Writer Mushtaq
Category Noha / Muharram Lyrics
Naatkhawan / Reciter Various Azadars

Naat Lyrics in Roman

Aagaz ho raha hai Karbal ki kahani ka
Logo yeh janaza hai Islam ke bani ka.

Bibi ne kaha Baba Karbal mein chaley aana.
Manzar main dikhaon gi Akbar ki jawani ka.

Kat jaein gay bazu bhi Abbas bawafa ke.
Teeron se hoga chalni mashkeza woh pani ka.

Bikhrey ga Karbala mein Qasim ke sar ka sehra.
Khushiyaan samait le ga aalam woh veerani ka.

Rotay they farishtay bhi jab arz-o-sama larza.
Taboot uth raha hai Imran ke jani ka.

Ta Hashar Mere Maula Mushtaq rahon tera.
Mil jaye sharf mujh ko bas teri ghulami ka.

Naat Lyrics in Hindi

आगाज़ हो रहा है कर्बल की कहानी का
लोगो ये जनाज़ा है इस्लाम के बानी का

बीबी ने कहा बाबा कर्बल में चले आना
मंज़र मैं दिखाऊँगी अकबर की जवानी का

कट जाएँगे बाज़ू भी अब्बास बा-वफ़ा के
तीरों से होगा छलनी मश्कीज़ा वो पानी का

बिखरेगा कर्बला में क़ासिम के सर का सेहरा
खुशियाँ समेट लेगा आलम वो वीरानी का

रोते थे फ़रिश्ते भी जब अर्ज़ ओ समा लर्ज़ा
ताबूत उठ रहा है इमरान के जानी का

ता हशर मेरे मौला मुश्ताक़ रहूँ तेरा
मिल जाए शर्फ़ मुझको बस तेरी ग़ुलामी का

Naat Lyrics in Urdu

آغاز ہو رہا ہے کربل کی کہانی کا
لوگو یہ جنازہ ہے اسلام کے بانی کا

بی بی نے کہا بابا کربل میں چلے آنا
منظر میں دکھاؤں گی اکبر کی جوانی کا

کٹ جائیں گے بازو بھی عباس باوفا کے
تیروں سے ہوگا چھلنی مشکیزہ وہ پانی کا

بکھرے گا کربلا میں قاسم کے سر کا سہرا
خوشیاں سمیٹ لے گا عالم وہ ویرانی کا

روتے تھے فرشتے بھی جب ارض و سما لرزا
تابوت اٹھ رہا ہے عمران کے جانی کا

تا حشر میرے مولا مشتاق رہوں تیرا
مل جائے شرف مجھ کو بس تیری غلامی کا

Leave a Comment